Monthly Archives: July 2015
Microsoft Aaj Naya Operating System’ Windows 10 Launch Kar Raha Hai
Washington: Computer Software Bananay Wali Duniya Ki Sab Say Barri Company Microsoft Aaj Naya Operating System’ Windows 10 Launch Kar Rahi Hai.
Ghair mulki khabar agency ke mutabiq’ windows 10 duniya bhar 190 mumalik mein dastyab hoga.
Isay taweel al muddat bunyadon par istemaal kiya ja sakega jis ke liye is mein update faraham kiye jatay rahenge.
Windows 7 aur Windows 8.1 istemaal karne walay sarfeen is naye operating system ko muft download kar sakenge taham computer banany walay idaron ke liye ye system muft nahi hoga.
Market mein microsoft se mutabqat rakhnay walay computer aur tablets mein windows 10′ pehlay se hi mojood hoga.
Windows 10 alag se farokht ke liye rawan baras ke ekhtataam taq dastyab ho sakayga.
Micorsoft ke mutabiq Windows 10 ki tayari mein is baat ka khayaal rakha gaya hai ke bilkhushoos smart phones aur tablets ke sarfeen is se istifada kar saken jis ke liye is naye operating system mein applications ki tayari par khusoosi tavajja di gayi hai.
Mahireen ka kehna hai ke microsoft ke windows system mein mojood applications mobile phones aur tablets ke sarfeen ko apni taraf mutwajjah karne mein ziyada kamyaab nahi hosaki hai.
Is tanazur mein Google ka android system aur apple ka IOS market mein bohat ziyada maqbool hai taham Windows 10 ki kamyabi ki soorat mein Microsoft smart phones aur tablets ke sarfeen ka aetmaad bhi haasil karne mein kamyaab ho sakti hai..
Pakistan Aur Srilanka Ke Darmiyan Series Ka Aakhri Match Kal Khela Jayega
Hambantota: Pakistan Aur Srilanka Ke Darmiyan 5 ODi Matches Par Mushtamil series Ka Aakhri Match Kal Khela Jayega .
Hambantota ke mahindra raja pakse cricket stadium mein kal honay wala match Pakistani waqt ke mutabiq dupehar 2 bujey shuru hoga.
Qaumi team pehlay hi series 3-1 se apne naam kar chuki hai jab ke series apne naam karne ke baad green shirts ne aalmi ranking mein 8th position sambhaalte hue champions trophy ke liye bhi qualify kar liya.
Qaumi team ko is waqt 90.4 points haasil hain aur mehman Srilanka se series ka 5th match jeetnay ki soorat mein qaumi team ke points mein mazeed 2 points ka izafah hoga jis ke baad west indies ki champions trophy mein shirkat mukammal tor par dam toar degi.
Jab ke west indies ne bhi champions trophy mein shamoliat ke liye haath paon maarna shuru kar diye aur is silsilay mein Caribbean cricket board ne series ke liye india se rabta kiya hai taham indian team ki Srilanka ke sath series pehlay hi schedule hai.
Abbottabad Mein 5.1 Shiddat Ka Zalzala
Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad Se 50 Kilometer Door Abbottabad Mein 5.1 Shiddat Ke Zalzalay Ke Nateejay Mein 3 Aafraad Halaak Hogaye Hain.
Khabar rasan idaray AFP ke mutabiq American jolujekyll surway ka kehna hai ke zalzalay ka maqam Islamabad ke shumal mein 15 kilometer door pahari silsila tha jis ki gehrai 26 kilometer thi.
Pakistani hakkaam ke mutabiq zalzalay ke baais 2 khawateen sameit 1 bacha halaak hogaya hai.
Senior police Afsar (SPO) Sher Akbar Khan ne bataya hai ke Abbottabad shehar ke muzafaat mein qaim matti ke ghar zalzalay ke baais dhair hogaye hain jis ke nateejay mein 2 khawateen aur 1 bacha halaak jab kay 1 bachi zakhmi hogayi hai.
