Mobile Sims Ki Biometric Verification Deadline Khatam

 Islamabad: Qaumi Action Plan Ke Tehat Mobile Sims Ki Biometric Verification Karwanay Ki Deadline Khatam Ho Gayi Hai Aur Pakistan Telecommunications Authority (PTA) Ne Khabardaar Kiya Hai Ke Agar Ab Koi Gair Tasdeeq Shuda Sim Mumkina Takhreeb Kaari Mein Istemaal Hui To Is Ki Zimma daar Is Ki Cellular Company Hogi.

Khayaal rahay ke Interior Minister ne mobile sims ki biometric tasdeeq ki muddat mein 15 May tak ki tosee ki thi jo guzashta raat khatam hogayi hai.

Report ke mutabiq PTA ka kehna hai ke ye faisla kar liya gaya hai ke ghair tasdeeq shuda sim dehshat gardi ke kisi waqeye mein istemaal hui to is cellular company ke khilaaf karwai ki jayegi.

Mulk bhar mein ab tak 7 crore mobile sims ki biometric tasdeeq ka amal mukammal howa hai jabkay 2 crore ghair registered sims ko bock kar diya gaya.

Wazeh rahay ke PTA ne is se qabal mobile sims ki tasdeeq ke liye 12 May tak ka waqt diya tha.

PTA officers ne gair tasdeeq shuda sims ki biomatric tasdeeq ke liye sarfeen ko aik mauqa aur faraham karte hue inhen mazeed mohlat dedi thi.

PTA ne kaha tha ke aisi tamam sims jo ke ghair tasdeeq shuda hain band kar di jayengi.

PTA ka mazeed kehna tha ke beron mulk muqeem Pakistanio ne muqami mobile number jaari rakhnay ki darkhwast ki thi jis ke baais mazkoorah faisla kiya gaya tha.

Idaray ki janib se mazeed kaha gaya tha ke sarfeen ko sms ke zariye sims ki registration ke liye kaha jaye ga aur sarfeen ko chahiye ke sms mlitay hi sim registration karwa lain.

PTA ke mutabiq is waqt tak 7 crore 20 laakh sims ki biometric tasdeeq ki ja chuki thi aur yeh sims 4 crore 60 laakh shanakhti cards par jari huien.

yaad rahay ke mobile phone sims ki biomatric tasdeeq ka amal January mein qaumi action plan ke tehat shuru howa tha jis ka pehla marhala 26 feb ko mukammal howa jabkay dosra marhala 14 April ko mukammal hona tha taham is ki deadline mein 15 May tak ka izafah kiya gaya tha.

Telecom operators Mobilink,Ufone,Telenor,Zong aur Warid ne hakoomati hadaayat par 13 January ko sims ki biometric tasdeeq ka amal shuru kiya tha taakay mulk mein dehshat gardi ki rok thaam ko mumkin banaya jasakay.

PTA ke mutabiq mulk mein mobile phone sarfeen ki tadaad 14 crore tak pahonch chuki hai jin mein se 10% ke paas post pad Connections hain jin ke baray mein hukoomat ka khayaal hai ke un ki biomatric system ke zariye dobara tasdeeq ki zaroorat nahi..

News
Karachi
May 2015
M T W T F S S
« Apr   Jun »
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
25262728293031