Monthly Archives: March 2015

Australia 5th time Cricket Ka Aalmi Champion Ban Gaya

Melbourne: ICC World Cup 2015 Ke Final Mein New Zealand Ko Shikast Dekar Australia 5th Time World Champion Ban Gaya.

Australia ke melbourne cricket ground mein khailay gaye match mein australia ne new zealand ki janib se diya gaya 184 runs ka target ba aasani 3 wickets ke nuqsaan par haasil kar liya.

New zealand ki tarha Australia ke opener bhi acha aaghaz faraham karne mein nakaam rahay aur Aaron Finch aik run bana kar out ho gaye lekin is ke baad David Warner aur Steven Smith ke darmiyan 61 runs ki shiraakat hui aur warner 45 runs bana kar out hue.
Michael Clarke ne 74 runs ki ining khail kar apne aakhri match ko yadgar banaya aur fatah se sirf 10 runs ki doori par out hue jab ke Smith 56 runs bana kar na qabil e shikast rahay.

Pehly kiwi team ne toss jeet kar batting ka aaghaz kiya to 1st over mein Brendon McCullum baghair koi run banaye Mitchell Starc ki ball par bold ho gaye.

New zealand ko dosra nuqsaan 33 ke majmoi score par howa jab Martin Guptill bhi 15 runs bana kar Glenn Maxwell ka shikaar banay jab ke Kane Williamson teesray out honay walay player thy jo 12 runs bana kar Mitchell Johnson ki ball par un hi ke hathon catch out ho gaye.

Aik mauqe par 39 runs par new zealand ki 3 wickts gir chuki theen lekin Ross Taylor aur Grant Elliott ne zimma daarana batting ka muzahira karte hue team ka score 150 runs par pouncha diya.

Ross Taylor 40 runs bana kar James Faulkner ki ball par wickets ke peechay catch out hue jab ke agli hi ball par Corey Anderson baghair koi run banaye bold ho gaye.

Aglay over mein Luke Ronchi bhi Mitchell Starc ki ball par slip mein Michael Clarke ko catch dy baithy.

Daniel Vettori bhi 9 runs bana kar Johnson ki ball par clean bold ho gaye. aik taraf wickts girnay ka silsila jari raha to doosri janib Grant Elliott australian bowlers ka datt kar muqaabla karte rahay aur 83 runs bana kar Faulkner ke hathon out hue.

182 ke majmoi score par Matt Henry Mitchell Johnson ka teesra shikaar banay jab ke aik run ke izafay ke baad Tim Southee ko Glenn Maxwell ne run out kar ke kiwi ining ka khatma kar diya.

Australia ki janib se Mitchell Johnson aur James Faulkner ne 3,3 jab ke Mitchell Starc ne 2 players ko out kiya.

Aik wicket Glenn Maxwell ke hissay mein aayi aur kiwi player run out howa. James Faulkner ko shandaar bowling karne par match ka behtareen player qarar diya gaya..

Duniya Bhar Ki Tarah Pakistan Mein Bhi Aaj Earth Hour Day Manaya Ja Raha Hai

Karachi: Duniya Bhar Ki Tarah Pakistan Mein Bhi Aaj Global Earth Hour 8:30 Se 9:30 Bajy Ke Darmiyan Manaya Jayega.

Allamti tehreek mein aik ghantay ke liye tamam ahem idaron aur buildings ki gair zaruri lites bund kar ke mahol dosti ka shaoor ujagar kiya jayega.

Pakistan ke shehri raat 8:30 se leker 9:30 bajy tak gair zaroori lites bund kar ke zameen se mohabbat ka saboot denge.

Rawan saal WWF ne dharti ki baqa ke liye allamti tehreek ka naam bhi change Climate Change rakha hai.

WWF ki janib se Pakistan mein Aisha Umar,Aisha Khan,Umair Abbasi aur Saba Parvez ko Earth Hour ka safeer muqarrar kiya gaya hai.

Duniya ke 7000 shehron mein Earth Hour ke hawalay se taqarib aaj munaqqid ki ja rahi hain jab ke Earth Hour ke hawalay se Karachi mein khusoosi taqreeb ka ahtimam Sindh Assembly mein kiya jayega.

