Monthly Archives: October 2015
1st November Se Petrol Ki Fi Letter Price Mein 5 Rupay Se Zayed Izafay Ka Imkaan
Islamabad: Ogra Ki Janib Se 1st November Se Petroleum Masnoaat Ki Price Mein Izafay Ka Imkaan Zahir Kiya Ja Raha Hai.
Report ke mutabiq ogra ki janib se Petroleum masnoaat ki price mein izafay ka imkaan zahir kiya ja raha hai aur is silsilay mein samri ko kal tak hatmi shakal diye jane ka imkaan hai.
Zaraye ke mutabiq OGRA ne petrol ki price mein 5 rupay 35 pesey fi letter, diesel ki price mein 2 rupay 43 pesey, matti ke tail mein 3 rupay 17 pesey, light diesel ki price mein 3 rupay 63 pesey jab ke HOBC ki price mein 6 rupay 10 pesey fi letter izafay ka imkaan hai..
Mulk Bhar Mein 8.1 Darjay Ke Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay
Lahore: Islamabad, DI Khan Sameit Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein 8.1 Darjay Ke Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay.
Log Kalma Tayyaba Ka Vird Karte Gharon Aur Dafatir Se Bahar Nikal Aeye Aur abhi kisi jani o maali nuqsaan ki ittila nahi mili hai .
American zalzala kohay pema markaz ke mutabiq zalzalay ki shiddat 7.7 record ki gayi.
Pakistan ki tareekh mein yeh sab se ziyada shiddat wala zalzala hai jis ke jhatkay 1 minute se zayed waqt mehsoos kiye gaye.
Zalzalay ke shadeed jhatkon ke baais log gharon aur dafatir se kalma tayyiba ka vird karte hue bahar nikal aeye.
Ibtidayi maloomat ke mutabiq zalzalay ke shadeed jhatkon se mawaslati nizaam darham barham ho gaya.
traffic aur tele communication ka nizaam bhi mutasir howa hai.
Pakistan mein director mehakma mosmiyat ka kehna hai ke zalzalay ki shiddat 8.1 record ki gayi hai.
Unhon ne bataya ke zalzalay ki geherai 193 kilometer thi jabkay is ka markaz Afghanistan ke paas tha.
Wazeh rahay ke Pakistan mein 2005 mein anay wala zalzala 7.6 shiddat ka tha.
Zalzalay ke jhatkay India aur Afghanistan mein bhi mehsoos kiye gaye hain..
Chrome Se “OK Google” VoiceCommand Feature Khatam
Google Ne Apne Browser Chrome Se “OK Google” Voice Command Feature Khatam kar diya.
Venture Beat ke mutabiq ziyada tar log is feature ko use nahi kar rahay they is wajah se Google ne usay browser se khatam kar diya hai taham yeh changes mobile ya Google box ke liye nahi ki gayeen.
Is feature ko aik extension ke zariye November 2013 mein Introduced karwaya gaya tha.
Isko install karne ke baad aap ‘OK Google’ kehnay ke baad apne browser ko apni aawaz ke zariye command day satke they.
Launching ke mauqe par Google ka kehna tha ke yeh feature is waqt kaam aeyega jab aap apne laptop par kuch browse karna chahtay hain taham aap ke dono haath masroof hain ( jaisay khana pakatay hue ).
Taham baad mein yeh baat samnay aayi ke ziyada tar log apne mobile par is feature ka istemaal karna chahtay hain taham computer par yeh soorat e haal nahi hai.
Is feature ko chrome 46 ki launch par khatam kya gaya.
Is ke elawa is Deep-up mein chrome notification center ka bhi khtama kar diya gaya..
Shaheed-E-Millat Nawabzada Liyaqat Ali Khan Ki 64th Barsi Aaj Manayi Ja Rahi Hai
Lahore: Pakistan Ke Pehlay Wazeer-e-Azam Tehreek Pakistan Ke Sargaram Leader Shaheed-E-Millat Nawabzada Liyaqat Ali Khan KI 64th Barsi Aaj Intehai Aqeedat O Ahtiram Se Manayi Ja Rahi Hai.
Zawabzaadah Liyaqat Ali Khan ko 16 October 1951 ko Company baagh jo ab Liyaqat baagh ke naam se jana jata hai mein aik awaami ijtima se khitaab ke douran goli mar kar Shaheed kar diya gaya tha.
Liyaqat Ali Khan Ki Barsi ke mauqe par mukhtalif Organizations ki janib se Seminar, Mzakron, Conferences aur deegar taziyati taqrebaat ka ineqad kiya jayega.
