Daily Archives: April 22, 2015

Data Mehfooz Bananay Ke Liye Ab Paasword Apne Pait Mein Utaar Lain

 San Francisco: Digital Dour Mein Paasword Behad Ahmiyat Rakhtay Hain Lekin Unko Khufia Rakhnay Ki Zaroorat Wahan Aur Zyada Barh Jati Hai Jahan Difai Ya Maliyati Accounts Aur Data Mojood Ho Kyun Kay Un Par Har Waqt Hackers Ki Nazrain Lagi Hoti Hain.

American company ne paasword ko mehfooz bananay ka dilchasp hal talaash kiya hai jis ke tehat paasword ko khaya bhi ja sakta hai aur woh aap ke pait ke andar se aap ko login honay ki sahoolat paish kerega.

Company ke mutabiq is jadeed Capsule mein band aik chhota sa computer maiday ke tezaab se bijli haasil kar kay kaam kerega aur usay insaan aur machine ke milaap ki aik misaal qarar diya ja sakta hai jis mein aap khud apni security ke maalik hotay hain.

American jareeday ke mutabiq pait mein utrney wala ye Capsule us shakhs mein sugar ki satah aur blood pressure bhi note kerega jab ke ye paasword wireless signal ke zariye bahar jayega jis ke baad aap account ki tafseelaat darj karkay sirf chhoo kar login ho sakinge is ke ilawa Skin ke andar kisi chip ko fix kar kay ya Digital Tattoo ke zariye bhi wireless information bheji ja sakti hai.

Company ke mutabiq is jadeed nizaam ko jald mutarif karanay ke liye kaam jari hai jis ke liye ibtidayi tor par aawaz, unglion ke nishanaat, aankhon ke khadd-o-khaal aur chehray ko bhi paasword ke tor par istemaal kiya ja raha hai.

Wazeh rahay ke aksar afraad kahili ki wajah se buhat saada paasword rakhtay hain jis ke baais saal 2014 mein 123456 aur 12345678 sab se aam aur ziyada istemaal honay walay paasword thay…

Karachi Ke Halqa NA-246 Mein Intikhabi Muhim Ka Waqt Khatam Polling Kal 23 April Ko Hogi

 Karachi: Qaumi Assembly Ke Halqa NA-246 Mein Intikhabi Muhim Ka Waqt Khatam Ho Gaya Jab Ke 3 Din Ke Liye Shehar Bhar Mein Motocycle Ki Double Sawari Par Bhi Pabandi Laga Di Gayi Hai.

Report ke mutabiq qaumi assembly ke halqay NA-246 mein 23 April ko honay walay zimni intikhab ke liye intikhabi muhim ka waqt khatam ho gaya hai jis ke baad jalsay, cornor meeting aur rellies par pabandi hogi aur kisi bhi umeed waar ko election muhim chalanay ki ijazat nahi hogi.

Election commission ki janib se tamam polling stations mein belt box pohncha diye gaye hain jab ke polling stations ke andar khufia cameray bhi nasb kar diye gaye hain.

Halqay mein dhandli ki rok thaam ke liye tamam polling stations ke andar aur bahar rangers ahelkaar tainaat honge jab ke zimni intikhab ke douran polling station mein mobile phone istemaal karne par pabandi hogi.

Polling station mein Presiding officer ke ilawa amlay ke kisi bhi shakhs ke liye mobile phone ka istemaal mamnoo hoga aur voters Expired shanakhti card par bhi vote daal sakenge.

Election commission ke ailamiye ke mutabiq polling ke roz halqay mein wifaqi wa sobai mulazmeen ke liye aam tateel hogi aur halqa loadshedding se mustasna hoga.

NA-246 ke zimni intikhab ki dilchasp baat yeh hai ke MQM, PTI aur JI ke Candidates ka vote halqay mein registered hi nahi.

Muttahida Quami Movement ke umeed waar kunwar Naveed Jameel ka vote hyderabad jab ke Tehreek Insaaf ke umeed waar Imran ismael ka vote defence aur Jamaat Islami ke Rashid Naseem ka vote north nazimabad mein registered hai.

Wazeh rahay ke Muttahida Quami Movement ke ticket par muntakhib honay walay rukan qaumi assembly Nabeel Gabool ke istifa ke baad ye nashist khaali hui thi..

News
Karachi
April 2015
M T W T F S S
« Mar   May »
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
27282930