Abbottabad Mein 5.1 Shiddat Ka Zalzala
Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad Se 50 Kilometer Door Abbottabad Mein 5.1 Shiddat Ke Zalzalay Ke Nateejay Mein 3 Aafraad Halaak Hogaye Hain.
Khabar rasan idaray AFP ke mutabiq American jolujekyll surway ka kehna hai ke zalzalay ka maqam Islamabad ke shumal mein 15 kilometer door pahari silsila tha jis ki gehrai 26 kilometer thi.
Pakistani hakkaam ke mutabiq zalzalay ke baais 2 khawateen sameit 1 bacha halaak hogaya hai.
Senior police Afsar (SPO) Sher Akbar Khan ne bataya hai ke Abbottabad shehar ke muzafaat mein qaim matti ke ghar zalzalay ke baais dhair hogaye hain jis ke nateejay mein 2 khawateen aur 1 bacha halaak jab kay 1 bachi zakhmi hogayi hai.
Khawateen ki Age 25 saal aur 48 saal thi jab kay bachay ki Age 9 saal aur zakhmi honay wali bachi ki Age 6 saal hai.
Pakistan mehakma mosmiyat ke senior Afsar Ghulam Rasool ka kehna hai ke zalzalay ke jhatkay Punjab aur Khyber pakhton khwa ke deegar shehron mein bhi mehsoos kiye gaye.
Muqami mehakma mosmiyat ke mutabiq zalzalay ki shiddat 4.6 aur is ki geherai 10 kilometer thi.
Yaad rahay ke October 2005 mein Pakistan aur Hindustan ke sarhadi ilaqon mein 7.6 shiddat ke anay walay zalzalay mein 73 hazaar log halaak jab kay 3 laakh 50 hazaar afraad be ghar ho gaye they.
Isi terha saal 2013 mein Balochistan mein anay walay 7.7 shiddat ke zalzalay ke baais 370 afraad halaak aur 1 laakh be ghar hogaye they.