Mukhtalif Political, Journalism, Court, Religious, Public, aur Social parties ke leaders taqrebaat se khitaab kar kay Shaheed e Millat Nawabzaadah Liyaqat Ali Khan ko khidmaat per khiraj e aqeedat paish karenge…
Internet Connection Ke Liye Bio Metric Lazmi
Government Ne Faisla Kiya Hai Ke Internet Connection Broad Band, Wifi Aur DSL Ke Liye Bio Metric Ko Laazmi Qarar Diya Jayega Ta kay Is Ke Ghalat Istemaal Ko Roka Ja Sakay. Interior Ministry Is Baray Mein Ainda Kuch Roz Mein Notification Jari Kar degi.
Islamabad: Internet connection ke husool ke liye bio metric ki shart na honay ki wajah se aik naam par kayi connection kaam kar rahay hain jin ki koi tasdeeq nahi ke yeh customer ke apne naam par hi hain ya un ka ghalat istemaal ho raha hai.
Zaraye ke mutabiq yeh maamla us waqt samnay aaya jab aik aala sarkari Afsar ny internet connection ke husool ke liye darkhwast di to maloom howa ke un ke naam par pehlay se internet ke 5 connection chal rahay hain.
Jab mazkoorah Afsar ne is hawalay se mazeed tafseelaat maloom ki to yeh baat samnay aayi ke yeh connection mukhtalif shehron mein hain aur un ke istemaal mein koi internet connection nahi tha lekin un ka qaumi shanakhti cards number aur is ki copy istemaal hui.
yeh bilkul isi terha tha jaisay naye mobile number ke husool ke liye maazi mein hota raha jis ki wajah se mobile sims ke ajra ke liye bio metric ka nizaam shuru kiya gaya ta ke is ka ghalat istemaal roka ja sakay aur yeh dehshat gardi aur deegar juraim mein istemaal na ho sakay.
Ye ahem maamla Interior Minister ke ilm mein laya gaya jis ke baad is par ghor shuru howa ke internet connection ke husool ke liye bhi sim card ke husool ki tarha bio metric laazmi qarar diya jaye.
Is muamlay par Interior Minister Pakistan Tele Communication Authority se jald rabita karegi..
Sindh Government Ne Muhrram Ul Haram Ke Douran Aman O Amaan Ke Liye Pak Fouj Talab Karli
Karachi: Sindh Government Ne Security Khadshaat Ke Paish-E-nazar Muharram Ul Haram Ke Douran Aman O Amaan Ke Liye Pak Fouj Talab Karli..
Report ke mutabiq Sindh Government ki janib se pak fouj aur wifaqi hukoomat ko likhay gaye khat mein kaha gaya hai ke Muharram ul Haram ke douran security khadshaat ke paish e nazar pak fouj tainaat ki jaye.
Khat mein darkhwast ki gayi hai ke Karachi mein pak fouj ki 8 Companies, Hyderabad division mein 400 fouji jawan, Shaheed Benazirabad division mein 2 Platoon, Sukkur division ke liye pak fouj ki 2 Companies aur Larkana division ke liye 700 fouji jawan tainaat kiye jayen.
Gold Ki Qeemat Mein 800 Rupay Fi Tola Numaya Izafa
Karachi: International market Mein Fi ounce Gold Ki Qeemat 34 Dollar Izafay Se 1141 Dollar Ki Satah Par Pounchanay Ke Baa’is Muqami Sarafa Markets Mein Bhi Iska Assar Dekha Ja Raha Hai Fi Tola Aur Fi 10 Gram Gold Ki Qeemat Mein Bal Tarteeb 800 Rupay Aur 686 Rupay Ka Izafa Hogaya.
Report ke mutabiq International bullion market mein Fi ounce gold ki qeemat 34 dollar ke izafay se 1141 dollar ki satah par pahonch gayi jis ke baais muqami sarafa markets mein friday ko fi tola qeemat mein 800 rupay aur 10 gram gold ki qeemat mein 686 rupay ka izafa dekha gaya.
Gold ki qeemat mein haliya izafay ke baad Karachi, Hyderabad, Sukkur, Multan , Faisalabad, Lahore , Islamabad, Rawalpindi , Peshawar aur Queta mein fi tola gold ki qeemat barh kar 46,200 rupay aur fi 10 gram gold ki qeemat barh kar 39,600 rupay hogayi jub ke fi tola chandi ki qeemat bagair kisi tabdeeli ke 650 rupay aur fi 10 gram chandi ki qeemat 557.14 rupay par hai..