Monthly Archives: June 2014
Karachi Ke Hassas Maqamaat Per Fouji Dastay Tainaat
Shumali Waziristan Main Fouji Optation Ke Baad Karachi Ke Hassas Maqamaat Per Fouji Dastay Tainaat Kar Diye Gaye Hain,
Karachi main dehshat gardon ke hamlay ke khadshy ke tehat shehar bhar main security intezamaat sakht kiye ja rahe hain,
Shehar bhar ke hassas maqamaat per Pak fouj ke dastay tainaat kar diye gaye hain. Shehar ke hassas maqamaat per tainaati ke liye dastay malir shaoni se rawana howe,
Pak fouj ke daston main baktar bund gariyaan bhi shamil hain.
ISPR zaraye ke mutabiq pak fouj ke dastay Airport, Central Jail aur deegar maqamaat per tainaat hongay jub’ke shehar ke deegar hassas maqamaat per fouj ko Stand-by position per rakha jayega..
Mulk Mian Cotton Ginning Season Ka Aghaaz Ho Gaya
Punjab Main 2 Factories Ne Kaam Start Kar Diya Hai,
Pakistan Cotton Ginners Association Ehsan ul Haq ke mutabiq Mulk Main cotton ginning ke new season ka aghaaz ho gaya hai,
Punjab main Haroon Abad District Bahawalnagar main 2 ginning factories ne kaam start kar diya hai.
Iss haftey shahdad por sindh ki ek ginning factory main kaam start hone ki umeed hai..
Pakistan Ne Asian Squash Championship Ka Title Jeet Liya
National Players Ne Apne Aezaaz Ka Kamyaab Difaa Karte huwe Fatohaat Ki Tadaad 14 Kar Li,
Asian Squash Federation ke zar-e-ahtimaam 17th event hong kong main huwa.
Team event main pakistani players ne zabardast kheel pesh kiya unhone apne aezaaz ka kamyaab difaa karte huwe 14th time title apne naam kiya,
Faisla kun marke main malaysia ko 2-1 ki shikast howi pakistan ki faatehh team main Danish Atlas, Farhan Mehboob, Nasir Iqbal, aur Farhan Zamaan shamil thy..
Foot Ball World Cup: England Aur Italy Ki Teams Aaj Mad’Muqabil hongi
Foot Ball World Cup Main England Aur Italy Ki Teams Aaj Apne Group Ke Eham Match main In Action Ho Rahi Hain,
Aaj hone waley group ke eham match main england aur itly ki teams mad’muqabil hongi dono teams abhi tak 24 baar amne samne Aa chuki hain jis main england ko 8 baar kamyabi hasil hui aur 9 baar Italian team ko fateh ka aizaaz hasil hua jub’ke 7 matches draw huwy,
Tournament main apne pehlay group match main fateh ke liye dono teams ne apni tayariyon ko Aakhri shakal de di hai,
Hareef teams 25veen baar foot baal ground main ek dosre ko zer karne ke liye in action hongi.
English team ke captain Stephen jyrad ka kehna hai ke Stryker Danny Uylbyk mukammal fit ho chuke hain aur aaj ke match main apni salahiyateain dekhayengay,
Dosri janib Italian team ke captain ne pehlay hi haul main english team ko thikaney lagane ka dava kiya hai.
itly ki team main Mario bylatuly aur Daniel D. Rusi apni behtreen performance dekhaney ke liye pur azam hain..
Karachi Ke Mukhtalif Elaqon Main Barish, Trafic Hadsaat Main 2 Afraad Ja’bahaq kaie Zakhmi
Karachi: Shehar Ke Mukhtalif Elaqon Main Barish Se Mousam Khushgawar ho Gaya Jub’ke Sarkon Per Phislan Ke Bais Trafic Hadsaat Main 2 Afraad Jan’bahaq Aur Kaie Zakhmi Ho Gaye,
Report ke mutabiq kaie roz ki shadeed garmi ke baad guzishta raat se hi karachi ke elaqay Korangi, Defence, Nazimabad, Liaquatabad, Landhi, Gulshan, FB Area, aur North karachi samait mukhtalif elaqon main halki phulki barish ka silsila raha jis se garmi ka zor toot gaya aur mousam khushgawar ho gaya,
Dosri janib mehkamae mosamiyaat ka kehna hai ke shehar main mazeed barish ki umeed hai.
