Pakistan Ko Atomi Taaqat Banay 17 Saal Ho Gaye
Islamabad: Aaj Se 17 Saal Qabal 28 May 1998 Ko India Ke Atomi Dhmakon Ke Jawab Pakistan Ne Atomi Dhamakay Kar Kay Na Sirf Mulk Ka Difaa Naqabil Taskheer Banaya Balkay Muslim Duniya Ki Pehli Aur Duniya Ki Satwen Atomi Taaqat Ban’nay Ka Aizaz Haasil Kiya Jisay Har Saal Yom-e-Takbir Ke Naam Se Intehai Josh O Kharosh Ke Sath Manaya Jata Hai.
Atomi dhmakon ke baad Pakistan ne atomi salahiyat mein musalsal taraqqi ki jo is ke dushmano ko aik aankh bhi nahi bhaati.
28 May ko yom-e-takbir ka naam diya gaya aur phir har saal usay bharpoor tareeqay se manaya jata hai.
Mulk bhar mein is hawalay se khusoosi taqarib ka ahtimaam kiya jata hai aur masajid mein Pakistan ki salamati aur khushhali ke liye duayen bhi ki jati hain.
Pakistan ne atomi salahiyat ke husool ki koshishon ka aaghaz 1974 mein India ki janib se atomi dhamakay karne ke baad kiya aur phir 28 May 1998 mein Pakistan ne Balochistan ke zila chaghi mein atomi dhamakay kar ke baqaida tor par aik atomi salahiyat ban’nay ka aizaz haasil kiya.
Atomi dhamakay karne ki wajah se Pakistan ko aalmi pabandion ka saamna bhi karna para lekin is ke bawajood Pakistan ne khud ko duniya bhar mein aik zimmedaar atomi riyasat ke tor par manwaya..