Taqreeb mein governor Sindh Dr.Ishrat ul Ebad samait Provincial Ministers shirkat karenge.

Doosri janib Earth Hour ke hawalay se Schools mein bhi aagahi programs ka ahtimam kiya ja raha hai jis mein bachon ko zameen ki hifazat se mutaliq aagahi di jayegi..

Australia Ne India Ko Semi Final Main Shikast Dekar World Cup Se Bahar Kar diya

Sydney: ICC World Cup Ke 2nd Semi Final Mein Australia Yak Tarfa Muqablay Ke Baad India Ko 95 Runs Se Shikast Dekar Final Mein Pohnch Gaya.

Australia ke sydney cricket ground mein khailay gaye match mein 329 runs ke target ke taqub mein poori indian team 233 runs par dhair ho gayi.

Indian Openers ne 76 runs ka acha aaghaz faraham kiya aur Shikhar Dhawan 45 runs bana kar out hue lekin sirf 2 runs ke izafay par virat kohli bhi aik run bana kar wickets ke peechay catch out hue.

91 ke total score par Rohit sharma bhi 34 runs bana kar pavellion lout gaye jab ke suresh raina bhi 7 runs ke mehman saabit hue. 5th wicket ke liye Ajinkya Rahane aur MS Dhoni ke darmiyan 70 runs ki shiraakat hui aur Rahane 44 runs bana kar Mitchell Starc ka shikaar banay.

Dhoni ke elawa koi bhi player Australian bowlers ka jam kar muqabla na kar saka aur wo 65 balls par 65 runs bana kar run out ho gaye.

Australia ki janib se James Faulkner ne 3 jab ke Mitchell Starc aur Mitchell Johnson ne 2,2 wickets haasil ki aik wicket Josh Hazlewood ke hissay mein aayi.

Australia ne india ke khilaaf pehlay khailtay hue muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 328 runs banaye.

Australia ne ining ka aaghaz kiya to un ki 1st wicket 15 ke score par giri jab David Warner 12 runs bana kar out ho gaye taham 2nd wicket ke liye Aaron Finch aur Steven Smith ke darmiyan 182 runs ki shiraakat hui aur Smith century score kar ke 105 runs par out hue.

3rd out honay walay player Glenn Maxwell thay jo 14 balls par 23 runs bana kar Ashwin ka shikaar banay aik run ke izafay ke baad 233 ke score par Aaron Finch bhi 81 runs score karne ke baad pavellion lout gaye.

Australian Captain Michael Clarke 10 runs se agay na barh sakay jab ke James Faulkner ne 12 balls par 21 runs ki ining kheli.

Shane Watson ne 28 runs ki ining kheli ining ke aakhri overs mein Mitchell Johnson ne 9 balls par 27 runs ki barq raftaar ining khail kar team ka score 328 runs tak pouncha diya.

India ki janib se Umesh Yadav ne 9 overs mein 72 runs dekar 4 players ko out kiya jab ke Mohit Sharma ne 2 aur Ashwin ne aik wicket haasil ki.

Australia ke Steven Smith ko shandaar century score karne par match ka behtareen player qarar diya gaya.

Mega event ka final 29 March ko Australia aur New Zealand ke darmiyan hoga..

Australia Ne Pakistan Ko Shikast Dekar World Cup Se Bahar Kar diya

Adelaide: ICC World Cup Ke 3rd Quarter Final Match Mein Australia Ne Pakistan Ko 6 Wickets Se Shikast dekar Semi Final Mein Rasai Haasil Karli Jub’ke Pakistan World Cup se bahar ho gaya.

Adelaide Oval Ground mein khailay gaye match mein Pakistan ne toss jeet kar batting ka faisla kiya jo us ke liye ziyada soodmand saabit na howa aur poori team 50 overs mein 213 runs bana kar out all out hogayi.

National team ke openers acha aaghaz faraham karne mein nakaam rahay aur 20 ke total  score par Sarfraz Ahmed 10 ke infiradi score par pavellion lout gaye jab ke Ahmed Shahzad 5 runs bana kar josh hazlewood ka shikaar banay.

