ICC Champions Trophy 2017 Ke Liye 8 Teams Ka Elaan
Dubai: International Cricket Council (ICC) Ne Champions Trophy 2017 Ke Liye 8 Teams Ka Elaan Kar Diya Jis Mein Pakistan Ki Team Bhi Shaamil Hai.
Report ke mutabiq ICC ne champions trophy 2017 ke liye 8 teams ke naam ka elaan kar diya hai jab ke champions trophy ke liye Cut-off date 30 September 2015 muqarrar thi.
ICC ki janib se elaan karda date 30 September tak west indies 9th position par honay ki wajah se qualify nahi kar saki aur is baar west indies ki jagah Bangladesh ne leli hai jo 2006 ke baad champions trophy mein hissa legi.
ICC point table mein ranking ke hisaab se elaan karda naam mein Australia, India, South Africa, Newzeland, Srilanka, England, Bangladesh aur Pakistan shaamil hain.
ICC Champions Trophy 1st June 2017 se 18 June ke darmiyan England mein hogi jis mein 4,4 teams ke 2 group honge jab ke tournament mein 15 match khailay jayenge.
Wazeh rahay last champions trophy 2013 mein England mein kheli gayi thi jo India jeetnay mein kamyaab howa tha..
Karachi Aaj Phir Garmi Ki Lapait Mein Magar Heatstroke Ka Koi Khadsha Nahi
Karachi: Director General Mehakma Mosamiyat Ghulam Rasool Ka Kehna Hai Ke September Ka Maheena Garam Tareen Maheena Hota Hai Aur Ainda 2 Roz Tak Karachi Mein Garmi Ki Shiddat Barqarar Rahygi.
Report ke mutabiq DG meet ka kehna tha ke Karachi mein darja hararat 40 degree centi grade tak jane ka imkaan hai taham darja hararat bharne se heatstroke ka koi khadsha nahi.
Unka kehna tha ke September ka maheena garam tareen maheena hota hai aur ainda 2 roz tak garmi ki shiddat barqarar rahaygi 4 roz baad Karachi ka mausam Khushgawar ho jayega.
Mehakma mosamiyat ke mutabiq ainda 24 ghanton ke douran Karachi mein mousam garam aur khushk rahayga jab ke hawa mein nami ka tanasub 31 feesad tak rehne ka imkaan hai.
Is waqt shumal aur shumal mashriqi hawaien chal rahi hain din ke auqaat mein hawa mein nami ka tanasub mazeed kam hojayega..
Lahore Mein Mosla Dhaar Barish Ke Baais Nizaam Zindagi Darham Barham
Lahore: Lahore Ke Mukhtalif Elaqon Mein Mosla Dhaar Barish Ke Baais Nizaam Zindagi Darham Barham Hokar Reh Gaya Jab Ke Kayi Elaqay Bijli Se Mahroom Hogaye.
Report ke mutabiq Lahore ke mukhtalif elaqon mein 15 ghantay se zayed jari rehne wali mosla dhaar barish ke baais roads talaab ka manzar paish karne lage jab ke nizaam zindagi maflooj hokar reh gaya.
Shadeed barish ke baais bijli ka nizaam bhi darham barham hokar reh gaya aur 122 fider bhi trip kar gaye jis ke nateejay mein mutadid elaqay bijli se mahroom hogaye.
Barish se mutasira elaqon mein Kot Lakhpat. Firozpor Road. Ichra. Samanabad. Muslim Town. Qazafi Stadium. Johar Town. ganga raam aur deegar shaamil hain.
Jab ke rescue zaraye ke mutabiq Raiwind road par taiz barish ke baais imarat ki chhat girnay se 5 afraad zakhmi bhi huye.
Doosri janib tofani barish ke baais Islamabad se Lahore pounchanay wali parwaaz ko wapis bhijwa diya gaya jab ke PIA ki parwaaz PK 653 Lahore poanch gayi thi jisay airport par utrney ki ijazat na mili.
Isi terha barish ke baais airport ke dono fider band hogaye jis ke fori baad airport per operation jari rakhnay ke liye generator on kar diye gaye.
Mehakma mosmiyat ke mutabiq shehar mein 74 mili meter barish ho chuki hai aur ainda 24 ghantay ke douran waqfay waqfay se barish ka silsila jari rahega jab ke sirf airport par 100 mili meter barish record ki gayi hai..
Karachi Ke Mukhtalif Elaqon Mein Shadeed Garmi Ke Baad Taiz Hawa Ke Sath Barish
Karachi: Shehar-E-Quaid Ke Mukhtalif Elaqon Mein Halki Barish Ne Jahan Kayi Dinon Se Jari Garmi Ki Lehar Ka Khatma Kar Diya Hai Wahein Shehrion Ke Chehray Bhi Khushi Se Khil Utthay Hain.
Karachi mein guzishta kuch roz se jari shadeed garmi ki lehar Aaj ke din bhi barqarar rahi aur darja hararat 38 degree centi grade record kiya gaya lekin Heat Index bharne ki wajah se is ki shiddat 40 degree tak mehsoos ki gayi.
