National Team Ne Zimbabwe Ko Shikast Dekar World Cup Mein Pehli Fatah Haasil Karli
Brisbane: World Cup Ke Group Match Mein Pakistan Ne Zimbabwe Ko 20 Runs Se Shikast Dekar Event Mein Pehli Kamyabi Haasil karli Jab ke Point Score Board Par Green Shirts Ko 2 Points Bhi Mil Gaye.
Australia ke brisbane cricket ground mein khailay gaye match mein national team ne muqarara 50 overs main 7 wickets ke nuqsaan par 235 runs bnaye jis ke jawab mein Zimbabwe ki poori team aakhri over mein 215 runs par dhair hogayi.
Target ke taqub mein Zimbabwe ka aaghaz bhi acha na raha aur 22 ke total score per dono opener pavellion lout gaye,
Chamu Chibhabha 9,Sikandar Raza 8,Masakadza 29,Brendan Taylor 50,Sean Williams 33,Craig Ervine 14,Solomon Mire 8, aur Tawanda Mupariwa baghair koi run banaye out hue jab ke captain Elton Chigumbura ne mazahmat ki koshish ki lekin wo 35 runs banakar himmat haar gaye.
Hasb riwayat wicket keeper Umar Akmal ne match ke ehem mor par 2 catch chhorey jis ke bawajood Mohammad Irfan aur Wahab Riaz ne 4,4 jab ke Rahat Ali ne 1 wicket haasil ki.
Green shirts ki janib se captain Misbah Ul Haq aur Wahab Riaz ne bal tarteeb sab se ziyada 73 aur 54 runs score kiye jab ke 2 players apna khata khole baghair aur 1 batsman 1 run hi bana saka.
Ibtidayi 2 wickts girnay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Haris Sohail mohtaat andaaz se batting karte rahay aur dono batsmans ne shorts khailnay ke bajaye balls roknay ko tarjeeh di.
3rd wicket ki shiraakat mein dono batsmans ne 54 runs jore jis ke baad Haris Sohail 27 runs bananay ke baad Sikandar Raza ki gaind par catch out hogaye.
Zimbabwe bowlers ke samnay opening batsman aur middle order rait ki deewar sabit howa.
4th wicket par captain Misbah Ul Haq aur Umar Akmal ne 69 runs ki shiraakat qaim ki to Umar Akmal 127 ke Total par 33 runs bananay ke baad pavellion lout gaye jis ke baad Shahid afridi apne riwayati andaaz mein short khailtay hue clean bold hogaye.
47th over mein captain Misbah Ul Haq out hue to is waqt team ka score 202 tha jis ke baad Wahab Riaz ne jarehana andaaz apnatay hue Sohail Khan ke sath 33 runs ki shiraakat qaim karte hue apni half century mukammal ki aur muqarara over ke ekhtataam tak score 235 tak pouncha diya.
Wahab Riaz 54 aur Sohail Khan 6 runs par nOt out rahay. Zimbabwe ki janib se Tendai Chatara ne 3,Sean Williams ne 2,Sikandar Raza aur Tawanda Mupariwa ne 1,1 wicket haasil ki.
pakistan ki janib se match mein behtareen all round performance paish karne par Wahab Riaz ko mean of the match ke aizaz se nawaza gaya.
World cup ke group “B” mein India apne 3 matches mein kamyabi ke baad 6 points ke sath 1st per hai jab ke South Africa,Ireland aur west indies 4,4 points ke sath bal tarteeb 2nd,3rd aur 4th number par hain.
Pool mein Zimbabwe ne apne 4 matches mein se 1 mein kamyabi haasil ki aur run rate ke aitbaar se Pakistan se upar hai jab ke Pakistan ne ab tak 3 matches khailay hain jis mein se 2 mein shikast aur 1 mein kamyabi haasil ki aur list mein 6th number par hai aur UAE baghair koi match jeetay sab se aakhri number par hold hai..