Daily Archives: September 18, 2014
World Cup Ki Fatah Ke Liye Saeed Ajmal Ka Team Mein Hona Zurori Nahi, Javed Miandad
Karachi: Pakistan Ke Sabiq Maaya Naz Batsman Javed Miandaad Ne Kaha Hai Ke World Cup Ke Tournament Mein Fatah Ke Liye Saeed Ajmal Ka Team Mein Hona Zaroori Nahi,
World cup ki trophy Lahore se Karachi pounchanay par is ka shandaar istaqbaal kya gaya.
Is mauqa par munqaid taqreeb se khitaab mein sabiq Pakistani legend batsman Javed miandaad ne kaha ke agar Saeed Ajmal par world cup ke Aaghaz tak pabandi barqarar rehti hai tab bhi Pakistan world cup jeetnay ki salahiyat rakhta hai.
Unka kehna tha ke Pakistan world cup jeet chuka hai jo tareekh ka hissa hai. agar Pakistani players apni poori salahiyaton ke sath khelain to qaumi team aik baar phir world cup jeetnay mein kamyaab hogi.
Javed miandaad ne aik sawal ke jawab mein kaha ke Pakistani team ko kisi aik player par hi inhisaar nahi karna chahiye. Aese player ke baray mein kyun socha jaye jo team ka hissa hi nahi hai balkay dosray khiladion ko apni zimma darion ko poora karna chahiye.
Wazeh rahay ke world cup Australia aur newzeland mein february se March ke douran khela jaye ga jab’ke Pakistan apna pehla match rawayeti hareef india ke khilaaf 15 february ko Adelaide mein khailay ga.
India Ne teh Shuda Tareeqa Kar Ke Tehat Pakistan Mein Selabi Pani Chorra,Indian High Commissioner
Karachi: Pakistan Mein Mutayyan Indian High Commissioner Ka Kehna Hai Ke Selabi Pani Par Pak India Moahida Mojood Hai Jis Par India Ne teh Shuda Tareeqa Kar Ke Tehat Pakistan Mein Selabi Pani Chorra,
Report ke mutabiq indian high commissioner T A C Raghon ne kaha ke mustaqbil qareeb mein pak india wazraye Azam ki mulaqaat mutawaqqa nahi jabkay indian prime minister narindar modi ke dora Pakistan ka schedule bhi teh nahi hai.
Unhon ne kaha ke selabi pani par pak india moahida mojood hai aur india ne teh shuda tareeqa kar ke tehat selabi pani chorra hai.
Indian high commissioner ka kehna tha ke guzishta dahaiyon se do Tarfa taluqaat mein doorian rahien lihaza ab ikhtilafat bhula kar haqeeqi muzakraat ki taraf jana hoga.