Din ke waqt qudrat ko Karachi walon ki halat par reham Aa hi gaya aur mausam batadreej badalna shuru howa.
Pehlay gird alood hawa chali aur phir mausam abar alood howa kuch hi der baad Gulshan Hadid. Steel Town. Malir. North Karachi. Gulsitan e Johar. FB Area aur super high way Gulshan e Maymar tak halki barish hui hai.
Barish ke sath hi kayi elaqon ki bijli munqata hogayi hai.
Mehakma mosmiyat ka kehna hai ke samandari hawaon ne aik martaba phir shehar ka rukh kar liya hai jis ki wajah se shaam tak shehar bhar mein taiz hawaon ke sath halki barish ho sakti hai..
Karachi Mein Qayamat Kheiz Garmi Ne 3 Afraad Ki Jaan Leli
Karachi: Shehar-E-Quaid Mein Jari Garmi Ki Shadeed Lehar Ne 3 Afraad Ki Jaan Leli Hai Jab Ke Kayi Afraad Mukhtalif Sarkari O Niji Hospitals Mein Daakhil Hain.
Karachi mein ek martaba phir Sooraj aag barsane laga hai aur darja hararat 43 digree centi grade se tajawaz krgya hai.
Shadeed garmi ki wajah se Liyari general hospital mein bihar colony ka azeem chal basa jab ke bufar zone sector 16A mein hate stroke se 1 shakhs intiqaal kar gaya.
Orangi mein qasba mourr ke qareeb 33 sala Younus achanak sarrak par gira aur uska Damm nikal gaya is ke elawa shehar ke mukhtalif sarkari o niji hospitals mein darjanon mareez zair e ilaaj hain.
Sobai Wazeer E Sahet Jaam Mehtaab Dahar ka kehna hai ke garmi ki wajah se mutasireen ko bar waqat tibbi imdaad pohanchanay ke liye mehakma sahet ne shehar ke tamam sarkari hospitals mein emergency nafiz karte hue tibbi amlay ki chuttiyan mansookh kardi hain.
Is ke ilawa hukoomat ne K-Electric ko bhi load shedding na karne ki darkhwast ki hai.
Tibbi mahireen ka kehna hai ke shadeed garmi ke asraat zael karne ke liye log pani aur deegar thanday mashrobat ka ziyada se ziyada istemaal karen aur kisi zaroorat ke baghair ghar se bahar na niklen.
DG Mehakma Mosmiyat Dr. Ghulam Rasool ka kehna hai ke is waqt hawa ka kam dabao bahera arab mein mojood hai jis ki wajah se shehar mein samandari hawaien band hain.
Shehar ko Sindh aur Balochistan ke medani ilaqon ki garam hawaon ne apni lapait mein le rakha hai.
Shadeed garmi ki lehar sunday aur monday ko bhi jari rahegi taham monday ki raat se darja hararat mamool par aajyega.
Wazeh rahay ke June mein Karachi mein shadeed garmi ke natijay mein 1800 se zayed afraad jaan bahaq hogaye thy..
Mulk Ke Halaat Behtar Ho Rahay Hain Super League Pakistan Mein Hoti To Buhat Behtar Hota
Lahore: National T20 Cricket Team Ke Captain Shahid Khan Afridi Ka Kehna Hai Ke Mulik Ke Halaat Behtar Ho Rahay Hain Super League Pakistan Mein Hoti To Buhat Behtar Hota.
Report ke mutabiq Pakistan T20 team ke captain Shahid Afridi ne kaha hai ke qaumi T20 tournament mein bohat zabardast cricket hui aur T20 world cup se pehlay bohat acha Combination banayga jab ke Pakistan super league munaqqid karne ka sara Credit PCB ko jata hai.
Unhon ne kaha ke mulk ke halaat din badan behtar ho rahay hain.
Bahar ke Players ko achi Offers hui to woh zaroor khailnay ayenge jab ke sonay par sahaga wali baat hoti agar super league Pakistan mein hoti.
Taham board ki janib se aisay faislay honay chahiye jis se anay walay cricketers ko faida ho.
Shahid Afridi ka kehna tha ke Pakistan ne hamesha mushkil waqt mein India ka sath diya aur wahan ki awam bhi dono mumalik ko cricket khelta dekhna chahti hai lekin asal masla wahan ki hukoomat ka hai.
Unhon ne Ahmed Shahzad ko shadi par mubarakbaad dete hue kaha ke Allah se dua hai ke woh khush rahay aur jeevan saathi ke sath pyaar o Muhabbat se zindagi guzaray..
Facebook Ka Like Ke Sath Dislike Button Ka Izafa Karne Ka Faisla
California: Users Ki Pur Zor Farmaish Ke Baad Facebook ne ‘Like’ Button Ke Sath Sath ‘Dislike’ Ke Button Ka Izafa Karne Ka Bhi Faisla Kar Liya Hai.
Facebook ke sarbarah Mark Zuckerberg ne menlo park mein waqay Facebook head quarters mein sawal o jawab ke ek session se khitaab karte huye kaha ke Facebook jald hi is button ko introduce kra rhi hai Aur is se qabal button ki azmaish ki jayegi.
