Sim Tasdeeq Muhim Mein Mobile Operators Ko 80 Crore Rupay Ka Nuqsaan
Karachi: Mobile Phone Sims Ki Biometric verification Ki Muhim Pakistan Mein Kaam Karne Wali Telecom Operators Ke Revenue Aur Profit Mein Kami Ka Sabab Banegi Ta’hum Qaumi Salamti Ke Liye Mobile Phone Companies Ki Janib Se Is Muhim Ke Douran Apni Samaji Zimmay Daari Ki Adaigi Ke Jazbay Ko Telecom Regulators Samait Mutaliqa Wazaraton Ne Qabil Tehseen Qarar Diya Hai.
Telecom Industry ke experts ke mutabiq January se shuru honay wali is muhim ke douran April tak retail channels se new sims ki sell band rehne se operators ko revenue ki mad mein taqreeban 80 crore rupay ka nuqsaan uthana para.
Maali saal 2013-14 ke douran new sims ki Average monthly sell 10 laakh sim rahi.
Is lehaaz se 4 month ke douran operators ko sims ki sell mein 40 laakh kami ka saamna karna para.
Maali saal 2013-14 mein mobile phone companies ke Average monthly revenue 200 rupay Per user ke lehaaz se companies ko sirf revenue ki mad mein 80 crore rupay ka nuqsaan uthana para.
Mobile phone operators ne Biometric tasdeeq ke liye mulk bhar mein 80 hazaar se zayed Devices nusb ki jin ki average qeemat 350 se 400 dollar batayi jati hai.
Companies ne sims ki tasdeeq ke liye retail channel ke sath gair rawayati tareeqay bhi ikhtiyar kiye.
Industry zaraye ke mutabiq sirf devices ki tanseeb par companies ne 6 crore dollar kharch kiye jo is douran honay walay revenue ke nuqsanaat ke ilawa hain.
Amlay ki tarbiyat dor daraaz elaqon mein mobile teams bhaij kar sims ki tasdeeq par izafi akhrajaat ka saamna karna para.
Industry ka kehna hai ke is nuqsaan par qaboo panay ke liye taweel arsa darkaar hai.
Mahireen ke mutabiq muhim ke ekhtitaam par khatir khuwa nataij milnay ke baad PTA aur related ministries ne muhim ke douran telecom operators ke kirdaar ko sarahtay huwe mulki mafaad mein industry ki kawishon ko kheraaj tehseen paish kiya hai.
Tasdeeq ki jane wali tamam sims ki database ke zariye kisi bhi Sarif aur is ke zair istemaal sim aur mobile phone ke mukammal kawaif aur location chand mints mein maloom ki ja sakti hai jis ke baad matlooba fard aur Sarif ko qanoon ke shikanjay mein laya ja sakta hai.