Dono openers ke out honay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Haris Sohail ne team ko sahara diya aur 73 runs ki shiraakat qaim karte hue team ke total score ko 97 tak ponhca diya taham phir Misbah Ul Haq himmat haar gaye aur 34 ke infiradi score par
Glenn Maxwell ki ball par chakka maarny ki koshish mein boundary par catch out hogaye.

Pakistan ke 4th out honay walay player Haris Sohail thay jo 112 ke total par 41 runs bana kar Mitchell Johnson ka shikaar banay jab ke Umar Akmal 20 ke infiradi score par Maxwell ki ball par catch out hue.

Shahid Afridi aik baar phir jarehana ining khailnay ke iraday se crease par aaye lekin 23 runs par unki hijat bhi tamam hui jab ke Suhaib Maqsood bhi bari ining khailnay mein nakaam rahay aur 188 ke majmoi score par 29 runs bana kar out hogaye.

Deegar players mein Wahab Riaz 16, Sohail Khan 4 aur Ahsaan Adil 15 runs bana kar out hue.

Australia ki janib se Josh Hazlewood ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 35 runs dekar 4 players ko out kiya.

Mitchell Starc aur Glenn Maxwell ne 2,2 jub’ke James Faulkner aur Mitchell Johnson ne 1,1 wicket haasil ki.

Australia ne 214 runs ka target 34 over mein 4 wickets ke nuqsaan par poora kar ke Semi final ke liye qualify kar liya.

Australia ke liye bazahir Aasaan dikhne walay match mein aik baar phir us waqt jaan aagai jab 59 runs par is ke 3 player pavellion lout gaye taham
Steven Smith aur Shane Watson ne us mauqe par zimma daarana batting ka muzahira kiya aur 89 runs ki shiraakat qaim karkay team ki position aik baar phir mustahkam kardi.

Steven Smith ne 65 runs ki shandaar ining kheli Shane Watson 64 runs ki na qabil e shikast ining khail kar not out rahay.

Deegar players mein David Warner 24,Aaron Finch 2 aur captain Michael Clarke 8 runs bana kar out hue jab ke Glenn Maxwell 44 runs ki jarehana ining khail kar not out rahay.

Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 2 jub’ke Sohail Khan aur Ahsaan Adil ne 1,1 wicket haasil ki.

Behtareen bowling par Josh Hazlewood ko mean of the match se nawaza gaya..

Karachi Ke Elaqay Paper Market Mein Masjid Ke Bahar Dhamaka

Karachi: Paper Market Mein Masjid Ke Qareeb Dhamakay Ke Nateejay Mein 2 Afraad Jaan bahaq Jub’ke 20 Afraad Zakhmi Hogaye.

Report ke mutabiq Karachi mein Aaraam baagh thaanay ke elaqay paper market mein waqay burhani masjid ke bahar theek us waqt dhamaka howa jab log namaz-e-jumma ki adaigi ke baad bahar nikal rahay thay.

Dhamaka is qader shadeed tha ke us ki aawaz door door tak suni gayi.
Dhamakay se masjid ke qareeb khari motorcyclen tabah ho gai jub’ke qareebi shops aur buildings ke sheeshay toot gaye.

Is ke ilawa masjid ke markazi darwazay ko bhi nuqsaan pouncha.
Waqeye ki report mlitay hi police aur rangers ki bhaari nafri imdadi teams aur bomb disposel squad ka amlah jaye haadsa par pahonch gaya aur haadsay mein zakhmi afraad ko civil aur burhani hospital muntaqil kiya gaya jahan unhein tibbi imdaad di ja rahi hai.

Tibbi zaraye ne 2 afraad ke jaan bahaq jab ke khatoon samait 20 afraad ke zakhmi honay ki tasdeeq ki hai.

DIG Karachi janoobi Abdal khaliq Sheikh ne media se baat karte hue kaha hai ke dhamakay mein 2 kilo gram baroodi mawaad istemaal kiya gaya jo wahan khari aik motorcycle mein rakha gaya tha jab ke dhamaka time device ke zariye kiya gaya.

