Malaysia Mein Tarkin Watan Ki Kashti Ulatnay Se 14 Afraad Halaak
Kuala Lumpur: Malaysia Ke Maghribi Saahil Ke Qareeb Tarikeen Watan Ki Kashti Ulatnay Se 14 Afraad Halaak Gogaye.
Ghair mulki khabar agency ke mutabiq haadsa malaysia ke maghribi saahil mein masroof tareen tijarti aabi guzargah abnaye malaka ke qareeb paish aaya.
Jahan ghair qanooni tor par malaysia mein daakhil honay walay tarikeen watan ki kashti ulat gayi jis mein 100 se zayed afraad sawaar they.
Haadsay ke baad muqami mahi gairon ne doobnay walay mutadid afraad ki jaan bachai jab ke is douran 14 afraad ki lashain bhi nikaali gayi jin mein khawateen bhi shaamil hain.
Malaysia ke hakkaam ke mutabiq tarkin watan ki bari tadaad ab bhi lapta hai jinhein talash kiya ja raha hai aur is ke baais halakaton mein mazeed izafay ka bhi khadsha hai.
Muqami media ke mutabiq haadsay ki wajah kashti mein gunjaish se ziyada musafiron ko sawaar karna tha jab ke kashti mein sawaar afraad ki aksariyat ka talluq Indonesia se tha taham hakkaam ki janib se is ki tasdeeq nahi ki gayi hai.
Wazeh rahay ke 20 laakh se zayed afraad rozgaar ke liye ghair qanooni tor par malaysia mein muqeem hain jin ki aksariyat ka talluq hamsaye mulk Indonesia se hai jahan se har saal hazaron afraad rozgaar ki talaash mein tang aur khatarnaak aabi guzar gahon se malaysia mein daakhil hotay hain.
Wazan ki zayadti aur tando taiz lehron ki wajah se aksar kashtiyan ulatnay ke hadsaat paish atay rehtay hain aur is se 2 mah pehlay bhi Indonishin tarikeen watan ki aik kashti ulatnay se 12 afraad halaak hogaye they.