Khawateen ki Age 25 saal aur 48 saal thi jab kay bachay ki Age 9 saal aur zakhmi honay wali bachi ki Age 6 saal hai.
Pakistan mehakma mosmiyat ke senior Afsar Ghulam Rasool ka kehna hai ke zalzalay ke jhatkay Punjab aur Khyber pakhton khwa ke deegar shehron mein bhi mehsoos kiye gaye.
Muqami mehakma mosmiyat ke mutabiq zalzalay ki shiddat 4.6 aur is ki geherai 10 kilometer thi.
Yaad rahay ke October 2005 mein Pakistan aur Hindustan ke sarhadi ilaqon mein 7.6 shiddat ke anay walay zalzalay mein 73 hazaar log halaak jab kay 3 laakh 50 hazaar afraad be ghar ho gaye they.
Isi terha saal 2013 mein Balochistan mein anay walay 7.7 shiddat ke zalzalay ke baais 370 afraad halaak aur 1 laakh be ghar hogaye they.
Karachi Samait Sindh Bhar Mein Selaab Ka Khadsha
Director General Mehakma Mosmiyat Dr. Ghulam Rasool Ka Kehna Tha Ke Sindh Mein Shadeed Baarishon Aur Selabi Railay Ke Baais Karachi Aur Hyderabad Sameit Sindh Bhar Mein Selabi Soorat-e-Haal Peda Honay Ka Khadsha Hai.
DG Mehakma Mosmiyat Dr. Ghulam Rasool ka kehna hai ke Punjab aur Khyber Pakhtun khwa mein tabahi machane ke baad selabi rayla Sindh mein daakhil ho raha hai jab ke Karachi aur Hyderabad mein bhi shadeed baarishon ka imkaan hai.
Agar ye pani akhatta ho gaya to dono shehron ke liye mushkilaat barh sakti hain aur selabi soorat e haal peda honay ka bhi khadsha hai.
Unka kehna tha ke sooba Sindh mein baarishon ka bara system daakhil ho raha hai.
Sooba Sindh ke agly 4 se 5 roz mein barishain hongi Sindh aur Punjab se mulhiqa Balochistan ke elaqon mein bhi barishain hongi.
Doosri janib mehakma mosmiyat ka kehna hai baarisho ka haliya system 3 roz pehlay India se Balochistan mein daakhil howa jab ke taiz baarishon ka dosra system juzwi tor par Bahera Arab mein daakhil ho raha hai jo is waqt Karachi ke qareeb mojood hai.
Yeh system nichle baadalon ke sath mil kar darmiyani barish day sakta hai aur isi ke tehat Badeen aur thatta mein bhi barishain ho sakti hain..
Bin Qasim Jamshoro Thermal Plants Mein Kharabi Se Sindh ke 17 Districts Mein Break Down
Soobay Ke Mutadid Elaqay Ta’Haal Pani Ki Qillat Ka Shikaar Roza Daaron Ko Sehri Ki Tayari Mein Shadeed Mushkilaat Ka Saamna Karna Rara.
Karachi: Roshiniyon ke shehar Karachi mein 10 ghantay baad bijli bahaali ka amal shuru hogaya beshtar elaqay 12 ghantay baad bhi bijli se mahroom hain.
Shehrion ne raat karb mein guzari roza daaron ko sehri ke waqt bhi mushkilaat ka saamna raha bijli na honay se pani ki bhi shadeed qillat peda hogayi.
Shehar Quaid mein 10 ghantay baad bijli bahaali ka amal shuru hogaya ta’hum beshtar elaqon ki bijli 12 ghantay baad bhi bahaal na ho saki.
Guzashta raat shehri taraveeh ki tayarion mein masroof they ke taqreeban 9 bujey shehar ke 70 feesad elaqon ki bijli achanak chali gayi jis ki wajah se Karachi airport samait mutadid hospital bhi bijli se mahroom ho gaye.
Bijli ki achanak muatali se shopping centers aur markets mein bhi shehrion ko mushkilaat ka saamna karna para. Shehar quaid ke makeeno ny raat karb mein guzari.
