Monthly Archives: May 2015
Pakistan Ne 2nd One Day Mein Zimbabwe Ko Shikast Dekar Series Apne Naam Karli
Lahore: Pakistan Ne 2nd One Day Mein Zimbabwe Ko 6 Wickets Se Shikast Dekar 3 Matches Ki Series 2-0 Se Apne Naam Karli..
Qazafi stadium Lahore mein khlie gaye 2nd ODI match mein Pakistan ke captain Azhar Ali ne toss jeet kar mehman team ko pehlay batting ki dawat di.
Zimbabwe ne Sikandar Raza ki shandaar century ki badolat muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 258 runs banaye.
Zimbabwe ki janib se Vusi Sibanda aur Chamu Chibhabha ne team ko umda aaghaz faraham kiya aur pehli wicket ke liye 83 runs ki shiraakat daari qaim ki lekin Sibanda 13 runs ke infiradi score per Hafeez ki ball par out hogaye jab ke Masakadza 18 runs par Yasir Shah ka shikaar banay.
Chibhabha sirf aik run ke farq se apni pehli century mukammal nahi kar sakay aur 99 runs par pavellion lout gaye.
Pakistan ki janib se Wahab Riaz aur Yasir Shah ne 2,2 jab ke Hafeez aur Shoiab Malik ne 1,1 wicket haasil ki.
Pakistan ne 259 runs ka hadaf 48th over mein haasil kar liya aur Captain Azhar Ali ne career ki 2nd century score ki.
Green shirts ki janib se Azhar Ali aur Sarfraz Ahmed ne team ko 46 runs ka aaghaz faraham kiya taham Sarfraz Ahmed 22 runs bana kar pavellion lout gaye.
Jis ke baad Hafeez crease par aaye magar wo bhi sirf 15 runs hi bana sakay jab ke Azhar Ali aur Asad shafeeq ke darmiyan teesri wicket ke liye 85 runs ki shiraakat daari qaim hui taham Asad shafeeq 39 aur Azhar Ali 102 runs ki shandaar ining khailnay ke baad out hue jab ke Haris Sohail 52 aur Shoiab malik 36 runs bana kar not out rahay.
Wazeh rahay ke 1st ODI match mein Pakistan ne Zimbabwe ko 41 runs se shikast di thi..
Pakistan Ko Atomi Taaqat Banay 17 Saal Ho Gaye
Islamabad: Aaj Se 17 Saal Qabal 28 May 1998 Ko India Ke Atomi Dhmakon Ke Jawab Pakistan Ne Atomi Dhamakay Kar Kay Na Sirf Mulk Ka Difaa Naqabil Taskheer Banaya Balkay Muslim Duniya Ki Pehli Aur Duniya Ki Satwen Atomi Taaqat Ban’nay Ka Aizaz Haasil Kiya Jisay Har Saal Yom-e-Takbir Ke Naam Se Intehai Josh O Kharosh Ke Sath Manaya Jata Hai.
Atomi dhmakon ke baad Pakistan ne atomi salahiyat mein musalsal taraqqi ki jo is ke dushmano ko aik aankh bhi nahi bhaati.
28 May ko yom-e-takbir ka naam diya gaya aur phir har saal usay bharpoor tareeqay se manaya jata hai.
Mulk bhar mein is hawalay se khusoosi taqarib ka ahtimaam kiya jata hai aur masajid mein Pakistan ki salamati aur khushhali ke liye duayen bhi ki jati hain.
Pakistan ne atomi salahiyat ke husool ki koshishon ka aaghaz 1974 mein India ki janib se atomi dhamakay karne ke baad kiya aur phir 28 May 1998 mein Pakistan ne Balochistan ke zila chaghi mein atomi dhamakay kar ke baqaida tor par aik atomi salahiyat ban’nay ka aizaz haasil kiya.
Atomi dhamakay karne ki wajah se Pakistan ko aalmi pabandion ka saamna bhi karna para lekin is ke bawajood Pakistan ne khud ko duniya bhar mein aik zimmedaar atomi riyasat ke tor par manwaya..
Islamabad Aur Azad Kashmir Mein Zalzalay Ke Jhatkay
Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hukoomat Aur Azad Kashmir Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.
Zalzala koh pema markaz ke mutabiq Islamabad aur Muzaffar Abad mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.
