Daily Archives: November 1, 2014
Wizarat-e-Dakhla Ka 9 Aur 10 Muhrram Ko Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla
Islamabad: Wizarat-e-Dakhla Ne 9 Aur 10 Muhrram Ko Security Khadshaat Ke Baais Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla Kiya Hai Jub’ke Sindh Hukumat Ne Karachi Samait 5 Izlaa Mein 8 se 10 Muhrram Tak Mobile Service Moattal Rakhnay Ki Darkhwast Ki Hai.
Report ke mutabiq wizarat dakhla ki janib se Muhrram mein security khadshaat se mutaliq high alert jari kiya gaya hai jis ke baais mulk bhar mein 9 aur 10 Muhrram ke douran mobile phone service ko bhi band rakhnay ka faisla kiya gaya hai.
Zaraye ke mutabiq wizarat dakhla ko jis sobai hukoomat ki janib se darkhwast masool hogi wahan aur hassas elaqon mein mehdood waqt ke liye service band ki jayegi.
Zaraye ka kehna hai ke mulk bhar mein Muhrram ke douran full proof security ko yakeeni bananay ke 32 hazaar 695 ahelkaar tainaat kiye jayen ge jin mein pak fouj rangers, frontier Constabulary aur FC ke troops shaamil honge jo mulk ke 54 mukhtalif izlaa mein faraiz injaam denge jub’ke is douran wizarat dakhla ke 12 Helicopter bhi high alert rakhay jayen ge taa kay kisi bhi nakhushgawaar waqea par sobai hukoomat ko fori tor par taawun faraham kya jasakay.
Zaraye ne bataya ke Paramilitaries forces ko 12 Muhrram tak insidaad e dehshat gardi act ke tehat khusoosi ikhtiyarat bhi somp diye gaye hain jis ke tehat dehshat gardon ki karwai roknay ke liye fori tor par mo-asar iqdamaat kiye ja sakenge.
Doosri janib Karachi police ki sifarish ke baad Sindh hukumat ne wifaq se 8 se 10 Muhrram tak mobile phone service moattal rakhnay ki darkhwast kardi hai.
Mehakma dakhla ke mutabiq Karachi , Hyderabad, Khairpur, Sukkur aur Larkana mein security khadshaat ke baais mobile phone service band rakhnay ki darkhwast ki gayi hai.
Khyber pakhtoon khuwa Hukumat ne yom-e-aashor ke mauqe par Peshawar , Hangu, Taank aur Deera ismael Khan ko intehai hassas qarar diya hai jub’ke security khadshaat ke paish e nazar hassas elaqon mein 9 aur 10 Muhrram ko mobile phone service moattal rakhnay ka bhi elaan kiya hai.
Hukumat Ne Petrol Ki Fi Letter Qeemat Mein 9 Rupay 43 Paisay Ki Kami Kar Di
Islamabad: Wazeer-e-Azam Nawaz Shareef Ne Petroleum Masnoaat Ki Qeematon Mein Kami Ki Manzoori DeDi Hai Jis Ke Baad Petrol Ki Qeemat 9 Rupay 43 Paisay Kami Ke Baad 94 Rupay 19 Paisay Hogayi.
Report ke mutabiq Aalmi mandi mein petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ke baad wazeer-e-azam Nawaz shareef ne bhi petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ki manzoori dedi jis ke mutabiq sab se ziyada high octane aur HOBC mein bal tarteeb 14 rupay 68 paisay kami ki gayi hai.
Jub’ke petrol ki qeemat mein 9 rupay 43 paisay kami ki gayi jis ke baad nai qeemat 94 rupay 19 paisay, diesel ki qeemat mein 6 rupay 18 paisay kami ke baad nai qeemat 101 rupay 21 paisay hogayi hai.
Isi tarha matti ke tail mein 8 rupay 16 paisay kami ki manzoori di gayi hai jis ke baad matti ka tail 87 rupay 12 paisay mein dastyab hoga jabkay high octane 116 rupay 15 paisay fi letter mein milega.
Wafaqi kabeena ke ijlaas ke douran petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ke elaan karte hue wazeer e azam Nawaz ka kehna tha ke petroleum masnoaat ki qeematon mein haliya kami misali hai jis ka barah e raast faida Aam fard ko milna chahiye.
Unhon ne charon sobon ke wazir-e-aala ko hidaayat ki ke sobai hukoomaten tansport ke kirayon aur ijnaas ki qeematon mein kami yaqeeni banayen.