Microsoft Aaj Naya Operating System’ Windows 10 Launch Kar Raha Hai
Washington: Computer Software Bananay Wali Duniya Ki Sab Say Barri Company Microsoft Aaj Naya Operating System’ Windows 10 Launch Kar Rahi Hai.
Ghair mulki khabar agency ke mutabiq’ windows 10 duniya bhar 190 mumalik mein dastyab hoga.
Isay taweel al muddat bunyadon par istemaal kiya ja sakega jis ke liye is mein update faraham kiye jatay rahenge.
Windows 7 aur Windows 8.1 istemaal karne walay sarfeen is naye operating system ko muft download kar sakenge taham computer banany walay idaron ke liye ye system muft nahi hoga.
Market mein microsoft se mutabqat rakhnay walay computer aur tablets mein windows 10′ pehlay se hi mojood hoga.
Windows 10 alag se farokht ke liye rawan baras ke ekhtataam taq dastyab ho sakayga.
Micorsoft ke mutabiq Windows 10 ki tayari mein is baat ka khayaal rakha gaya hai ke bilkhushoos smart phones aur tablets ke sarfeen is se istifada kar saken jis ke liye is naye operating system mein applications ki tayari par khusoosi tavajja di gayi hai.
Mahireen ka kehna hai ke microsoft ke windows system mein mojood applications mobile phones aur tablets ke sarfeen ko apni taraf mutwajjah karne mein ziyada kamyaab nahi hosaki hai.
Is tanazur mein Google ka android system aur apple ka IOS market mein bohat ziyada maqbool hai taham Windows 10 ki kamyabi ki soorat mein Microsoft smart phones aur tablets ke sarfeen ka aetmaad bhi haasil karne mein kamyaab ho sakti hai..