Barish se phislan ke bais Defence mor ke qareeb 2 gariyon ki takkar se 1 shakhs Jan’bahaq aur 4 zakhmi ho gaye jub’ke super highway dumba goth ke qareeb gari ulatne se 1 shakhs Jan’bahaq 2 zakhmi ho gaye,
Nazimabad gujjar nalay ke qareeb bhi 1 truck be’qabo ho kar mutasra truck se takra gaye jis ke natijay main 8 afraad zakhmi ho gaye.
Accident main zakhmi honay walay afraad fori ko treatment ke liye Abbasi shaheed hospital muntaqil kiya gaya iss ke elava Qayoomabad ke qareeb bhi subzi se bhari hui gari truck se takra gai jis ke natijay main 2 afraad zakhmi ho gaye,
Barish ke bais jahan shehriyon main khushi ki lehar dour gai hai aur mukhtalif elaqon main bijli ki bandish ne awaam ki khushiyon per pani phair diya hai aur mukhtalif elaqon main shehriyon ko pani ki qillat ka bhi samna hai iss ke elawa sarkon per phislan ke bais trafic ki rawani bhi mutasir hui hai..
Baheera Arab Main Toofan Se Pakistan Ke Saleli Elaqay Mutasir honey Ka Khadsha
Mehkmae Mosamiyaat Ka Kehna Hai Ke Bahera Arab Main Ban’ne Walay Samandari Toofan Se pakistan Ko Koi Khatra Nahi Ta’hum Iss Ke Asraat Se Friday Se Ly kar Sunday tak Balochistan Ke Saleli Elaqaon Main Garaj Chamak Ke Sath Barish Ke Imkanaat Hain Jub’ke Karachi Samait Sindh Main Bhi Barish Ke Imkanaat Hain,
Mehkmae Mosamiyaat ke mutabiq iss waqt samandari toofan bahera arab main moujood hai jo 10.km fee ghanta ki raftaar se west north west amman ki janib barh raha hai aur 15 june ko amman ke saheli elaqon se takrayega,
Mehkmae Mosamiyaat ke mutabiq samandari toofan se pakistan ko koi khatraat nahi hain ta’hum iss ke asraat sindh aur balochistan ke saheli elaqon per martab hone ke inkanaat hain,
Samandari toofan ke bais friday se ly kar sunday tak balochistan ke saheli elaqon main garaj chamak ke sath barish hone ke imkaanat hain jub’ke karachi samait sindh ke saheli elaqon main halki se taiz barish hone ke imkaanat moujood hain,
Mehkmae Mosamiyaat ka kehna hai ke in dino samandar main lehrain moderate se buland rahengi iss liye fishermen khulay samandar main jane se Avoide karen jub’ke citizenbhi in dino samandar per jane se ahtiyaat karen..
World Bank Ne Pakistan Ke Liye 70 Caror Dollar Bila Sood Qarz Ki Manzori Dedi
New York: World Bank Ne Pakistan Main Bijli Ke Project Ke Liye 70 Caror Dollar Bila Sood Qarz Ki Manzori Dedi hai,
Guzishta roz World Bank ke Executive Directors ka ijlaas hua jis mian tamaam Participants ne mutafqa tor per pakistan main Dasu hydropower project aur Sindh main Irrigation project ke liye 70 caror dollar bila sood qarz ki himayat ki,
World Bank ne pakistan main Dasu hydropower project ke liye 60 caror dollar jab ke Sindh main Irrigation ke projects ke liye 10 caror dollar qarze ki manzori dedi,
Federal Finance Minister Ishaq Dar ka kehna hai ke World Bank ki janib se pakistan ke liye manzor kiya jane wala qarza riayati aur sasta hai.
Pakistan ye qarz 25 saal ke douraan wapis karega aur qarze ke liye koi sood nahi hai iss per salana 2% intezami charge wasool kiya jayega unka kehna tha ke hukumat mulk ko tawanai ke shoube main khud kafeel banane ke liye awam se kiye gaye waday pooray karegi,
Iss se pehly bhi World Bank ne May 2014 main pakistan ke liye 10 lakh dollar qarz ki manzori di thi..
