Karachi Samait Sindh Bhar Mein Selaab Ka Khadsha
Director General Mehakma Mosmiyat Dr. Ghulam Rasool Ka Kehna Tha Ke Sindh Mein Shadeed Baarishon Aur Selabi Railay Ke Baais Karachi Aur Hyderabad Sameit Sindh Bhar Mein Selabi Soorat-e-Haal Peda Honay Ka Khadsha Hai.
DG Mehakma Mosmiyat Dr. Ghulam Rasool ka kehna hai ke Punjab aur Khyber Pakhtun khwa mein tabahi machane ke baad selabi rayla Sindh mein daakhil ho raha hai jab ke Karachi aur Hyderabad mein bhi shadeed baarishon ka imkaan hai.
Agar ye pani akhatta ho gaya to dono shehron ke liye mushkilaat barh sakti hain aur selabi soorat e haal peda honay ka bhi khadsha hai.
Unka kehna tha ke sooba Sindh mein baarishon ka bara system daakhil ho raha hai.
Sooba Sindh ke agly 4 se 5 roz mein barishain hongi Sindh aur Punjab se mulhiqa Balochistan ke elaqon mein bhi barishain hongi.
Doosri janib mehakma mosmiyat ka kehna hai baarisho ka haliya system 3 roz pehlay India se Balochistan mein daakhil howa jab ke taiz baarishon ka dosra system juzwi tor par Bahera Arab mein daakhil ho raha hai jo is waqt Karachi ke qareeb mojood hai.
Yeh system nichle baadalon ke sath mil kar darmiyani barish day sakta hai aur isi ke tehat Badeen aur thatta mein bhi barishain ho sakti hain..