Daily Archives: March 10, 2015
Driver Ko Neend Se Jaganay Wala Head Band Tayyar
Washington: Pakistan Samait Duniya Ke Kayi Mumalik Mein Drivers Ki Neend Jaan Lewa Hadsaat Ki Aik Barri Wajah Hai.
Lekin (U Wake) Nami Aik Saada Ejaad Na Sirf Doran Driving Driver Ki Thakan Ko Note Karti Hai Balkay Ankhen Band Honay Par Usay Jagati Bhi Hai Yeh System Aap Ke Mobile Par Call Bhi Kar Sakta Hai.
Yeh nizaam kaam ke waqt neend ke jhonkay anay par aap ke ahl-e-khana aur doston ko bhi aagah kar sakta hai.
U wake ka band peshani par pehna jata hai jo musalsal dimaghi lehron ka jaiza laita rehta hai.
Neend ke ghalbay ki soorat mein woh aap ke smart phone par alarm ya ghanti baja kar aap ko jaga sakta hai gehri neend mein jane ki soorat mein yeh aap ke Aziz aur doston ko text karne ke sath sath Facebook aur Twitter par is ka pegham bhi post kar sakta hai.
Is Ejaad ko haal hi mein spain mein honay wali mobile world congress mein paish kiya gaya.
Kisi plastic band ki terha yeh ba’aasani peshani par fit hojata hai aur is ka aik clip kaan ki lou se jura rehta hai jisay shirt se bhi jora ja sakta hai aur isi wajah se woh dimagh ki durust reading laita rehta hai.
Display par neend thakawat ya ghunodghi ko (sifar) 0 se (so) 100 tak ke number diye gaye hain 0 ka matlab hai ke aap bilkul fresh hain jabkay reading 100 ka matlab hai ke aap neend ki intaha par hain.
U Wake ka bunyadi maqsad kayi ghanton tak truck chalanay walon aur aam drivers ko doran safar neend se bachana hai ta’kay ghunodghi se honay walay khofnaak hadso ko roka jasakay.
Taham usay der tak jaagne walay students aur workers par bhi aazmaaya ja sakta hai.
System jesy hi dimaghi sargarmi mein kami note karta hai wesy hi woh mobile phone par taiz tareen setting ke sath vibration ya call jari karta hai.
Isko aap mazeed afraad tak pegham pohanchanay ke liye bhi set kar saktay hain aur yeh aap ke boss aur doston tak bhi aap ki kefiyat poncha sakta hai.
Isko bananay walay experts kehte hain ke u wake ko is qabil bhi banaya ja sakta hai ke woh neend ki haalat mein dheeray dheeray car rok de ya usay automatic driving mood mein le jaye..