Daily Archives: March 4, 2015
Pakistan Ne UAE Ko 129 Runs Se Shikast Dedi
Napier: Pakistan Ne UAE Ko 129 Runs Se Shikast Dekar World Cup Ke Group’B’Mein 4th Position Haasil Karli.
Newzeland ke shehar napier ke McLean park mein khailay gaye match mein Pakistan ne UAE ke khilaaf pehlay batting karte hue 50 overs mein 6 wickets ke nuqsaan par 339 runs banaye hain.
Pakistan ki janib se Ahmed Shahzad aur Nasir jamshed ne ining ka aaghaz kiya lekin Nasir Jamshed aik baar phir buri terha nakaam rahay aur 12 balls par 4 runs bana kar out ho gaye.
Is ke baad Haris Sohail ne Ahmed Shahzad ke sath mil kar team ka score 170 runs tak pouncha diya.
Haris Sohail 70 runs bana kar out hue jab ke 176 ke majmoay per Ahmed Shahzad bhi 93 runs bana kar run out ho gaye.
Captain Misbah Ul Haq ne tournament ki 3rd fifty score ki aur woh 65 runs bana kar out hue. Suhaib Maqsood 45 jab ke Umar Akmal 19 runs bana paye.
Shahid Afridi ne sirf 7 balls par 21 runs ki jarehana ining kheli aur not out rahay.
UAE ki janib se Manjula Guruge ne 4 jab ke Mohammad Naveed ne 1 player ko out kiya.
UAE ki team 340 runs ke target ke taqub mein 8 wickets ke nuqsaan par 210 runs bana saki.
Batting ke baad bowling ke shobay mein bhi Pakistani players ne achi karkardagi ka muzahira kiya aur ining ke aaghaz se hi UAE ke batsmans ke gird shikanja kisay rakha jis ke baais hareef team ke batsman khul kar na khail sakay aur runs jornay ki koshish mein waqfay waqfay se wickts ganwatey rahay.
UAE ki janib se sab se zyada runs bananay walay Shiman Anwar thy jinhon ne 88 balls mein 62 runs ki ining kheli jab ke Khurram Khan 43 runs bana kar dosray numaya batsman rahay.
Deegar players mein Amjad Ali 14,Andri Berenger2,Swapnil Patil 36, aur Amjad Javed 40 runs bana sakay.
Pakistan ki janib se Sohail Khan,Shahid Afridi aur Wahab Riaz ne 2,2 jab ke Raahat Ali aur Suhaib Maqsood ne 1,1 wicket haasil ki.
behtareen batting par Ahmed Shahzad ko man of the match se nawaza gaya.
Match ke baad National team ke captain Misbah Ul Haq ka kehna tha ke wo aaj ke match mein players ki karkardagi se satisfy hain ta’ham South Africa ke khilaaf agla match bhi eham hai jis mein kamyabi ke liye humein mazeed mehnat karni hogi..