Karachi Mein Qayamat Kheiz Garmi Ne 3 Afraad Ki Jaan Leli
Karachi: Shehar-E-Quaid Mein Jari Garmi Ki Shadeed Lehar Ne 3 Afraad Ki Jaan Leli Hai Jab Ke Kayi Afraad Mukhtalif Sarkari O Niji Hospitals Mein Daakhil Hain.
Karachi mein ek martaba phir Sooraj aag barsane laga hai aur darja hararat 43 digree centi grade se tajawaz krgya hai.
Shadeed garmi ki wajah se Liyari general hospital mein bihar colony ka azeem chal basa jab ke bufar zone sector 16A mein hate stroke se 1 shakhs intiqaal kar gaya.
Orangi mein qasba mourr ke qareeb 33 sala Younus achanak sarrak par gira aur uska Damm nikal gaya is ke elawa shehar ke mukhtalif sarkari o niji hospitals mein darjanon mareez zair e ilaaj hain.
Sobai Wazeer E Sahet Jaam Mehtaab Dahar ka kehna hai ke garmi ki wajah se mutasireen ko bar waqat tibbi imdaad pohanchanay ke liye mehakma sahet ne shehar ke tamam sarkari hospitals mein emergency nafiz karte hue tibbi amlay ki chuttiyan mansookh kardi hain.
Is ke ilawa hukoomat ne K-Electric ko bhi load shedding na karne ki darkhwast ki hai.
Tibbi mahireen ka kehna hai ke shadeed garmi ke asraat zael karne ke liye log pani aur deegar thanday mashrobat ka ziyada se ziyada istemaal karen aur kisi zaroorat ke baghair ghar se bahar na niklen.
DG Mehakma Mosmiyat Dr. Ghulam Rasool ka kehna hai ke is waqt hawa ka kam dabao bahera arab mein mojood hai jis ki wajah se shehar mein samandari hawaien band hain.
Shehar ko Sindh aur Balochistan ke medani ilaqon ki garam hawaon ne apni lapait mein le rakha hai.
Shadeed garmi ki lehar sunday aur monday ko bhi jari rahegi taham monday ki raat se darja hararat mamool par aajyega.
Wazeh rahay ke June mein Karachi mein shadeed garmi ke natijay mein 1800 se zayed afraad jaan bahaq hogaye thy..