Richter Scale par zalzalay ki shiddat 3 record ki gayi jab’ke zameen mein is ki gehrai 10 kilometer record ki gayi.
Zalzalay ke baad logon mein khauf o hiraas phail gaya taham zalzalay ki shiddat kam honay ke baais kisi jani o maali nuqsaan ki ittila masool nahi hui hain..
Pakistan Ne Pehlay One Day Mein Zimbabwe Ko Shikast Deydi
Lahore: Pakistan Ne Pehlay One Day Mein Zimbabwe Ko 41 Runs Se Shikast Dekar 3 Matches Ki Series Mein 1-0 Ki Bartari Haasil Karli Hai Jab’ke Shandaar Century score Karne Par Shoiab Malik Ko Man Of The Match Qarar Diya Gaya.
Qazafi stadium mein khailay gaye match mein qaumi team ke captain Azhar Ali ne toss jeet kar batting ka faisla kiya to Bats mans ne usay durust saabit kar dikhate hue 3 wickets ke nuqsaan par 375 runs banaye.
Opening bats man Mohammad Hafeez aur captain Azhar Ali ke darmiyan 170 aur Shoiab malik aur Haris Sohail ne 201 runs ki shiraakat qaim kar kay home ground par kisi bhi ghair mulki team ke khilaaf sab se ziyada majmoi score bananay ka bhi record qaim kar diya.
Opening bats man Mohammad Hafeez aur captain Azhar Ali ne pehli wicket ki shiraakat mein 170 runs jore,
Azhar Ali boundary lagatay hue panyangara ki ball per catch out hue unhon ne 2 chakkon aur 9 chowkun ki madad se 76 balls par 79 runs banaye jis ke baad Mohammad Hafeez bhi 175 ke majmoay par chaltay banay.
Hafeez ne 4 chakkon aur 8 chowkun ki madad se 86 runs score kiye teesri wicket ki shiraakat mein Shoiab malik aur Haris Sohail ne batting karte hue ground ke charon atraaf dilkash strockes khailay aur match ki aakhri ball per Shoaib Malik catch out hue,
Shoiab ne 12 chowkun aur 2 chakkon ki madad se 76 balls par 112 runs bnaye jab ke Haris Sohail 89 runs ke sath not out rahay.
Hadaf ke taqub mein Zimbabwe ne Pakistan ka bharpoor muqabla kiya aur muqarara 50 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 334 runs banaye,
Zimbabwe ki janib se ining ka aaghaz Sibanda aur Sikandar Raza ne kiya aur dono ke darmiyan pehli wicket ke liye 56 runs ki shiraakat daari qaim hui.
Sikandar Raza ko Anwar Ali ne 36 jab ke Sibanda ko Wahab Riaz ne 23 runs par out kiya jis ke baad Masakadza aur captain Chigumbura ke darmiyan 124 runs ki shiraakat daari qaim hui taham 73 runs ke score par Masakadza ko Shoiab malik ne pavellion ki raah dikhayi.
Chigumbura Pakistani bowlers ke agay datay rahay aur unhon ne shandaar century score ki woh 117 runs par Wahab Riaz ka shikaar banay jab ke Williams 36 runs bana kar not out rahay.
Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 3 jab ke Anwar Ali aur Shoiab malik ne 1,1 wicket haasil ki.
Match shuru honay se qabal qaumi team ke captain Azhar Ali home ground mein 6 saal baad ODI cricket ki bahaali per khush dikhayi diye aur unhon ne samaji raabtey ki Website twitter par apni tweet mein kaha ke home ground mein taweel arsay baad kisi ghair mulki team ke khilaaf match khailnay ke liye pur josh hain…
Mulk Mein 6 Saal Se Weraan Maidan Kal Se Harey Bharay Hongay
Lahore: Mulk Mein Aalmi Cricket Na Honay Ke Baais 6 Saal Se Weraan Maidan Kal Se Harey Bharay Hongay.
Pakistan aur zimbabwe ke darmiyan kal T20 match series ka aaghaz hoga jab ke match Pakistani waqt ke mutabiq shaam 7 bachay shuru hoga.
Match se qabal dono teams ne Qazafi stadium mein bharpoor practice ki is mauqe par Pakistan ke sabiq aur Zimbabwe ke mojooda coach Dav Whatmore ne apni team ko fielding aur batting ke gur sikhayiye.
