Monthly Archives: November 2014
Sukkur Mein JUI (F) Ke Rehnuma Khalid Mahmood Soomro Qatilana Hamlay Mein Jaan Bahaq
Sukkur: Sabiq Senetor Aur Jamiat Ulema e Islam Sindh Ke Secretary General Dr. Khalid Mahmood Soomro Qatilana Hamlay Mein Jaan Bahaq Ho Gaye.
Dr. Khalid Mahmood Soomro Sukkur ki Gulshan Iqbal society mein jamea haqaniyah mein namaz Fajar ada kar rahay thy ke namaloom musallah mulzimaan ne un par andha dhund firing kar di.
Dr. Khalid Mahmood ko hospital muntaqil kya ja raha tha ke woh rastay mein hi dum tor gaye. Jamiat Ulema e Islam ke sobai tarjuman molana Abdul haq mahar aur un ke betay nasir Mahmood ne Dr. Khalid Mahmood ke jaan bahaq honay ki tasdeeq kar di hai.
Jamiat Ulema e Islam (F) ke rehnuma ke qatal ke baad Sindh ke mukhtalif elaqon mein halaat kasheeda ho gaye hain jab ke school, petrol pumps aur dukanain band karadi gayi hain taham markazi aur sobai qaideen ki janib se awam ko pur aman rehne aur sabar ki Talqeen ki ja rahi hai.
JUI (F) ke rehnumao ne mutalba kiya hai ke Dr. Khalid Mahmood Soomro ke qatilon ko fori tor par girftar kya jaye. Aaj Dr. Khalid Mahmood ke betay Dr. Atta Ur Rehman ki shadi bhi thi aur woh guzishta roz Sukkur mein aik convention mein shirkat ke liye gaye thay.
Dr. Khalid Mahmood ki namaz e janaza larkana mein un ke madrasay jamea islamia ashaat al quran wal hadees mein ada ki jaye gi jub’ke un ki tadfeen un ke aabadi gaon Aaqil mein ki jaye gi.
Police ne Dr. Khalid Soomro par hamlay ki ibtidayi report tayyar kar li hai jis mein kaha gaya hai ke 4 mulzimaan safaid rang ki corolla car mein aaye aur jamea haqaniyah ke pichlle darwazay se 3 mulzimaan andar daakhil hue, hamla aawar jadeed aslehay se lais thay aur unhon ne deegar namazion ko hata kar sirf Dr. Khalid Mahmood Soomro ko nishana banaya aur faraar ho gaye. hamlay ke waqt Dr. Khalid Soomro ka Muhafiz wuzu bana raha tha jab ke mulzimaan balochi zabaan mein baat cheet kar rahay thay.
Wazeer-e-Azam Nawaz shareef, wazeer e aala Punjab Shahbaz shareef aur Ameer jamaat islami Siraj Ul Haq samait siyasi o mazhabi jamaaton ke rehnumao ne Dr. Khalid Mahmood Soomro ke qatal ki shadeed alfaaz mein muzammat ki hai jab ke Jamiat Ulema e Islam ke sarbarah molana fazl-Ul-Rahman ne fori tor par qatilon ki giraftari ka mutalba kiya hai.
Sabiq saddar Asif Ali Zardari ne Dr. Khalid Mahmood Soomro ke qatal par dukh ka izhaar karte hue wazeer e aala Sindh Syed Qaim Ali Shah ko telephone kiya aur qatilon ki giraftari ke liye tamam tar wasail barooay car laane ka hukum diya.
IG Sindh police ne waqeye ka notice letay hue fori tor par report talab kar li hai.
Wazeh rahay ke Dr. Khalid Mahmood Somro ka talluq larkana se tha aur woh 26 saal tak JUI (F) ke secretary general rahay, 2006 mein senetor muntakhib hue aur mukhtalif committeyon ke chaiman rahay.
