Monthly Archives: December 2015

Karachi Mein New Year Ke Mauqe Per Motorcycle ki Double Sawari Par Pabandi

 Karachi: Shehar Quied Mein Police Ne New Year Ke Mauqe Par Motorcycle Ki Double Sawari, Aslehay Ki Numaish Aur Firing Karne Par Pabandi Aaid Kardi.

Report ke mutabiq shehar quied mein new year ke mauqe par 31 decemeber raat 8 bajay se 12 ghantay ke liye motorcycle ki double sawari, aslehay ki numaish aur firing karne par pabandi aed kardi hai.

Jab ke new year night ke mauqe par manchalon ki dhama chokdi roknay ke liye police ki janib se baghair cylincer aur one wheelling karne walay motorcycle sawaron ke khilaaf crack down kiya jaye ga aur saahil samandar jane walay tamam raaston ko bhi band kar diya jayega.

Islamabad Samait Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

 Islamabad Samait Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Jab Ke Mukhtalif Elaqon Mein Chhatain Girnay Se 39 Afraad Zakhmi Hogaye.

Report ke mutabiq Azad Kashmir, Islamabad, khyber pakhtunkhwa, Punjab aur Gilgit Baltistan ke mukhtalif shehron mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye jis se logon mein shadeed khauf o hiraas phail gaya aur log kalma Tayyeba ka vird karte hue shadeed sardi mein gharon se bahar nikal aeye jab ke mukhtalif elaqon mein chhatain girnay ke baais 39 afraad zakhmi hogaye.

Zalzala pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 6.9 record ki gayi aur is ka dorania 90 second tha jab ke zalzalay ka markaz koh hindokash aur is ki gehrai 190 kilometer thi.

Zalzalay ke baais Peshawar ke Hospitals mein emergency nafiz karkay Dr aur pera medical staff ko talab kar liya gaya hai.

Punjab mein Lahore, Gujranwala, Mureed K, Hafiz abad, Sialkot, Qasoor, Nankana Sahib, bahkar, Myanwali, Kala Shah kako, Boray Wala, Faisal abad, Jhnag, Shore Coat, Toba Take Singh, Chinyot, Bahawalpoor, bahaval Nagar, Multan, Sahiwal, Okarah, Cheecha Watni, vharhi jab ke khyber pakhtunkhwa mein Abbotabad, Chaar Saddah, Chitral, Der Baala, Sawabi, Shab Qader, Shangla, Meri, Swaat aur Azad Kashmir ke mukhtalif ilaqon mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye.

Zalzalay ke baais Lahore Airport par fazai operation ko bhi Aarzi tor par moattal kar diya gaya hai.

Zaraye ke mutabiq zalzalay ke 3 jhatkay waqfay waqfay se mehsoos kiye gaye pehlay jhatkay ka dorania 10 se 15 second jab ke deegar 5 se 10 second taq mehsoos kiye gaye..

Saneha Army Public School Ko Ek Saal Guzar Gaya

 Peshawar: Army Public School Par Hamlay Ko Aik Baras Beet Gaya Ta’ham Dehshat Gardon Ki Masoom Students Ke Sath Kheli Gayi Khoon Ki Holi Ke Zakham Aaj Bhi Taza Hain.

Peshawar ke Army Public School par hamlay ki yaad mein mulk bhar mein Dua tqarib aur programs munaqqid kiye ja rahay hain,

Is silsilay mein markazi taqreeb Army Public School Peshawar mein munaqqid ki gayi jis mein Wazeer-e-Azam Nawaz shareef, Army Cheif General Raheel Shareef, Charon Sobon ke wazraye Aala, Governor Khyber Pakhtun khwa Sardar Mehtaab Abbasi Aur Wifaqi o sobai wazraa sameit Aala siyasi o askari shaksiaat ney shirkat ki.

Is ke ilawa taqreeb mein Wazeer-e-Azam Azad Kashmir Chohadry Abdul Majeed aur Governor o wazeer e Aala Gilgit Bultistan bhi taqreeb mein shareek they.

