Daily Archives: May 27, 2015
Islamabad Aur Azad Kashmir Mein Zalzalay Ke Jhatkay
Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hukoomat Aur Azad Kashmir Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.
Zalzala koh pema markaz ke mutabiq Islamabad aur Muzaffar Abad mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.
Richter Scale par zalzalay ki shiddat 3 record ki gayi jab’ke zameen mein is ki gehrai 10 kilometer record ki gayi.
Zalzalay ke baad logon mein khauf o hiraas phail gaya taham zalzalay ki shiddat kam honay ke baais kisi jani o maali nuqsaan ki ittila masool nahi hui hain..
Pakistan Ne Pehlay One Day Mein Zimbabwe Ko Shikast Deydi
Lahore: Pakistan Ne Pehlay One Day Mein Zimbabwe Ko 41 Runs Se Shikast Dekar 3 Matches Ki Series Mein 1-0 Ki Bartari Haasil Karli Hai Jab’ke Shandaar Century score Karne Par Shoiab Malik Ko Man Of The Match Qarar Diya Gaya.
Qazafi stadium mein khailay gaye match mein qaumi team ke captain Azhar Ali ne toss jeet kar batting ka faisla kiya to Bats mans ne usay durust saabit kar dikhate hue 3 wickets ke nuqsaan par 375 runs banaye.
Opening bats man Mohammad Hafeez aur captain Azhar Ali ke darmiyan 170 aur Shoiab malik aur Haris Sohail ne 201 runs ki shiraakat qaim kar kay home ground par kisi bhi ghair mulki team ke khilaaf sab se ziyada majmoi score bananay ka bhi record qaim kar diya.
Opening bats man Mohammad Hafeez aur captain Azhar Ali ne pehli wicket ki shiraakat mein 170 runs jore,
Azhar Ali boundary lagatay hue panyangara ki ball per catch out hue unhon ne 2 chakkon aur 9 chowkun ki madad se 76 balls par 79 runs banaye jis ke baad Mohammad Hafeez bhi 175 ke majmoay par chaltay banay.
Hafeez ne 4 chakkon aur 8 chowkun ki madad se 86 runs score kiye teesri wicket ki shiraakat mein Shoiab malik aur Haris Sohail ne batting karte hue ground ke charon atraaf dilkash strockes khailay aur match ki aakhri ball per Shoaib Malik catch out hue,
Shoiab ne 12 chowkun aur 2 chakkon ki madad se 76 balls par 112 runs bnaye jab ke Haris Sohail 89 runs ke sath not out rahay.
Hadaf ke taqub mein Zimbabwe ne Pakistan ka bharpoor muqabla kiya aur muqarara 50 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 334 runs banaye,
Zimbabwe ki janib se ining ka aaghaz Sibanda aur Sikandar Raza ne kiya aur dono ke darmiyan pehli wicket ke liye 56 runs ki shiraakat daari qaim hui.
Sikandar Raza ko Anwar Ali ne 36 jab ke Sibanda ko Wahab Riaz ne 23 runs par out kiya jis ke baad Masakadza aur captain Chigumbura ke darmiyan 124 runs ki shiraakat daari qaim hui taham 73 runs ke score par Masakadza ko Shoiab malik ne pavellion ki raah dikhayi.
Chigumbura Pakistani bowlers ke agay datay rahay aur unhon ne shandaar century score ki woh 117 runs par Wahab Riaz ka shikaar banay jab ke Williams 36 runs bana kar not out rahay.
Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 3 jab ke Anwar Ali aur Shoiab malik ne 1,1 wicket haasil ki.
Match shuru honay se qabal qaumi team ke captain Azhar Ali home ground mein 6 saal baad ODI cricket ki bahaali per khush dikhayi diye aur unhon ne samaji raabtey ki Website twitter par apni tweet mein kaha ke home ground mein taweel arsay baad kisi ghair mulki team ke khilaaf match khailnay ke liye pur josh hain…