Dr. Khalid Mahmood par pehlay bhi 5 martaba qatilana hamla ho chuka tha jab ke kuch arsay qabal bhi un par rato dero mein qatilana hamla kiya gaya tha.
Dr. Khalid Mahmood ka shumaar JUI (F) ke markazi rehnumao mein kya jata tha,
Sindh ki siyasat mein un ka Eham kirdaar raha hai aur JUI (f) ke Sindh mein jalson ke tamam tar intizamaat Dr. Khalid Mahmood hi kiya karte thay..
Karachi Ke Elaqay Gulsitan-e-Johar Jhopriyon Mein Aag Lagnay Se Khatoon Jan-bahaq
Karachi: Gulsitan-e-Johar Mein Waqay Jhopriyon Mein Aag Lagnay Se Khatoon Jhulas Kar Kaan Bahaq Jab’ke 6 Afraad Zakhmi Hogaye.
Report ke mutabiq Karachi ke elaqay Gulsitan-e-Johar block 16 mein waqay Jhopriyon mein se aik mein khana pakanay ke douran aag lag gayi jis ne dekhte hi dekhte atraaf mein waqay deegar Jhopriyon ko bhi apni lapait mein le liya.
Waqeye ki ittila mlitay hi fire brigade ki aik gaari ne mauqa par pahonch kar aag par qaboo panay ki koshish ki ta’hum sorat e haal ki sangini ko dekhte hue mazeed 5 gariyaan aur aik water browser bulaya gaya jis ne aik ghantay ki mushaqqat ke baad aag par qaboo pa liya.
Atishzadgi ke waqeye mein aik khatoon jhulas kar jaan bahaq jabkay 5 bachon samait 6 afraad zakhmi hogaye,
Zakhmion ko fori tor hospital pouncha diya gaya jahan inhen tibbi imdaad faraham kardi gayi hai.
Sukkur Ke Qareeb Coach Aur Truck Mein Tassadum Se 59 Afraad Jan’Bahaq
Sukkur: Therhi Bypass Ke Qareeb Coach Aur Truck Mein Tassadum Ke Nateejay Mein Jan’Bahaq Afraad Ki Tadaad 59 Ho Gayi Jub’ke Khawateen Aur Bachon Samait Mutadid Afraad Zakhmi Hain.
Report ke mutabiq Peshawar se Karachi Aanay wali musafir bus 79 musafiron ko lekar Aa rahi thi ke Sukkur mein therhi bypaas ke qareeb koylay se bharay truck se takra gayi jis ke nateejay mein 59 afraad jaan bahaq jab ke khawateen aur bachon samait 20 zakhmi hogaye.
Imdadi teams ke ehalkaron ne haadsay mein jaan bahaq aur zakhmi honay walon ko fori tor par civil hospital khiarpur muntaqil kiya jahan zakhmion ko tibbi imdaad di ja rahi hai jab ke doctors ka kehna hai ke 6 afraad ki halat tashweesh-naak honay ke baais halakaton mein izafay ka khadsha hai.
Khairpur hospital mein emergency nafiz kar ke tamam doctors ko fori tor par talab kar liya gaya hai.
MS civil hospital khairpur ka kehna hai ke haadsay ke nateejay mein 56 lashain hospital layi gayi jin mein 18 khawateen aur 12 bachay shaamil hain jab ke 13 zakhmion ko bhi tibbi imdaad di ja rahi hai aur shadeed zakhmion ko larkana aur Karachi ke hospitals mein muntaqil kar diya gaya hai.
Haadsay mein bus ka driver waheed jan’bahaq jab ke truck ke driver Ali Ahmed ki taang toot gayi.
Rescue zaraye ka kehna hai ke haadsa itna shadeed tha ke haadsay ke baad bas mein aag lag gayi jab ke sarrak par koyla phail gaya.
