Monthly Archives: April 2014

Big Three Himayat, Rubber stamps Aaj Lagai jayegi

Lahore: PCB ki janib se big three ki himayat ke faislay per rubber stamps aaj lagai jayegi management committee ke arkaan lahore main sar’jor kar bethengay, Chief selector aur head coach ki appointment samait mukhtalif umoor per bhi gour hoga,

Report ke mutabiq PCB ki management committee ka ijlaas budh ko gaddafi stadium main hoga Najam Sethi sadarat karengay ‘ sabiq captain Zaheer Abbas ‘ sabiq chairman shehriyaar khan ‘ sabiq chief selector Iqbal Qasim ‘ sabiq manager Naveed Akram Cheema aur islamabad Region ke sadar Shakil Sheikh bhi moujood honagy,

Iss moqay per big three members ki conditional support ke faislay ki details se inform kiya jayega india ke sath UAE main possible series ke hawalay se baat cheet hogi,

Rashid Latif ki taraf se Chief selector post thukraye jane ke baad peda honay wali situation per gour karte huwe mukhtalif names per gour kiya jayega,

Zaraye ke mutabiq selection committee ki sarbarahi ke liye moin khan mazboot umeedwar hain management committee ke members head coach ke liye Waqar younus samait mukhtalif options per gour karengay,

Foreign fielding coach aur trainer ki khidmaat hasil karne per bhi baat cheet hogi zaraye ke mutabiq jonty rhodes se mukhtasir muddat ke contract ke liye contact kiya ja sakta hai,

World Cup 2015 ki tayari ke liye National cricketers ka ek pool tayar kar ke Abbottabad main conditioning camp lagane per bhi tabadla-e-khayal hoga..

Pakistan SAARC Insurance Regulators Forum Ka Chairman Select

Karachi: Chairman Insurance (SECP) Mohammad Arif ko SAARC ke 2nd insurance regulators ke ijlaas main tashkeel hone wali Regulators Forum Ka Chairman Select kar liya gaya hai,

Ijlaas main hone waly delegates ne visa ke amal main narmi aur SAARC countries ke darmiyaan wasail aur staff ke easy exchange per bhi gour kiya,

Cooperation ki raah mazeed mazbot karne ke liye chamber of commerce and industry per bhi soch bichar kiya gaya SAARC Regulators ijlaas main Pakistan , Bangladesh , Sri lanka , Nepal , bhootan , aur Maldep , samait turkey and kenya etc. ke regulatory authorities ne shirkat ki,

Ijlaas main Insurance ke area ki development ke liye SAARC countries ke liye ek secretariat ki tashkeel ki tajveez bhi pesh ki gai jis ke tehat 2 Committees banai gaien jin ka maqsad 3 maah ke ander secretariat ke structures aur collaboration ke areas per apni ibtedai report pesh karna hai ta’ke 6 maah ke ander inn tajaveez per amal kiya ja sakey,

Insurance board of Nepal ke chairman doctor fateh bahadur ne pesh-kash ki ke ainda SAARC countries ijlaas kathmandu main munqaid kiya jaye. issey ittefaq raye se manzoor kar liya gaya,

Food Authority Khatam Karne Ka Mutalba, Floor Mills Aaj se Strike Karengay

Islamabad: All pakistan flour mills association ne aaj Monday se complete strike ka Aellan kar diya,

Chairman Mian Muhammad Riaz ne kaha hai ke food authority ka qayaam gair qanooni hai isse khatam kiya jaye,

All pakistan flour mills association ke Chairman Mian Muhammad Riaz ne lahore main press conferance se khitaab karte huwe kaha hai tamaam mills Food Department ke pas registered hain,

iss ke bawajood food authority ka qayaam amal main laya gaya hai ji inn se gair qanooni tor per 6000 sample fees wasool kar rahi hai aur ek hi waqt main do department ki janch partal kar rahi hai,

Alamati strike ke bawajood goverment ki khamoshi per monday se gandum ki pasai rook di jayegi – mian muhammad riaz ka kehna tha ke ek director general punjab food authority ne poori goverment ko yargamal bana rakha hai jin ki waja se goverment aur floor mills association ke darmiyaan khaleej barh rahi hai..