Roza daaron ko sehri mein mushkilaat ka saamna raha tarjuman k-Electric ka kehna hai ke bijli bahaali ka amal jari hai PECHS, Federal B area, Gulshan Iqbal aur Bafar zone ke mukhtalif elaqon ki bijli bahaal kar di gayi hai jab’ke Gulsitan e Johar, Landhi Korngi, Mlir. Sar syed town, Site town, Garden aur Gulshan Iqbal bock 10, 3 aur 13, CVU, Defence, Clifton , North Nazimabad ke mukhtalif elaqay Jail road Kashmir road aur Tariq Road ke atraaf bijli moattal hai.
Bijli ki taweel bandish ke baais rehaishi elaqon mein pani ki qillat peda hogayi doosri janib bijli ki achanak muatali ke baais dhabiji pimping station par 72 inch qutar ki pipe line phatnay se shehar ko aik crore Gailan se zayed pani kam faraham howa jis se Landhi, Korngi, Qayyomabad, Akhtar colony aur Defence ke elaqay mutasir hue hain.
Hisko tarjuman ke mutabiq jaam shoro ke 14 Districts mein bijli bahaal kar di gayi hai ta’hum Nawab Shah mein ta haal bijli bahaal na ki ja saki.
Mirpur khaas mein raat 10 bujey se bijli band hai.
Haala aur matiari mein bhi ta haal bijli bahaal na ho saki jis ke baa’is roza daaron ko sakht mushkilaat ka saamna hai.
Yomey Hazrat Ali Ke Moqay Per Karachi Aur Haiderabad Mein Motorcycle Ki Double Sawari Par Pabandi
Majalis Aur Juloos Ki Security Ke Liye 10 Hazaar Se Zayed Ahelkaar Tainaat, Buland Emaarton Par sniper Ko Tainaat Karne Par Gor.
Karachi: Karachi Mein Yomey Shahadat Hazrat Ali par majalis aur juloos ki security ke liye 10 hazaar 763 police officers aur ahelkaar faraiz sar-anjaam denge.
Karachi, Haiderabad aur Sukkur mein double sawari par bhi pabandi Aaid kar di gayi hai.
Karachi mein Yomey Shahadat Hazrat Ali ke mauqa par Sindh rangers aur police ki janib se security ke khusoosi intizamaat tarteeb diye gaye hain.
Shehar ke 3 zone mein munaqidah 331 majalis aur bar Aamad honay walay 178 juloos ki security ke liye majmoi tor par 10763 ahelkaar security par tainaat kiye jayengay.
South zone mein 5 hazaar 809 ahelkaar, West zone mein 3 hazaar 480 aur East zone mein 1 hazaar 474 officers aur ahelkaar security ke faraiz sar-anjaam deingay.
jab’ke ranger ke jawan bhi Yomey Hazrat Ali ke mauqe par hassas maqamat par tayinaat kiye jayengay.
Markazi juloos ki guzar gahon ke atraaf ki buland emaarton par sniper ki taenati watch tower qaim karne aur bomb disposel squad ke zariye suyping karne ki hidaayat di gayi hai.
Doosri janib Karachi Sukkur aur Haiderabad mein 8th ur 9th July ko motorcycle ki double sawari par bhi pabandi Aaid kar di gayi hai.
mehakma dakhla ki janib se jari karda notification ke mutabiq bachay, khawateen, buzurag, sahafi aur qanoon nafiz krne wale idaron ke ahelkaar pabandi se mustashna hongay..
Roza Rakhnay Se Dil Ke Amraaz Aur Cancer Se Bacha Ja Sakta Hai
Washington: University Of Southern California Ke Experts Ka Kehna Hai Ke Roza Rakhnay Se Dil Ke Amraaz Aur Cancer Se Bacha Ja Sakta Hai.
University mahireen ka kehna hai ke tehqeeq se ye baat samnay aayi hai ke agar aik maah mein paanch martaba calories ki nisf miqdaar istemaal ki jaye to cancer diabities aur amraaz qalb jaise amraaz se bacha ja sakta hai.