DIG Motorway AD khwaja ne bataya ke haadsay ki asal wajah Road ki kharab sorat-e-haal hai jab ke haadsay ka shikaar bas over loaded thi jis ka over speed par motorway police ne chalaan bhi kya tha.
Unhon ne bataya ke Road ki kharab sorat-e-haal aur over speed ke baais driver bus par apna qaboo kho betha aur bus Road ki doosri taraf qlabazyan khatay hue ja pohanchi jahan mukhalif simt se Aanay walay koylay se bharay truck se takra gayi jis ke baais halakaton mein izafah howa.
Wafaqi Hukoomat Ne Chotey Commercial Sarfeen Se” Extra” Tax Wusool Karna Shuru Kar diya
Islamabad: Hukoomat Ne Chotey Commercial Sarfeen Ke Bijli Ke Bills Mein Chupkay Se “Extra” tax Laga Kar Is Ki Vasuli Bhi Shuru Kardi.
Report ke mutabiq wizarat khazana ke shadeed dabao per chote commercial sarfeen se naya tax bills mein wusool kiya ja raha hai jis ka naam extra ya farther tax rakha gaya hai yahi waja hai ke September aur october ke bills mein sarfeen ko zayed bill wusool hue jisay baaz sarfeen ne jama bhi kara diya.
Jin commercial sarfeen par yeh tax lagaya gaya un mein chotey Dukandaar, Mochi, Naai, Qasai, Nan bayi aur workshop shaamil hain jin ke pocket par hukoomat ki janib se chupkay se daka mara gaya hai jo pehlay se aed karda GST ke ilawa hai.
Doosri janib lisko, fesko samait tamam distrubution companies ne bills mein chupkay se naye tax ki mukhalfat ki thi aur hukoomt ko aagah kiya tha ke yeh kaam FBR ka hai aur zayed bil anay ki soorat mein awam un ke dafatir pur hamla aawar honge is liye extra tax na wusool kiya jaye ta’hum wizarat khazana ke shadeed dabao par khamoshi se tax ki vasuli shuru kar di gayi.
Gariyaan Tornay Par Saza Yafta Mulzim Gullu Butt Ne Saza Ko Adalat Mein Challenge Kar Diya
Mutasireen Ne Shikayat Darj Nahi Karai, Police Ki Jhooti Gawahi Par Saza Di Gayi, Kaladam Qarar Di Jaye : Wakeel Gullu Butt
Saniha model town mein gariyon ki tor phor case mein saza Yafta ne saza ko Lahore high court mein challenge kar diya hai.
Advocate kashif zaidi ki wasatat se Gullu butt ne dair ki jane wali appeal mein muaqqaf ikhtiyar kiya ke insidaad e dehshat gardi ki khusoosi adalat ne gariyon ke tor phor ke muqadmay mein haqaiq ke bar aks faisla sunaya halan’ke jin afraad ki gariyon ke sheeshay torrey gaye un mein se kisi ne bhi na to shikayat darj karwai aur na hi adalat mein gawahi di.
Qanoon ke tehat mutasira fariqain agar gawahi na de to saza nahi sunai ja sakti lekin is ke ba’wajood trial court ne police Ahalkaron ki jhooti gawahi ki bunyaad par 11 Saal 3 Maah qaid aur 1,11,000 rupay jurmana ki saza sunai.
Lehaza adalat se istada hai ke ki saza ko kaladm qarar day kar riha kiya jaye.
Wizarat-e-Dakhla Ka 9 Aur 10 Muhrram Ko Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla
Islamabad: Wizarat-e-Dakhla Ne 9 Aur 10 Muhrram Ko Security Khadshaat Ke Baais Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla Kiya Hai Jub’ke Sindh Hukumat Ne Karachi Samait 5 Izlaa Mein 8 se 10 Muhrram Tak Mobile Service Moattal Rakhnay Ki Darkhwast Ki Hai.