Saneha 16 decemeber mein shaheed honay walay Army Public School ke shohada ki pehli barsi par mulk ke charon sobon ke taleemi idaray band hain jab ke Punjab university ney aaj honay walay tamam imtehanat bhi multawi kar diye hain jin ki new date ka elaan baad mein kiya jayega.

Doosri janib shuhdaye APS ki pehli barsi ke mauqe par Pakistan Baar Council, Punjab Baar Council aur Islamabad Baar Council ki appeal par Lawyers baradri ne bhi mulk bhar mein yom siyah manaya.

Wazeh rahay ke guzishta baras 16 decemeber ko hi Army Public School Peshawar mein dehshat gardon ne hamla kar ke be dardi se 132 masoom bachon samait 144 afraad ko Shaheed kar diya tha..

Business Class Bhool Jayen Ab Jahaaz Ki Chhat Par Safar Ka Iutf Uthayen

 New York: Kafi Fazai Companian Fazai Safar Ko Jadeed Aur Mazeed Lutf Andoz Bananay Ki Koshish Mein Masroof Amal Hain Aur Isi Koshish Mein Ek American Fazai Company Jahaaz Ki Chhat Par Safar Ka Anokha Aur Dilchasp Andaaz Muta’arif Kara Rahi Hai Jis Par Baith Kar Passenger Intahi Bulandi Par Baghair Kisi Rukawat Ke Duniya Ka Nzara Kar Sakenge.

American company ne jahaaz ki chhat par 2 seats bananay ka mansoobah bana liya hai jis mein seat oopar ki janib utthegi aur chhat par kisi bulbulay ki terha bani Transparent canopy mein ja kar fit ho jayegi Aur wahan betha passenger Pilot se bhi ziyada behtar andaaz mein aasman ki bulandiyon se lutf Andoz ho sakega.

Company ke mutabiq kayi jadeed design ke jahaaz bananay koshish ki ja rahi hai jab ke yeh jahaaz bhi isi koshish ka hissa hai.

Company ka kehna hai ke passenger un 2 seats par Elevator ke zariye upar ki janib utthega.

Passenger yeh 2 seats ya koi aik set 360 degree par ghuma kar ziyada behtar andaaz mein aasman ke na qabil faramosh manazair ko dekh sakta hai.

Company ka kehna hai ke kaafi arsay se fazai safar ke douran passengers ko koi khaas tafreeh muhayya nahi ki gayi aur yeh koshish passengers ke lambay safar ki boriat khatam kar kay unhen safar ka aik naya andaaz faraham kerega.

Company ka kehna hai ke in seats par bethnay ke liye passengers par view ke mutabiq alag se bhi kiraya ada karna parega.

Company ke mutabiq seats ki canopy super sonic jahazoo mein istemaal honay walay material se banai gayi hai aur woh parindon aur har qisam ke deegar pressure ko ba’asani bardasht kar sakegi jab ke is ki arrow dynamic girtay hue ansoo ki terhan ki shakal ki canopi usay har qisam ki ragar se mehfooz banati hai..

Sindh Ke Taleemi Idaron Mein Mausam Sarma Ki Tatilat Ka Elaan

 Karachi: Mehakma Taleem Sindh Ne Soobay Ke Tamam Taleemi Idaron Mein Mausam Sarma Ki Tatilat Ka Elaan Kar Diya.

Mehakma taleem Sindh ke mutabiq soobay bhar mein mausam sarma ke silsilay mein 22 Decemeber se 1st January tak tamam taleemi idaray band rahenge is tarha School 11 din ke liye band hongay aur 2 January ko taleemi idaray mamool ke mutabiq khulenge..

T20 World Cup 2016 Ka Schedule Jari

Dubai: International Cricket Council Ne T20 World Cup 2016 Ke Schedule Ka Elaan Kar Diya Jab Ke Pakistani Team Apna 1st Match Riwayati Hareef India Ke Khilaaf 19 March Ko Khalega.