Mark Zuckerberg ke mutabiq 2009 mein ‘Like’ button anay ke baad se awam musalsal israar kar rahi hai ke ‘dislike’ button ka izafah bhi kiya jaye.
Users ki janib se is ki farmaaish ke baad hum is button ki azmaish ke bohat qareeb ponch chuke hain.
Lekin hum yeh bhi kehna chahtay hain ke hum koi aisa nizaam nahi banana chahtay jis ke zariye sarfeen dosron ki post ki ahmiyat ghatayen ya vote kam kar saken balkay baaz dafaa hum kisi haadsay ya udaas post ko bhi like kar dete hain jo durust amal nahi aur isi liye dislike ka button laya ja raha hai.
Philadelphia mein drexel university mein social media ki expert professor Andrea kehti hain ke Facebook par har post fori tor par dosron ko pasand nahi aati aur dislike ka button Negative Feedback aur Emotions ko zahir karne ka tareeqa hoga.
For example post ke sath anay walay popup Advertising ko dislike kiya ja sakta hai.
Lekin shayad is se doston ke bachon paaltoo janwaron aur deegar ashya ke liye napasand karne ka silsila shuru hojaye ga.
Shayad ye kisi haadsay ya nuqsaan ke amal ko napasand karne ko zahir keregi na ke post ko.
Aur is nuqsaan par dost ke sath hamdardi ko zahir karne mein madad milegi..
Interior Ministry Ne Eid-Ul-Adha Ke Mauqe Par 4 Chttiyon Ki Sifarish Kardi
Islamabad: Interior Ministry Ne Eid-Ul-Adha Ke Mauqe Par 24 Se 27 September Tak Tatilaat Ki Sifarish Kardi.
Mulk bhar mein Eid ul Adha 25 September Friday ko hogi jis ke paish e nazar Federal Ministry of Interior ne 4 tatilat ki sifarish ki hai.
Interior Ministry ki janib se Eid ul-adha ke mauqe par 24 September Thursday se 27 September Sunday tak tatilat ki sifarish ki gayi hai jin mein government employees aur Scheduled banks ki hafta waar 2 chuttiyan bhi shaamil hain..
Multan Mein Vihari Chowk Par Dhamaka
Multan: Vihari Chowk Mein Bus Stand Ke Qareeb Dhamakay Ke Natijay Mein 10 Afraad Jaan Bahaq Aur 60 Zakhmi Hogaye Hain Jab Ke Wazeer E Aala Punjab Shahbaz Shareef Ne Waqeye Par Muzammat Ka Izhaar Karte Hue Intizamia Aur Police Se Report Talab Karli Aur Mutasireen Ke Liye Imdaad Ka Elaan Bhi Kiya.
Report ke mutabiq general bus stand Multan ke qareeb intehai ghunjaan jaga vihari chowk par khofnaak dhamakay ke nateeje mein 10 afraad jaan bahaq jabkay 60 ke qareeb zakhmi hogaye hain.
Dhamakay ki aawaz 4 kilometer door tak suni gai aur qareebi buildings ke dar-o-deewar hil gaye aur sheeshay toot gaye.
Aeni shahideen ke mutabiq dhamakay ke baad aag ka aik gola aasman ki taraf utha aur aasman taiz neela hogaya aur har taraf insani auza bikhar gaye.
Jub kay kuch afraad kayi foot tak uchlay aur qareeb khari aur guzarnay wali gariyon mein aag lag gayi qareebi shops tabah ho gain aur har taraf aah o baka aur cheekh o pukaar ke manazair they.
Dhamakay ke fori baad logon ne apni madad aap ke tehat zakhmion ko uthana shuru kiya jis ke chand lamhoon baad resque hakkam aur Ambulance bhi poanch gayeen aur imdadi karwaiyan shuru kar dein..
Baani Pakistan Quied Azam Mohammad Ali jinnah Ka Yom-E-Wafaat
Karachi Lahore: Babaye Qoum Quaid-E-Azam Mohammad Ali jinnah Ka 67th Yom E Wafaat Mulk Bhar Mein Aqeedat O Ahtiram Se Manaya Ja Raha Hai.
Baani Pakistan ke yom e wafaat per karachi samait mulk bhar mein taqrebaat ka ahtimam kiya jayega.
Quaid-E-Azam ki rooh ko aisaal e sawab ke liye Fatiha khawani ki jaye gi.
Quaid-E-Azam ke yom e wafaat par Governor Sindh Dr. Ishrat Ul Ebad Khan, Wazeer e aala Sindh Syed Qaim Ali Shah aur ssobai kabeena ke arkaan ne baani Pakistan ke Mazaar per haazri di.
Aur phoolon ki chadar charhai Fatiha khawani bhi ki.
Quaid-E-Azam Mohammad Ali jinnah ke yom e wafaat ki nisbat se shehrion ki ek bari tadaad bhi mazaare quaid par hazri degi aur Fatiha khawani keregi.