Rawalpindi Chitian Bhatiyan Mein Khud’kash Dhamaka
Rawalpindi ke Elaqay Chitian Bhatiyan Mein Imam Bargaah Ke Bahar Khud kash Dhamakay Mein 7 Afraad Jaan Bahaq Jab’kay Mutadid Zakhmi Hogaye.
Rawalpindi: Dehshat gardon ne aik baar phir waar kiya aur masoom shehrion ko apni darindgi ka nishana banaya.
Committee chowk ke qareeb bhabra bazaar ke ghunjaan abad muhallay chitian bhatiyan mein imam bargaah imam baara syed Abbu Mohammad Rizvi main mehfil milaad jari thi jis mein 50 se 60 afraad mojood thay.
Raat 9:15 bajay aik motorcycle sawaar imam bargaah ki taraf barha police ahelkaar Amaan Ullah ne usay roknay ki koshish ki to us ne motorcycle par hi khud ko ura liya. dhamakay se imarat ka samnay wala hissa munhadim ho gaya aur mehfil milaad mein shareek afraad dhamaka khaiz mawaad ki zad mein aa gaye har taraf dhuwen ke baadal chaa gaye aur cheekh o pukaar mach gayi kayi afraad mauqe par hi jaan bahaq ho gaye jab’kay mutadid buri tarha zakhmi huey.
Ghunjaan abad elaqay aur tang galiyo ki wajah se rescue teams ko wahan pounchanay aur imdadi kaam mein mushkilaat ka saamna karna para.
Maqami logon ka kehna hai ke mehfil milaad jari thi ke zor daar dhamakay ki aawaz aayi aur har taraf dhuwan aur guru gubhar chaa gaya.
Police,Rangers aur Army ki quick response force ke jawan mauqe par pahonch gaye aur elaqay ko ghairay mein le liya aur ghair mutaliqa afraad ko daur hata diya dhamakay se qareebi gharon ko bhi shadeed nuqsaan pouncha.
Zakhmiyon ko Rawalpindi ke mukhtalif hospitals mein daakhil kara diya gaya jahan kuch ki haalat tashweesh-naak hai tamam hospitals mein emergency nafiz kar di gayi.
Security hakkaam ke mutabiq dhamakay mein 10kg baroodi mawaad istemaal kiya gaya dhamakay ke baad kuch der tak asal surat haal ka pata na chal saka.
Police ne bhi wireless par cylinder dhamakay ki cal chalayi.
Dhamakay ke baad shehar ke mukhtalif elaqon mein security high alert kar di gayi. wazeer e azam Mohammad Nawaz shareef ne dhamakay ke waqey ka notice letay hue wizarat dakhla se report talab karli.
Asif Zardari aur Altaf Hussain samait siyasi rehnumao ki muzammat. Mazhabi tanzeemon ne 3 roza sog ka elaan kar diya.