Mahireen ka kehna hai ke kam az kam 6 ghantay tak pani par iktifa karne se bhi sehat par misbat asraat muratab hotay hain.
Unhon ne kaha ke roza rakhnay se jism mein insulin ki miqdaar behtar hoti hai nizaam hazam durust hota hai aur Metabolism ke amal mein bhi behtari aati hai.
Mahireen ka kehna hai ke roza rakhnay se Umar mein izafah hota hai unhon ne kaha ke roza rakhnay walay country aur afraad par tehqeeq se ye baat samnay aayi hai ke kam khanay se nizaam hazem par zor nahi parta aur khaliyaat mein toot phoot ka amal sust ho jata hai jab ke dimaghi salahiyat mein bhi behtari aati hai.
Mahireen ne kaha ke har mah mein kam az kam paanch rozay rakhna insani sehat aur zindagi ke liye nihayat ahmiyat ka haamil hai.
Jacobabad Train Ko Barood Se Urane Ka Mansoobah Nakaam
Jacobabad: Report Ke mutabiq Jacobabad Mein Baroodi Mawaad Se Trinon Ko Urane Ka Mansoobah Nakaam Bana Diya Gaya Track Se Bhaari Miqdaar Mein Dhamaka Khaiz Mawaad Bar Aamad Kar Ke Track Ko Clear Qarar Day Diya Gaya.
Jacobabad ki tehseel thal mein baju mourr ke ilaqay mein namaloom takhreeb karon ne railway track par bhaari miqdaar mein baroodi mawaad nasb kar diya tha.
Ittila milnay par police bomb disposel squad aur qanoon nafiz karne walay idaron ke ehalkaron ne ilaqay ko ghairay mein lay liya.
Search operation ke douran railway track se baroodi mawaad bar aamad kar liya gaya.
Bomb disposel squad ne mukammal talashi ke baad track ko clear qarar day diya qanoon nafiz karne walay idaron ne waqeye ki tafteesh shuru kar di hai.
Gujranwala pull Totnay Se Train Ko Haadsa
Gujranwala: Gujranwala Mein Head Chana Waan Ke Qareeb Pull Totnay Se Train Neher Mein Ja Giri Haadsay Mein 3 Afraad jaan’bahaq Jab’kay Mutadid Afraad Zakhmi Hogaye.
Fouj Ka Rescue operation Jari Hai Wazeer-e-Azam Ne Train Haadsay Par Dukh Ka Izhaar Kiya Hai.
Train panno Aqil se kharyan ja rahi thi railway zaraye ke mutabiq train mein 6 musafir bogian aur 21 maal bardaar bogian theen.
Haadsa dopehar 12 bujey ke qareeb paish aaya jab gaari jamkay chatta ke qareeb pall chana waan par pohanchi to pull achanak gir gaya jis se train ki 3 bogian neher mein gir gayeen.
Haadse ki ittila mlitay hi imdadi teams mauqe par poanch gayeen aur karwai shuru kar di.
Pak Army ny bhi ilaqay ko ghairay mein le liya aur neher mein girnay wali bogyon ko nikaalne ki karwai shuru kar di gayi 2 helicopter resque operation mein hissa le rahay hain.
Zaraye ka kehna hai ke train mein lag bhag 200 afraad sawaar they jin mein se beshtar ko nikaal liya gaya hai baqi afraad ko nikaalne ka kaam jari hai.
Zakhmiyon ko CMH Gujranwala muntaqil kar diya gaya hai divisional superintendent pakistan Railways ke hukum par head chana waan par honay walay train haadse mein imdadi karwaiyon ke liye relief train Lahore se rawana kar di gayi hai.
Relief train jaye waqooa par poanch kar neher mein girnay wali train ki bogyon ko bahar nikalegi aur doobnay walay afraad ko nikaalne mein madad keregi.
Relief train mein technical mechanical aur medical amla bhi rawana kiya gaya hai.