Daily Archives: January 20, 2015
Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Barish
Karachi: Mulk Mein Baarisho Aur Barf bari Ka Sabab Ban’nay Walay System Ke Baais Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Kahin Halki To Kahin Taiz Barish Ho Rahi Hai.
Balochistan ke sahili elaqon Gwadar,Panjgoor,Turbat aur deegar mulhiqa elaqon mein guzashta raat se mosladhar barish jari hai jis se nashebi elaqay zere’Aab aagaye aur nadi naalon mein tughyani agai hai.
Kayi maqamat par musafir gariyaan phas gayi hain is ke ilawa neel nutt nadi mein tughyani ke baais Balochistan ke mukhtalif elaqon ka Karachi se zameeni rabita bhi munqita hogaya hai.
Balochistan mein daakhil honay walay baadalon ne Karachi samait Sindh ke beshtar sahili elaqon ko bhi apni lapait mein le liya hai jis se mukhtalif elaqon mein taiz hawaon ke sath kahin halki aur kahin taiz barish ho rahi hai.
Mehakma Mosamiyat ka kehna hai ke ainda 2 roz mein baarisho aur barf bari ka silsila poray mulk tak phail jayega.
Budh aur jumeraat ke roz Islamabad,Rawalpindi ,Sargodha,Gujranwala aur Lahore jab’kay Balochistan mein Queta,Qalaat,Pasheen aur qilah Saif Ullah jab’kay Khyber Pakhtunkhwa Azad Kashmir aur Gilgit Baltistan mein jummey tak barish aur barf bari hogi..