Dhamakay mein istemaal honay wali motorcycle ka number KGB-7264 hai jis ke maalik ka naam Liaqat hai aur woh kemari ka rehaishi hai..

Duniya Ko Badalny Wala .Com 30 Saal Ka Hogaya

San Francisco: Aaj Se Theek 30 Saal Qabal Maloomat Aur Khud Internet Ki Duniya Ko Tabdeel Karne Wala .com Domain Name Extension 30 Saal Ka Hogaya Hai Aur Iss Ka Aaghaz 15 March 1985 Ko Duniya Ki Pehli .com Website (symbolics.com) Ne Kiya.

Internet ka baqaida aaghaz difai maqsad ke liye kiya gaya tha aur Europe ke nuclear reserch center ‘CERN’ mein usay tayyar kiya gaya jab ke Tim Berners-Lee ko babaye internet qarar diya ja sakta hai lekin domain system ke baghair ye mumkin nahi tha isi liye 1991 se qabal aalmi internet ka khawab sharminda tabeer na ho saka.

.Com ki 30th Birth humain ye bhi yaad dilaati hai ke is mukhtasir arsay mein internet se herat angaiz inqalaabat barpaa karkay duniya ko tabdeel kardiya hai.

Sirf 10 saal qabal ki Websites aaj aik bohat barri technology ban chuki hain aur Applications ka naam dhundlaa gaya aur Apps ka aaghaz howa.

Phir Website chhotey screen ke liye bantay bantay ab pocket alaat ke liye bhi tayyar ki ja rahi hain.

Aaj internet ke baghair zindagi ka tasawwur mahaal hai sirf America mein hi internet se 300 arab dollar salana ki sell purchase hoti hai aur poori duniya mein internet 1. 3 trilion dollars ka kaarobar ho raha hai jab ke 3 arab afraad internet se munsalik hain..

Driver Ko Neend Se Jaganay Wala Head Band Tayyar

Washington: Pakistan Samait Duniya Ke Kayi Mumalik Mein Drivers Ki Neend Jaan Lewa Hadsaat Ki Aik Barri Wajah Hai.
Lekin (U Wake) Nami Aik Saada Ejaad Na Sirf Doran Driving Driver Ki Thakan Ko Note Karti Hai Balkay Ankhen Band Honay Par Usay Jagati Bhi Hai Yeh System Aap Ke Mobile Par Call Bhi Kar Sakta Hai.

Yeh nizaam kaam ke waqt neend ke jhonkay anay par aap ke ahl-e-khana aur doston ko bhi aagah kar sakta hai.

U wake ka band peshani par pehna jata hai jo musalsal dimaghi lehron ka jaiza laita rehta hai.

Neend ke ghalbay ki soorat mein woh aap ke smart phone par alarm ya ghanti baja kar aap ko jaga sakta hai gehri neend mein jane ki soorat mein yeh aap ke Aziz aur doston ko text karne ke sath sath Facebook aur Twitter par is ka pegham bhi post kar sakta hai.

Is Ejaad ko haal hi mein spain mein honay wali mobile world congress mein paish kiya gaya.

Kisi plastic band ki terha yeh ba’aasani peshani par fit hojata hai aur is ka aik clip kaan ki lou se jura rehta hai jisay shirt se bhi jora ja sakta hai aur isi wajah se woh dimagh ki durust reading laita rehta hai.

Display par neend thakawat ya ghunodghi ko (sifar) 0 se (so) 100 tak ke number diye gaye hain 0 ka matlab hai ke aap bilkul fresh hain jabkay reading 100 ka matlab hai ke aap neend ki intaha par hain.

U Wake ka bunyadi maqsad kayi ghanton tak truck chalanay walon aur aam drivers ko doran safar neend se bachana hai ta’kay ghunodghi se honay walay khofnaak hadso ko roka jasakay.

Taham usay der tak jaagne walay students aur workers par bhi aazmaaya ja sakta hai.

System jesy hi dimaghi sargarmi mein kami note karta hai wesy hi woh mobile phone par taiz tareen setting ke sath vibration ya call jari karta hai.

