Daily Archives: July 25, 2014
Islamabad Samait Mukhtalif Shehron Main Barish Mousam Khushgawar
Rawalpindi, Islamabad Samait Mukhtalif Shehron Main Barish Se Mousam Khushgawar Ho Gaya karachi Main Bonda bandi Jub’ke Lahore Main Badalon Aur Suraj Ke Darmiyaan Ankh Macholi Ka Silsila Jaari Hai,
Rawalpindi Islamabad main abar-e-karam ki bondon ne garmi ka zor tor diya karachi main bhi bonda bandi se mousam haseen ho gaya,
Mosamyaat ke mutabiq Karachi, Thatta, Badin, Hyderabad, Mirpurkhas, Thar, Sukkur, Larkana, Jacobabad aur Umerkot main mosam thanda renhe aur halki barish ka imkaan hai,
Lahore main bhi badalon aur suraj ke darmiyaan ankh macholi ka silsila jaari hai.
Mehkamaye mosamiyaat ke mutabiq 24 ghanton ke douraan Rawalpindi, Islamabad, Lahore, Gujranwala, Sargodha, Sahiwal, Faisalabad, Kashmir aur Khyber Pakhtoonkhwa main aksar maqamaat per barish ki peshan goi ki hai,
Jub’ke Multan, Bahawalpur, Dera Ghazi Khan division, Gilgit-Baltistan, Zhob aur Kalat Division main kahien kahien tez hawa aur garj chamak ke sath barish ho sakti hai..
National Grid Main Kharabi Se Karachi Mian Bijli band Aur Pani Ki Farahmi bhi Mutasir
Karachi: National Grid Station Main Kharabi Ke Bais Karachi Main Bijli Band Ho Gai Jub’ke Dhabeji Pumping Station Main Bijli Ke Breakdown Ke Bais Karachi Ko Pani Ki Supply Bhi Mutasir Ho Gai,
K-Electric ke tarjuman ke mutabiq national gird main fanni kharabi ke bais karachi ko bijli ki supply band hai.
New Karachi, North Nazimabad, Gulshan-e-Iqbal, Gulistan-e-Johar, Defence Society, Malir, Landhi, Korangi, FB Area, Karachi, Islamabad, Gulshan Maymar aur deegar elaqon ko bijli ki supply band hai,
Dosri janib dhabeji pumping station main bijli ke breakdown ke bais karachi shehar ko pani ki supply mutasir ho gai hai.
Tarjuman water board ke mutabiq 6 ghante se bijli ke break down ke bais shehar ko 5.6 milloin gallons pani ki kami ka samna hai jub’ke phase 4 pumps aur k three 2 pumps ta’haal bijli na hone ke bais band parre hain,