ICC ki janib se schedule ke mutabiq T20 world cup Agly saal 8 March se 3 April tak India mein khela jayega jis mein 16 teams shirkat kar rahi hain jab ke 8 teams ko 2 group mein taqseem kiya gaya hai aur Qualifying round mein shaamil 8 teams bhi 2 groups mein taqseem hain.

Group A mein South Afriqa, England , west indies aur Srilanka shaamil hain jab ke group B mein Pakistan , India , newzea land aur Australia ki teams hongi.

Qualifying group A mein Bngladish, Holland , Ireland aur Amman jab ke group B mein Zimbabwe , Scot Land, Hong kong aur Afghanistan ki teams hain.

Qualifying group se kamyaab honay wali 2 teams World Cup ke matches mein ibtidayi 8 teams ko join karengi.

ICC ke mutabiq World Cup ke tamam matches Banglore, Chennai, Dharam Shala, Calcutta , Mohali, Mumbai , Naag Poor aur New Dehli mein khailay jayenge jab ke 30 aur 31 March ko Mumbai aur New Dehli mein Semi final matches honge taham ICC ka kehna hai ke Semi final mein Pakistan ke pounchanay ki soorat mein woh match Mumbai ke bajaye New Dehli mein hoga.

Qualifying round ke baad T20 world cup 2016 ka baqaida Aaghaz India aur new zealand ke darmain match se hoga jo 15 March ko Naag poor mein khela jayega jab ke Pakistan maizban India ke sath 19 March ko Dharam Shala mein takrayega.

T20 World Cup ki difai champion Srilankan team 17 March ko Calcutta mein qualifying team se event ka pehla match khalegi..

Japani Company Ne Water Proof Smart Phone Bana Diya

 Is Smart Ko Sabun Se Wash Karen Ya Shampoo Se, Isay Koi Nuqsaan Nahi Hoga.

Tokyo: Aik Tahaqeeq mein ye baat samnay aayi hai ke mobile phones ke bohat ziyada istemaal se hathon par mojood jaraseem ki barri tadaad un par muntaqil ho jati hai.

Gair mulki khabar rasan idaray ke mutabiq aik japaani company nay aesa Smart Phone tayyar kar liya hai jisay sabun aur pani se dhoya ja sakta hai.

Dignu Referee Nami ye phone apni taraf ka pehla smart phone hai jisay dhonay se koi nuqsaan nahi pohanchta.

Mobile mein Android 5.1 Operating System Aur 13 Mega Pixel Camera Nasb hai jab ke is ki Qeemat 310 British pond ya Pakistani 49 hazaar rupay hai.

Company ka daawa hai ke agar is ke plastic case par Scratches aur nishaan ajayeen to woh khud ba’khud door ho jaienge.

Is new Water Proof mobile phone ko bananay ka maqsad un Parents ki pareshani ko door karna hai jo apne mobile phone ko saaf rakhna chahtay hain.

Is mobile phone ki tashheer ke liye banai gayi aik video mein dekhaya gaya hai ke aik bachay ke haath se phone tomato ketchap se bhari plate mein gir jata hai jis ke baad is ki walida is phone ko utha kar dho deti hai.

Company ne daawa kiya hai ke apni tarz ka yeh pehla smart phone hai jo market mein samnay laya gaya hai.

is phone ko market mein laane se pehlay 700 martaba pani aur sabun se dhoya gaya lekin is ki body aur androoni parts ko koi farq nahi para aur woh bilkul sahi salamat rahay..

Islamabad Samait Mulk Ke Balai Elaqon Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

 Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad Samait Mulk Ke Balai Elaqon Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Hain.

Report ke mutabiq wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad samait khyber pakhtun khwa ke mukhtalif ilaqon aur Gilgit Baltistan mein bhi zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye hain.

Zalzala pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 7.2 record ki gayi jis ka markaz tajikstan ka sarhadi ilaqa hai jab ke zer zameen is ki geherai 88 kilometer thi.