Isko aap mazeed afraad tak pegham pohanchanay ke liye bhi set kar saktay hain aur yeh aap ke boss aur doston tak bhi aap ki kefiyat poncha sakta hai.

Isko bananay walay experts kehte hain ke u wake ko is qabil bhi banaya ja sakta hai ke woh neend ki haalat mein dheeray dheeray car rok de ya usay automatic driving mood mein le jaye..

Karachi Mein Mehakma Income Tax Ki Building Mein Aag Lag Gayi

Karachi: fire brigade Ke Amlay Ne Mehakma Income Tax Ki Building Mein Lagi Aag Par 1 Ghantay Ki Koshish Ke Baad Qaboo Pa Liya.

Karachi mein sindh secretariat ke Ahatay mein waqay mehakma income tax ke 8th floor par waqay canteen mein aag lag gayi jis ne dekhte hi dekhte poori manzil ko apni lapait mein le liya isi waqeye ke douran building ke 4th floor mein bhi aag bharak uthi.

Waqeye ki report mlitay hi fire brigade ka amla mauqe par ponch gaya jis ne pehlay isnorkel ki madad se imarat mein phansay hue logon ko nikaal liya.

Amlay ne aik ghantay ki koshish ke baad aag par qaboo pa liya hai taham cooling ka amal jari hai..

Pakistan Ne South Africa Ko Dilchasp Muqablay Ke Baad Shikast Dedi

Auckland: ICC World Cup Ke Group Match Mein Pakistan Ne Dilchasp Muqablay Ke Baad South Africa Ke Khilaaf World Cup Ki Tareekh Mein Pehli Fatah Haasil Karli.

Auckland ke Eden Park mein khailay gaye match mein south africa ke captain AB De Villiers ne toss jeet kar Pakistan ko pehlay batting ki dawat di to barish ke baais match ko 47 overs tak mehdood kardiya gaya.

Pakistan ki janib se Sarfraz Ahmed aur Ahmed Shahzad ne ining ka aaghaz kiya lekin 8th over mein 30 runs ke total par Ahmed Shahzad 18 runs bana kar Kyle Abbott ki ball par catch out hogaye.

Sarfraz Ahmed ne 49 balls par 3 6s aur 5 4s ki madad se 49 runs ki umda ining kheli aur 17th over mein run out hue jab ke Younis Khan 37 runs bana kar AB De Villiers ki ball par catch out hue.

Suhaib Maqsood bhi ziyada der tak crease par tikne mein nakaam rahay aur 8 ke infiradi score par Kyle Abbott ka shikaar banay jab ke Umar Akmal bhi aik baar phir nakaam hotay hue 175 ke majmoay score par 13 runs bana kar pavellion lautay.

Is mauqe par National team ke mard bohraan Misbah Ul Haq ne aik baar phir zimma daarana batting ka muzahira kiya aur world cup ki 4th half century mukammal karte hue 56 runs ki shandaar ining kheli jis ki badolat National team 222 runs bana saki aur poori team 47th over mein out ho gayi taham south africa ko duckworth lewis method ke tehat 47 overs mein 232 runs ka target mila.

South Africa ki janib se Dale Steyn ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 3 players ko out kiya.
Kyle Abbott aur Morne Morkel ne 2,2 jab ke Imran Tahir aur AB De Villiers ne 1,1 wicket haasil ki.

South Africa ki team 232 runs ke hadaf ke taqub mein 34th over mein 202 runs par dhair hogayi aur Pakistan ne ye match 29 runs se jeet liya.

South Africa ne bazahir Aasaan nazar anay walay hadaf ke taqub mein batting ka aaghaz kiya to 1st over ki 2nd ball par hi Quinton de Kock baghair koi run banaye wicket ke peechay catch out hogaye jis ke baad Faf du Plessis crease par aaye aur Hashim Amla ke sath mil kar 67 runs ki shiraakat qaim ki taham phir du Plessis 27 ke infiradi score par Raahat Ali ka shikaar banay jab ke Hashim Amla bhi team ke majmoi score mein mazeed izafah kiye baghair 38 runs bana kar Wahab Riaz ki ball par wicket ke peechay catch out hogaye.