Report ke mutabiq wizarat dakhla ki janib se Muhrram mein security khadshaat se mutaliq high alert jari kiya gaya hai jis ke baais mulk bhar mein 9 aur 10 Muhrram ke douran mobile phone service ko bhi band rakhnay ka faisla kiya gaya hai.
Zaraye ke mutabiq wizarat dakhla ko jis sobai hukoomat ki janib se darkhwast masool hogi wahan aur hassas elaqon mein mehdood waqt ke liye service band ki jayegi.
Zaraye ka kehna hai ke mulk bhar mein Muhrram ke douran full proof security ko yakeeni bananay ke 32 hazaar 695 ahelkaar tainaat kiye jayen ge jin mein pak fouj rangers, frontier Constabulary aur FC ke troops shaamil honge jo mulk ke 54 mukhtalif izlaa mein faraiz injaam denge jub’ke is douran wizarat dakhla ke 12 Helicopter bhi high alert rakhay jayen ge taa kay kisi bhi nakhushgawaar waqea par sobai hukoomat ko fori tor par taawun faraham kya jasakay.
Zaraye ne bataya ke Paramilitaries forces ko 12 Muhrram tak insidaad e dehshat gardi act ke tehat khusoosi ikhtiyarat bhi somp diye gaye hain jis ke tehat dehshat gardon ki karwai roknay ke liye fori tor par mo-asar iqdamaat kiye ja sakenge.
Doosri janib Karachi police ki sifarish ke baad Sindh hukumat ne wifaq se 8 se 10 Muhrram tak mobile phone service moattal rakhnay ki darkhwast kardi hai.
Mehakma dakhla ke mutabiq Karachi , Hyderabad, Khairpur, Sukkur aur Larkana mein security khadshaat ke baais mobile phone service band rakhnay ki darkhwast ki gayi hai.
Khyber pakhtoon khuwa Hukumat ne yom-e-aashor ke mauqe par Peshawar , Hangu, Taank aur Deera ismael Khan ko intehai hassas qarar diya hai jub’ke security khadshaat ke paish e nazar hassas elaqon mein 9 aur 10 Muhrram ko mobile phone service moattal rakhnay ka bhi elaan kiya hai.
Hukumat Ne Petrol Ki Fi Letter Qeemat Mein 9 Rupay 43 Paisay Ki Kami Kar Di
Islamabad: Wazeer-e-Azam Nawaz Shareef Ne Petroleum Masnoaat Ki Qeematon Mein Kami Ki Manzoori DeDi Hai Jis Ke Baad Petrol Ki Qeemat 9 Rupay 43 Paisay Kami Ke Baad 94 Rupay 19 Paisay Hogayi.
Report ke mutabiq Aalmi mandi mein petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ke baad wazeer-e-azam Nawaz shareef ne bhi petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ki manzoori dedi jis ke mutabiq sab se ziyada high octane aur HOBC mein bal tarteeb 14 rupay 68 paisay kami ki gayi hai.
Jub’ke petrol ki qeemat mein 9 rupay 43 paisay kami ki gayi jis ke baad nai qeemat 94 rupay 19 paisay, diesel ki qeemat mein 6 rupay 18 paisay kami ke baad nai qeemat 101 rupay 21 paisay hogayi hai.
Isi tarha matti ke tail mein 8 rupay 16 paisay kami ki manzoori di gayi hai jis ke baad matti ka tail 87 rupay 12 paisay mein dastyab hoga jabkay high octane 116 rupay 15 paisay fi letter mein milega.
Wafaqi kabeena ke ijlaas ke douran petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ke elaan karte hue wazeer e azam Nawaz ka kehna tha ke petroleum masnoaat ki qeematon mein haliya kami misali hai jis ka barah e raast faida Aam fard ko milna chahiye.
Unhon ne charon sobon ke wazir-e-aala ko hidaayat ki ke sobai hukoomaten tansport ke kirayon aur ijnaas ki qeematon mein kami yaqeeni banayen.