Pehla T20 match dekhnay ke liye anay walay shaiqeen ko PCB hakkaam ki janib se hadaayat ki gayi hain ke woh 5 bujey se qabal stadium pahonch jayen aur mehman team ki ground mein aamad ke baad shaiqeen ka dakhla band hoga.
Doosri janib security sorat e haal ke baais Qazafi stadium ke bahar aur atraaf intehai sakht intizam kiye gaye jis mein police, Elite Force aur rangers ke ahelkaar faraiz injaam denge.
Mehman team ko hotel se ground tak laane ke liye rastay mukammal seal honge aur security forces ke hisaar mein mehman team ko Qazafi stadium laya jayega.
Wazeh rahay ke Pakistan aur Zimbabwe ke darmiyan 2 T20 aur 3 ODI matches par mushtamil series kheli jayegi.
Mobile Sims Ki Biometric Verification Deadline Khatam
Islamabad: Qaumi Action Plan Ke Tehat Mobile Sims Ki Biometric Verification Karwanay Ki Deadline Khatam Ho Gayi Hai Aur Pakistan Telecommunications Authority (PTA) Ne Khabardaar Kiya Hai Ke Agar Ab Koi Gair Tasdeeq Shuda Sim Mumkina Takhreeb Kaari Mein Istemaal Hui To Is Ki Zimma daar Is Ki Cellular Company Hogi.
Khayaal rahay ke Interior Minister ne mobile sims ki biometric tasdeeq ki muddat mein 15 May tak ki tosee ki thi jo guzashta raat khatam hogayi hai.
Report ke mutabiq PTA ka kehna hai ke ye faisla kar liya gaya hai ke ghair tasdeeq shuda sim dehshat gardi ke kisi waqeye mein istemaal hui to is cellular company ke khilaaf karwai ki jayegi.
Mulk bhar mein ab tak 7 crore mobile sims ki biometric tasdeeq ka amal mukammal howa hai jabkay 2 crore ghair registered sims ko bock kar diya gaya.
Wazeh rahay ke PTA ne is se qabal mobile sims ki tasdeeq ke liye 12 May tak ka waqt diya tha.
PTA officers ne gair tasdeeq shuda sims ki biomatric tasdeeq ke liye sarfeen ko aik mauqa aur faraham karte hue inhen mazeed mohlat dedi thi.
PTA ne kaha tha ke aisi tamam sims jo ke ghair tasdeeq shuda hain band kar di jayengi.
PTA ka mazeed kehna tha ke beron mulk muqeem Pakistanio ne muqami mobile number jaari rakhnay ki darkhwast ki thi jis ke baais mazkoorah faisla kiya gaya tha.
Idaray ki janib se mazeed kaha gaya tha ke sarfeen ko sms ke zariye sims ki registration ke liye kaha jaye ga aur sarfeen ko chahiye ke sms mlitay hi sim registration karwa lain.
PTA ke mutabiq is waqt tak 7 crore 20 laakh sims ki biometric tasdeeq ki ja chuki thi aur yeh sims 4 crore 60 laakh shanakhti cards par jari huien.
yaad rahay ke mobile phone sims ki biomatric tasdeeq ka amal January mein qaumi action plan ke tehat shuru howa tha jis ka pehla marhala 26 feb ko mukammal howa jabkay dosra marhala 14 April ko mukammal hona tha taham is ki deadline mein 15 May tak ka izafah kiya gaya tha.
Telecom operators Mobilink,Ufone,Telenor,Zong aur Warid ne hakoomati hadaayat par 13 January ko sims ki biometric tasdeeq ka amal shuru kiya tha taakay mulk mein dehshat gardi ki rok thaam ko mumkin banaya jasakay.
PTA ke mutabiq mulk mein mobile phone sarfeen ki tadaad 14 crore tak pahonch chuki hai jin mein se 10% ke paas post pad Connections hain jin ke baray mein hukoomat ka khayaal hai ke un ki biomatric system ke zariye dobara tasdeeq ki zaroorat nahi..
Aaj Mulk Bhar Mein Shab-E-Mairaaj Aqeedat O Ehtram Se Manayi Jayegi
Masajid Mein Ulma karaam Safar Mubarak Ki Fazeelat Bayan Karenge Aur Masajid Mein Khusoosi Ebadaat Ka Ahtimaam Kiya Jayega.