Jin ilaqon mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Islamabad, Rawalpindi , Peshawar , Naushera , Abbotabad, mansehra, charah saddah, sawabi, swat, Chitral , shangla, Lower Der, Malakand, Chlas aur deegar ilaqon mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye jis ke baad log gharon se bahar nikal Aaye..

Pakistan Super League Ki Teams Nelaam

 Lahore: Pakistan Super League ( PSL ) Ke Liye Teams Ki Nelami Ka Amal Mukammal Ho Gaya Hai Jis Mein 5 Idaron Ne Aindah 10 Saal Ke Liye 93 Million Dollars Mein 5 Teams Khareed Li Hain.

Lahore ke Qazafi stadium mein press conference se khitaab karte hue Najam Sethi ne kaha ke ‘League’ ka asal sponser Habib Bank LTD hoga aur league ka poora naam HBL Pakistan Super League hoga.

Sponser ki muddat 3 saal hogi jabkay nashriyat ke haqooq mutahidda arab amarat ke nashriyati idaray Take Front ko diye gay hain.

Najam Sethi ne kaha ke queta ki team ko Umar Associeats ne khareeda, Peshawar ki team ko Haier ke Javed Afridi, Karachi ki team ARY group, Islamabad ki team ko Leo Nine global aur Lahore ki team ko Qatar Oil ne khareeda hai.

Teams ki nelami mein sab se mehngi team Karachi ki hai jise ARY group ne 26 million dollar mein khareeda.

Lahore ki team ko qatar oil ne 25.1 million dollar mein, Peshawar ki team Haier ke Javed Afridi ne 16 million dollar, Islamabad ki team 15 million dollar mein Leo Nine global sports ne kharidi jab kay Queta ki team 11 million dollar mein Umar Associeats Karachi ne kharidi.

Franchise companies se 10 saal ka moahida kiya gaya hai taham 3 saal baad koi bhi Franchise dastbrdar ho sakti hai.

Najam sethi ka kehna tha ke PSL ka Agla marhala Coaches ki taenati ka hai jo aglay 10 din mein mukammal ho jayega jis ke baad players ke daraft honge jis se aglay marhalay mein hatmi shakal di jayegi.

Unhon ne Pakistan Super League ko Young players ke liye International style ki cricket seekhnay aur preasure mein performance dikhaane ka gur seekhnay ka behtareen mauqa bhi qarar diya.

Chairman executive committee Najam sethi ne is Impression ko ghalat qarar diya ke PSL pehlay saal khasaray ka saamna keregi.

League ke liye players ki nelami ka amal mumkina tor par 19-21 decemeber ke darmain hoga jahan draft system ke zariye har Franchise 1 million dollar tak kharch kar sakti hogi.

PSL ka 24 matches ka ineqad Sharjah aur Dubai mein 4 feb se 23 feb tak kheli jayegi..

Karachi Mein 3, 4 Aur 5 Decemeber Ko Taleemi Idaray Band Rahenge

 Karachi: Sindh Hakoomat Ne 3 Decemeber Ko Shuhdaye Karbalaa Ke Chahlum Ke Mauqe Par Aam Tateel Ka Elaan Kiya Hai Jab Ke 4 Aur 5 Decemeber Ko Sarkari Aur Niji Taleemi Idaray Bhi Band Rahenge .

Report ke mutabiq Sindh hakoomat ne 3 decemeber ko chahlum shuhdaye karbalaa ke mauqe par aam tateel ka elaan kiya hai jab ke Karachi mein 4 aur 5 decemeber ko taleemi idaray band rahenge.
Sobai secretary taleem Fazl Ullah Pechuho ke mutabiq 4 aur 5 decemeber ko niji aur sarkari taleemi idaray shehar mein baldeati intikhabaat ke baais band rakhnay ka faisla kiya hai..

News
Karachi
December 2015
M T W T F S S
« Nov   Jan »
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
28293031