SECP Ne Fees Wasooli Ke Liye Online Service Start Kardi

Islamabad: Securities and Exchange Commission of Pakistan ne e-service ko mazeed Aagay barhate huwe All Types ki regulatory aur deegar feeses ko jama karanay ke liye online sahoolat ka aaghaz kar diya gaya hai,

Aesy tamaam afraad jo MCB Bank ki Facility use karte huwe All Types ki regulatory feeses ki Payment kar sakte hain SECP ko kisi bhi qism ki regulatory Documents e-service ki sahoolat ke zariye jama karawai ja sakti hain jabke Related Documents ki fees adda karne ke liye bhi e-service ko he use karte huwe SECP ki web site se fees Challan Download kiya ja sakta hai,

Challan form per diya gaya Challan number apne online bank account main moujood funds transfer ke option main enter kar ke Regulatory fees adda kar sakte hain,

Online fees payment ki sahoolat ke sath abb Consumer aur investor kissi bhi jagah se regulatory Documents jama kara sakengay aur iss ke liye unhain SECP ke dafter ya bank tak jane ki zaroort nahi rahegi,

SECP Investors ko mazeed sahoolat faraham karne ki pesh nazar feeses ki online payments ke liye deegar option per bhi kaam kar raha hai jis ke baad investor credit card ya ATM ke zariye bhi regulatory fees adda kar sakengay,

Partners aur investors ki sahoolat ke pesh nazar online feeses ki payments ke mutaliq guidelines SECP ki web site per bhi Provide kar di gayi hai,

Tahafuz pakistan Bunyadi Insaani Huqooq Aur Aazadi Ke Khilaaf Hai, Human Rights Watch

New York: Human Rights Watch ne bhi tahaffuz pakistan ordinance per tanqeed karte huye essy bunyadi huqooq aur aazadi ke khilaaf qaraar diya hai,

Ordinance ke hawalay se Human Rights Watch Asia ke Director Brad Adams ka kehna hai ke bill ka masooda na sirf bunyadi huqooq aur aazadi ke khilaaf hai balke iss se pur aman Political opposition parties ko bhi khatra hai,

Hukumat pakistan insdaad-e-deshat gardi qawaneen ki aar main bunyadi insaani huqooq na dabaye Brad Adams ne kaha hai ke pakistan ki Senate ko yeh qanoon manzoor karne se inkaar karte huye isssy nazar saani ke liye wapis National Assembly bhej dena chahye,

Report ke mutabiq deshat gardi ki tareef ko wazeh karna zaroori hai chota sa trafic jaam bhi iss ke ramze main aa sakta hai police ko bagair Warrant ke kissi shaks ke khilaaf karwai ya griftari ki ijaazt dena awaam ke haq ki munafi hai,

Report main kaha gaya hai ke Security Forces ko di jane wali aesi Aazadi bhi aalmi qawaneen ki khilaaf warzi hai aur iss tareeqay se shehri bar-baryat ka nishana ban sakte hain,

CNG Bus Service Ki Bahali Aur Marmat Ke Liye 4 Crore Rupay Ki Manzoori

Karachi: Sindh Government ne karachi main CNG bus service ki bahali aur marmat ke liye 4 crore rupy manzoor kar liye hain jo jald he KMC ko farahm kar diye jayengay,

Governer Sindh ki hidayat per KMC karachi ne ek bus wafaqi Edaray Nipa aur ek bus medical collage ko Donation kardi jabke 2 buses karachi hangamo main nazar-e-aatish ki ja chuki hain,

pehlay marhalay main 36 buses 1/12 maah main drust kar ke quaidabad ta tower bahal ki jayengi.dosre marhalay main baqi buses shehar ke deegar routs per chalai jayengi,

Report ke mutabiq KMC karachi ke zer-e-intezaam 75 buses shehar ke 3 routs per chalai ja rahi thi CNG bus service Former City Nazim Mustafa Kamal ke dour main 2009 main shehriyon ko Aaram deh aur sasti safri sahoolat dene ki garz se mutaraf karai gain thi,

yeh buses 1 arab rupy ki maliyat se kharedi gaien kal-adam shehri government ke nizaam main yeh bus service kamyabi ke sath chalti rahi tahum muntakhib Municipalities ke Fractures hine ke baad CNG bus service Declining ka shikaar rahi,

