Daily Archives: March 26, 2015
Australia Ne India Ko Semi Final Main Shikast Dekar World Cup Se Bahar Kar diya
Sydney: ICC World Cup Ke 2nd Semi Final Mein Australia Yak Tarfa Muqablay Ke Baad India Ko 95 Runs Se Shikast Dekar Final Mein Pohnch Gaya.
Australia ke sydney cricket ground mein khailay gaye match mein 329 runs ke target ke taqub mein poori indian team 233 runs par dhair ho gayi.
Indian Openers ne 76 runs ka acha aaghaz faraham kiya aur Shikhar Dhawan 45 runs bana kar out hue lekin sirf 2 runs ke izafay par virat kohli bhi aik run bana kar wickets ke peechay catch out hue.
91 ke total score par Rohit sharma bhi 34 runs bana kar pavellion lout gaye jab ke suresh raina bhi 7 runs ke mehman saabit hue. 5th wicket ke liye Ajinkya Rahane aur MS Dhoni ke darmiyan 70 runs ki shiraakat hui aur Rahane 44 runs bana kar Mitchell Starc ka shikaar banay.
Dhoni ke elawa koi bhi player Australian bowlers ka jam kar muqabla na kar saka aur wo 65 balls par 65 runs bana kar run out ho gaye.
Australia ki janib se James Faulkner ne 3 jab ke Mitchell Starc aur Mitchell Johnson ne 2,2 wickets haasil ki aik wicket Josh Hazlewood ke hissay mein aayi.
Australia ne india ke khilaaf pehlay khailtay hue muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 328 runs banaye.
Australia ne ining ka aaghaz kiya to un ki 1st wicket 15 ke score par giri jab David Warner 12 runs bana kar out ho gaye taham 2nd wicket ke liye Aaron Finch aur Steven Smith ke darmiyan 182 runs ki shiraakat hui aur Smith century score kar ke 105 runs par out hue.
3rd out honay walay player Glenn Maxwell thay jo 14 balls par 23 runs bana kar Ashwin ka shikaar banay aik run ke izafay ke baad 233 ke score par Aaron Finch bhi 81 runs score karne ke baad pavellion lout gaye.
Australian Captain Michael Clarke 10 runs se agay na barh sakay jab ke James Faulkner ne 12 balls par 21 runs ki ining kheli.
Shane Watson ne 28 runs ki ining kheli ining ke aakhri overs mein Mitchell Johnson ne 9 balls par 27 runs ki barq raftaar ining khail kar team ka score 328 runs tak pouncha diya.
India ki janib se Umesh Yadav ne 9 overs mein 72 runs dekar 4 players ko out kiya jab ke Mohit Sharma ne 2 aur Ashwin ne aik wicket haasil ki.
Australia ke Steven Smith ko shandaar century score karne par match ka behtareen player qarar diya gaya.
Mega event ka final 29 March ko Australia aur New Zealand ke darmiyan hoga..