South Africa ke 3 players out honay ke baad Green Shirts ke players mein fatah ki umeed roshan honay lagi aur bowlers ne tabah kun karkardagi ka muzahira karte hue aik ke baad aik proteas batsman ko pavellion ki raah dikhayi taham south african captain AB De Villiers ki jarehana batting ne match ko sansani khaiz bana diya aur un ki 77 runs ki shandaar ining ne proteas ki fatah ki umeed jagaaye rakhi lekin un ka yeh khawab us waqt chikna chor hogaya jab woh 200 ke majmoi score par Sohail Khan ki ball par catch out hue.

Deegar players mein Rilee Rossouw 6, JP Duminy 12, Dale Steyn 16 aur Kyle Abbott 12 runs bana kar out hue.

Pakistan ki janib se Mohammad Irfan, Raahat Ali aur Wahab Riaz ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 3,3 jab ke Sohail Khan ne 1 player ko out kiya.
Behtareen performance par Sarfraz Ahmed ko man of the match se nawaza gaya..

Pakistan Ne UAE Ko 129 Runs Se Shikast Dedi

Napier: Pakistan Ne UAE Ko 129 Runs Se Shikast Dekar World Cup Ke Group’B’Mein 4th Position Haasil Karli.

Newzeland ke shehar napier ke McLean park mein khailay gaye match mein Pakistan ne UAE ke khilaaf pehlay batting karte hue 50 overs mein 6 wickets ke nuqsaan par 339 runs banaye hain.

Pakistan ki janib se Ahmed Shahzad aur Nasir jamshed ne ining ka aaghaz kiya lekin Nasir Jamshed aik baar phir buri terha nakaam rahay aur 12 balls par 4 runs bana kar out ho gaye.

Is ke baad Haris Sohail ne Ahmed Shahzad ke sath mil kar team ka score 170 runs tak pouncha diya.
Haris Sohail 70 runs bana kar out hue jab ke 176 ke majmoay per Ahmed Shahzad bhi 93 runs bana kar run out ho gaye.

Captain Misbah Ul Haq ne tournament ki 3rd fifty score ki aur woh 65 runs bana kar out hue. Suhaib Maqsood 45 jab ke Umar Akmal 19 runs bana paye.
Shahid Afridi ne sirf 7 balls par 21 runs ki jarehana ining kheli aur not out rahay.
UAE ki janib se Manjula Guruge ne 4 jab ke Mohammad Naveed ne 1 player ko out kiya.

UAE ki team 340 runs ke target ke taqub mein 8 wickets ke nuqsaan par 210 runs bana saki.
Batting ke baad bowling ke shobay mein bhi Pakistani players ne achi karkardagi ka muzahira kiya aur ining ke aaghaz se hi UAE ke batsmans ke gird shikanja kisay rakha jis ke baais hareef team ke batsman khul kar na khail sakay aur runs jornay ki koshish mein waqfay waqfay se wickts ganwatey rahay.

UAE ki janib se sab se zyada runs bananay walay Shiman Anwar thy jinhon ne 88 balls mein 62 runs ki ining kheli jab ke Khurram Khan 43 runs bana kar dosray numaya batsman rahay.

Deegar players mein Amjad Ali 14,Andri Berenger2,Swapnil Patil 36, aur Amjad Javed 40 runs bana sakay.

Pakistan ki janib se Sohail Khan,Shahid Afridi aur Wahab Riaz ne 2,2 jab ke Raahat Ali aur Suhaib Maqsood ne 1,1 wicket haasil ki.

behtareen batting par Ahmed Shahzad ko man of the match se nawaza gaya.

Match ke baad National team ke captain Misbah Ul Haq ka kehna tha ke wo aaj ke match mein players ki karkardagi se satisfy hain ta’ham South Africa ke khilaaf agla match bhi eham hai jis mein kamyabi ke liye humein mazeed mehnat karni hogi..

News
Karachi
March 2015
M T W T F S S
« Feb   Apr »
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
3031