Aaj Shab-e-Mairaaj ke mauqe par mulk bhar mein khusoosi ebadaat aur Mahafil ka ihtimaam kiya jayega.
Masajid mein ulma e karaam is mubarak raat ki fazliat ke hawalay se khutbaat bhi denge.
Rajab ki 27 raat ko khuday-e buzurag o bartar ne apne pyare Rasool Nabi Akhir Ul Zaman ko sharfay mairaaj ataa kiya.
Raat ke mukhtasir arsay mein Masjid Haraam se Masjid Aqsa tak ke safar ka Sharf bakhsha aur phir saaray asmano ke darwazay apne Rasool par khol diye.
Aaj is babarkat raat ke hawalay se mulk bhar mein khusoosi ebadaat ka ehtimaam kiya jayega.
Masajid aur gharon mein khusoosi Mahafil hongi aur Musalman islam is raat ki Barkaat aur Fayooz samaitenge.
Is mauqe par watan Aziz ke liye khusoosi duayen bhi ki jayengi.
Masajid ke bahar security ke sakht intizamaat bhi kiye jayenge..
Saneha Safoora Par Mulk Bhar Mein Yom-E-Soug
Saneha Safoora Par Mulk Bhar Mein Yom-E-Soug Manaya Ja Raha Hai Jab Ke Sindh Bhar Mein Nizaam Zindagi Moattal Hai.
Guzishta roz Karachi ke ilaqay Safoora goth mein musafir Bus mein 44 afraad ke jaan’bahaq honay par mulk bhar mein yom e soug manaya ja raha hai.
Jis ke tehat ahem sarkari name sarkari aur niji imaarton par qaumi parcham surangoon rahay ga taham Sindh bhar mein nizaam zindagi mukammal tor par maflooj hai.
Karachi mein shehar ke beshtar petrol pump aur CNG stations band hain jis ki wajah se roads par public tansport intehai kam hai.
Shehar ke tamam karobari marakaz, Shops, Offices, aur niji taleemi idaray band hain.
Jamea Karachi aur wifaqi urdu university samait tamam sarkari aur niji jamiyaat mein aaj honay walay papers mansookh kar diye gaye hain.
Karachi ki tarha Sindh ke deegar shehar Haiderabad,Mirpor Khaas,Sukkur,Rohrhi,Nawab Shah,Badeen,Sanghar,Daud,Dadu,Naushahro Feroz,Mehar,aur Jacobabad mein bhi soug ka samaa hai..
Karachi Mein Bus Par Firing Se 43 Afraad Jaan Bahaq Aur 25 Zakhmi Ho Gaye
Karachi: Safoora Goth Ke Qareeb Bus Par Namaloom Afraad Ki Firing Se Jaan’bahaq Afraad Ki Tadaad 43 Ho Gayi Hai Jis Mein Khawateen Aur Bachay Bhi Shaamil Hain.
Report ke mutabiq Karachi mein khawateen aur bachon samait 60 se zayed afraad bus ke zariye Safoora goth scheme 33 se Aisha Manzil ja rahay thay ke Safoora chowrangi ke qareeb dehshat gardon ne bus ko rok kar pehlay driver ko nishana banaya jis ke baad musafiron par khudcar hathyaaron se firing kar di.
Waqeye ki ittila mlitay hi imdadi teams ne zakhmion ko qareebi hospitals mein muntaqil kardiya.
IG Sindh Ghulam Haider Jamali ne 43 afraad ke jaan’bahaq honay ki tasdeeq kar di hai Jin mein 27 mard aur 16 khawateen shaamil hain.
Hospitals mein zair e ilaaj kayi zakhmion ki haalat intehai tashweesh naak hai jis ki wajah se jaan bahaq afraad ki tadaad mein mazeed izafay ka khadsha hai.
Ghulam Haider Jamali ka kehna tha ke waqeye mein mulawis dehshat gard 4 motor cycles par aaye thay aur unhon ne 9MM pistol ka istemaal kiya.
Jaye waqooa se milnay walay shawahid ki madad se dehshat gardon ke khilaaf tehqiqaat bhi shuru kar di gayi hain aur inhen jald griftar kar ke saza di jayegi.
Doosri janib Islamabad mein mojood wazeer e aala Sindh Qaim Ali Shah ne waqeye ka notice letay hue ilaqa SHO aur DSP ko moattal kar diya jab ke IG Sindh se waqeye ki report bhi talab karli hai..