Daily Archives: September 20, 2014

Karachi Chember Ko’ In Trade Malaysia ‘ Mein Shirkat Ki Dawat

Karachi: Pakistan Mein Malaysian Palm Oil Ki Dar’Aamdi Sar Garmiyon Mein Kami Tashweesh-naak Hai Kyun Kay Ab Pakistan Mein Palm Oil Ka Hissa 91% Se Ghatt Kar 55% Par Agaya Hai.

Ye baat Karachi mein malaysia ke consul general Abbu Bakar Mamat ne Karachi chamber of commerce and industry mein taajiron o sanat karon se khitaab karte hue kahi.
Unhon ne kaha ke bahami tijarat ke hajam ko barhaane ke liye dono mumalik ke taajiron ko Aaps ke rawabit barhana honge aur bahami tijarat ki raah mein haail rukawaton ki nishandahi karte hue tajaweez dena hogi.

Malaysian consul general ne kulalmpur malaysia mein 20 october se shuru honay wali teen roza ‘in trade malaysia 2014′ numaish mein Karachi chamber ko shirkat ki dawat dete hue kaha ke malaysia external trade development corporation har saal tijarat aur bar’Aamdaat ke farogh ke liye’ ‘ international trade malaysia’ ‘ numaish ka ineqad karta hai jis ka maqsad mulki o ghair mulki tajir baradri ke darmiyan raabtey ustuwar karne, karobari shiraakat daari, Ideas aur bahami maloomat ka tabadla karna hai jo globle market mein karobari rasai ke khwahish mand hain.

Unhon ne kaha ke numaish mein shirkat se Pakistani taajiron ko Malaysian ashya ka jaiza lainay aur taajiron ke sath raabtey barhaane ke sath sath kaarobar ki nai rahein talaash karne ke mawaqay bhi muyassar ayenge ke kis tarha dono mumalik ke darmiyan tijarat ko farogh diya jasakay.

Is mauqa per karachi chamber of commerce ke saddar Abdullah Zaki ne chamber ki sar’garmiyon pr tafseli roshni daaltay hue kaha ke Pakistani taajiron ke duniya ke mukhtalif taajiron ke sath behtar taluqaat ustuwar karne ke liye Karachi chamber pal ka kirdar ada kar raha hai.

Unhon ne tajweez di ke tijarti wafood ke mutawatar tabadlay, malomati aur single country numaishen, seminar aur conference ke ineqad se tijarti taluqaat ko behtar bananay mein madad milegi jo dono mumalik ki maeeshat ke liye sazgaar saabit hoga.

Unhon ne kaha ke mayaari taleem ke farogh ke liye aik nuqta nazar ke sath Pakistan aur malaysia mein universities ke darmiyan mazboot rawabit peda karne ki zaroorat hai,

Is silsilay mein Pakistani students ko bhi malaysia mein taleem haasil karne ki sahoolat faraham ki jani chahiye.

Imran Khan Ne Civil Nafarmani Ki Tehreek Ke Tehat Apna Bijli Ka Bill Jala Diya

Islamabad: Chaiman Tehreek Insaaf Imran Khan Ne Civil Nafarmani Ki Tehreek Ke Tehat Dharnay Mein Apna Bijli Ka Bill Jala Diya Jab Ke Dharnay Mein Mojood Shurka Ne Bhi Apne Bil Jala Dalay.

Islamabad mein D chowk par dharnay ke shurka se khitaab karte hue Imran Khan ne kaha ke Nawaz Sharif kisi ghalat fehmi mein na rahen ke mein yahan se thak kar chala jaoon ga,
Hum ne barri Eid ka plan bana liya hai hum qurbani bhi dharnay mein hi karen ge kyun kay agar hum yahan se chalay gaye to dhandli ki koi tehqiqaat nahi hogi.

Unhon ne kaha agar Nawaz Sharif ne resign nahi diya to un ke liye har din mushkil hota jaye ga jabkay hukoomat ne hamaray Aadhay mutalibaat bhi nahi manay aur mutalibaat maan’ne ki baatein kar kay jhoot bola ja raha hai.

Imran Khan ka kehna tha ke Nawaz Sharif apne aap ko Quied-E-Azam se na milaain,
Quaid-E-Azam ne mulk Iqtidaar ke liye nahi balkay Pakistanio ke liye banaya tha unhon ne Pakistan banaya tha factories nahi banayen,

Quaid-E-Azam ne hamesha sach bola aur Nawaz Sharif ke jhoot be shumaar hain. unhon ne kaha ke hamaray yahan jama honay ka maqsad qoum ko un ke haqooq batana hai jaisay hi awam ko apne haqooq ka pata chal jaye ga tab kisi bhi hukumran mein awam ko bheer bakrion ki tarhan rakhnay ki jurrat nahi hogi.

Chaiman tehreek insaaf ne kaha ke mazdooron par zulm ho raha hai lekin koi poochnay wala nahi hai,

Sindh ke hariyon par jageerdaroon jaisa zulm kahin bhi nahi dekha,
Zulm kahin par bhi ho muqaabla karna sab ka farz hai aur hum isi zulm ke khilaaf Islamabad mein baithy hain kyun kay zulm O Na-insafi ka muqaabla karna jehaad hai jab’kay ab awam bhi hamaray nazariye ke liye uth khari hui hai…

News
Karachi
September 2014
M T W T F S S
« Aug   Oct »
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930