Karachi Mai National Highway Ke Qareeb Car Cylinder Dhamaka
Karachi: National Highway Ke Qareeb Cylinder Dhamake Mian 4 Afraad Shadeed Zakhmi Ho Gaye Jinhaien Fori Medical Aid Ke Liye hospital Muntaqil Kar Diya Gaya,
Report ke mutabiq karachi mai national highway ke qareeb shaheed Muraad road per khari car mai zor’dar dhamaka hua jis ke natijay mai car mai sawar 4 afraad shadeed zakhmi ho gaye jab’ke dhamake se car ko shadeed nuqsaan poncha aur us mai Aag bhi lag gayi,
Ibtedai report ke mutabiq dhamaka CNG Cylinder ka tha dhamake ke baad rescue idaray ke ahlkaaron ne moqay per ponch kar imdaadi karwaiyaan shuru kardi jab’ke dhamake mai zakhmi hone walay afraad ko bhi fori medical aid ke liye jinnah hospital muntaqil kar diya gaya,
Wazeh rahe ke gariyon mai CNG Cylinder ke dhamake mamool ban chuke hain jis ke bais mukhtalif waqiyaat mai kayi afraad jaan se hath dho bethey hain jab’ke sindh hukumat ne Cylinder dhamakon ke barhtey huwe waqiyaat ke pesh-e-nazar school ki gariyon mai CNG Cylinder lagane per pabandi Aaid kar rakhi hai..
Altaf Hussain Hospital Se Discharge Police Station Muntaqil
MQM Ke Quaid Altaf Hussain Ko Hospital Se Discharge Kar Ke Police Station Muntaqil Kar Diya Gaya Hai,
London: Altaf Hussain ki angiography ki reports Aane ke baad doctors ne altaf hussain ki angiography ki reports Satisfactory qaraar dedi thi jis ke baad medical reports ki roshni main Scotland yard ne un ki police station muntaqli ka faisla kiya,
Ta’hum Altaf Hussain ko Wellington Hospital se police station muntaqil kar diya gaya hai jahan Money Laundering Case main un ka bayan record kiya jayega,
Wazeh rahe ke tuesday ko london police ne altaf hussain ko Money Laundering Case main hirasat mian liya tha aur unki tabiyat ko dekhte huwe unhaien Hospital muntaqil kiya gaya tha jahan guzishta 3 roz se unka elaaj jaari tha..
Karachi Main Ek Bar Phir Tention karobari marakiz band
Karachi Main Ek Bar Phir Tention Phel gayi. Orangi Town, Landhi, Aur Gulistan-e-Jauhar Main Na’maloom Afraad Ne Markets Aur Petrol Pumps Band KArwa Diye Aur Civic Centre Main offices Bhi Band Karwa diye Gaye,
Karachi: MQM ki rabta Committee ki Appeal per karachi samait sindh bhar ke mukhtalif shehron main 2 din se band bazar hotels aur petrol pumps khul gaye thay aur muatal tijarti sar’garmiyaan bhi shuru ho gayin thien ta’hum dopehar ke waqt ek martaba phir tention phel gayi,
Karachi main na’maloom afraad ne mukhtalif areas main karobari marakiz band kara diye Landhi, Orangi Town, main shops aur markets band ho gaien,
Civic centre main offices band kara diye gaye Gulistan-e-Jauhar main shops markets aur petrol pumps bhi band ho gaye,
MQM ke Rehnuma Dr. Farooq Sattar ne issy intezimia ki zamadari qaraar de diya hai Hyderabad ke area Latifabad aur tower market main na’maloom afraad ne shops band kara dien,
Dosri janib shehar ke petrol pumps per Fuel ki farahmi bhi muatal hai shehar ke petrol pumps per shehriyon ka rush jo fuel ki farahmi ka mutalba kar rhe hain,
Petroleum Companies ne Security khadshaat ke bais fuel ki farahmi se ankaar kar diya hai Chairman Petroleum Dealers Association ne kaha hai ke Administration fuel ki farahmi ke liye tahafuz farahum karne main Co-oprate nahi kar rahi hai..