Rawalpindi Sabzi Mandi Main Dhamaka 22 Afraad janbahaq 107 Zakhmi

Rawalpindi: Rawalpindi Ki Sabzi mandi main dhamake se janbahaq hone walay afraad ki tadaad 22 ho gayi jabke 107 afraad zakhmi hain,

Dhamake se insaani jism ke tukre door door tak bikhar gaye har taraf afra tafri phail gayi rawalpindi ke elaqay pir wadhai ke maqaam per qaim sabzi mandi aur phal mandi main aaj subha 8:25 per hazaroon afraad rozi ki talaash main jama thay amrood ki boli lag rhi thi aur dhamaka ho gaya,

Intehayi zoordar dhamaka hua ke zameen hill gayi aur insaani jism ke tukre hawa main urne lagay, dekhne walay bhi zinda laash ban gaye har taraf afra tafri thi kayi so gaz ka elaqa khoon alood tha hawas bakhta logo ne apni madad aap ke tehat zakhmiyoon ko hospital muntaqil karna shuro kar diya,

15 se 20 mint baad rescue aur police pounchi to elaqay ka muhasra kar liya gaya dhamake ki jaga 2 fit gehra aur 3 fit chora garha par gaya sabzi mandi association ke mutabiq us waqt sirf amrood ki nilami hoti hai boli ke waqt hazaroon afraad moujood thay,

FBR Ka Tex Choron Ke Naam ECL Main Dalne Per Gour

Islamabad: Federal board of revenue ( FBR ) ne pane ke tahet non files se 159 arab rupy se zaid ke wajbaat ki recovery ke liye tex choron aur non files ke naam Exit Control List main dalne ki tajveez ka jaiza lena shuru kar diya hai,

FBR ke senior officer ne bataya ke Radning of the tax net plan ke tahet bar bar muhlat dene ke ba-wajood NTN tak hasil na karne walay Taxable income ke hamil logon ke khilaaf bhi karwai karne ki tajveez ka jaiza liya ja raha hai,

Iss ke elava tex choron aur non files ke naam Exit Control List main dalne ki tajveez bhi zer-gour hai iss liye Ministry of Finance ke zariye wazarat-e-dakhla ke sath muamla uthaya jayega,

zaraye ne bataya ke ke non files ke khilaaf karwai ke liye jo sub se eham iqdaam tha woh non files ke Computerized National Identity Card block karna tha magar yeh akhtyaraat parliment se manzoori ki soorat main milna hain jo abhi tak nahi ho saka iss liye FBR ke paas aesa koi akhtyaar nahi hai ke woh non files ke CNIC block kar sakey,

Sibi Railway Station Per Jaffar Express main Dhamake Se 14 Afraad Janbahaq Darjano Zakhmi

Sibi: Quetta se rawalpindi jane wali jaffar express main sibi railway station per dhamake ke natejay main 14 afraad janbahaq aur darjano zakhmi ho gaye jabke dhamake ki zimedari united baloch armi nami tanzeem ne qabool karli,

Report ke mutabiq deputy commissioner ka kehna hai ke quetta se rawalpindi jane wali jaffar express jese he sibi railway junction per ponchi to ek zordar dhamaka ho gaya jis ke natejay main 14 afraad janbahaq aur 42 zakhmi ho gaye,

dhamake main janbahaq hone wale afraad ka taluq ek he khandan se hai dhamake ke natejay main train ki ek bogi mukammal tor per tabaah jabke train ki deegar bogiyon main aag lag gayi,

World T20 SriLanka Ne india Ka Guroor Khak Main Mila Diya

Mirpur: Srilanka ne ba-Aasani india ko 6 wicket se shikast de kar 1st time world T20 ka title apne naam kar liya,

Bangladesh ke shehar mirpur ke sheer bangla stadium main khele gaye final main sri lanka ne toss jeet kar india ko pehlay batting ki dawat di to total 20 overs main indian team 4 wicket ke nuqsaan per 130 runs bana saki jabke srilankan team ne bhi 4 wicket ke nuqsaan per 18 over main ba-Aasani total hasil kar liya,

News
Karachi
April 2014
M T W T F S S
« Mar   May »
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
282930