Monthly Archives: August 2015
Dollar Ki Qeemat 104 Rupay Se Mutajaviz
Karachi: Interbank Market Mein Aik Hi Roz Ke Douran Dollar Ki Qader Mein 2 Rupay 10 Paisay Tak Izafay Ke Baad Dollar Ki Qeemat 104 Rupay Se Bhi Barh Gayi Hai.
Report ke mutabiq exporters ki janib se American dollars ki barri tadaad mein khareed ke baais market mein Adam istehkaam peda ho raha hai aur dollar ki qeemat 104 rupay 10 pesey tak poanch jaane ke baad open market mein money changers ne dollars ki farokht band kar di hai.
Muashi mahireen ka kehna hai ke rupay ki qader mein kami mulk mein mehengai ki sharah mein izafay ka baais ban sakti hai.
wazeh rahay ke fil-waqt aazmin Hajj hi Saudi Riyal aur American dollars sameit ghair mulki currency ke sab se barray kharedar hain.
State bank ne haal hi mein currency dealers ko is baat ki ijazat di thi ke woh dollars ko Dubai se online bhi Pakistan mein apne bank accounts mein muntaqil kar saktay hain.
Bajaye is ke ke woh pehlay kisi bank mein transfer karen Kyun Ke is tamam amal mein aik haftay ka waqt lag jata tha.
Yeh qadam dealers ki janib se open market mein dollars ki taiz raftaar supply ke mutalbey par uthaya gaya tha.
Doosri janib report ke mutabiq monday ko karobari haftay ke aaghaz par Karachi stock exchange mein hundred index 1400 points ki kami ke sath 33 hazaar points par record kiya gaya..
Waseem Akram Iqbal Qasim Aur Rameez Raja Chairman Board Ke Musheer Honge
Karachi: Chairman PCB Ka Musheer Ban’nay Ke Liye Wasim Akram, Iqbal Qasim Aur Rameez Raja Ke Naam Samnay Aya Gaye.
Cricket Committee Ke Sarbarah Shakeel Sheikh Ka Kehna Hai Ke Governing Board Ne Shehriyaar Khan Ko Ikhtiyar D diya Hai Ke Wo Un Mein Se 2 Ya Phir 3 Ka Intikhab Karlen.
Tafseelaat ke mutabiq Iqbal Qasim ki national bank se retirement ke baad PCB governing board mein koi cricketer baqi nahi raha.
Guzashta dino ijlaas mein kabhi qaumi team ki numaindagi na karne walay log mulki cricket ke ahem faislay karte dikhayi diye.
Is hawalay se tanqeed samnay anay par board ne hosh ke naakhun le liye aur chairman Shehriyaar Khan ko sabiq cricketers ki khidmaat bator musheer haasil karne ka kaha.
Guzashta roz cricket committee ke sarbarah Shakeel Sheikh ne media ko bataya ke Wasim Akram, Iqbal Qasim aur Rameez Raja ke naam zire ghor hain.
Chairman chahain to teeno ya un mein se kisi 2 ko musheer muqar’rar kar satke hain.
Board Karachi aur Lahore se 1,1 eaisy player ki khidmaat haasil karna chahta hai jo jadeed cricket ki barikyon se waaqif ho.
Unhon ne kaha ke zaroorat parney par mazkoorah players ko governing board meeting mein bhi bulaya ja sakay ga.
Rameez aur Wasim Akram commentary waghera ki wajah se ziyada tar waqt mulk se bahar rehtay hain.
Shehriyaar Khan un ki dasteyabi par mulaqaat kar ke ya phir phone par tabadlah khayaal kar satke hain.
Ahem mamlaat par sabiq stars ki tajaweez par phir governing board meeting mein ghhor hoga.
Shakeel Sheikh ne kaha ke sabiq cricketers ki fehrist kaafi taweel magar mazkoorah teeno ka kaafi naam hai Wo apne mashwaron se mulki cricket ko faida pouncha satke hain.
Yaad rahay ke Shehriyar Khan wazeh kar chuke hain ke un ke musheer governing board ke mambar honge na unhein vote dainay ka ikhtiyar haasil hoga..
Mulk Bhar Mein 69th Yom-e-Azadi Intehai Josh-o-Jazbay Ke Sath Manaya Ja Raha Hai
Mulk Bhar Mein Yom-e-Azadi Intehai Josh-o-Jazbay Ke Sath Manaya Ja Raha Hai Jab Ke Is Mauqe Par Raat 12 Bajtay Hi Karachi, Lahore, Islamabad Aur Queta Sameit Deegar Shehron Mein Shandaar Aatish Baazi Ka Muzahira Kiya Gaya.
Mulk bhar mein 69th Yom e Azaadi Shayan shaan tareeqay se manaya ja raha hai.
Din ka Aaghaz Wifaqi Dar-al-hakoomat mein 31 jab ke Sobai Dar-al-hakoomaton mein 21,21 Topon ki Salami se howa jab ke masajid mein Pakistan ki taraqqi aur khushhali ke liye khusoosi duayen ki gayeen.
Jashan e Azaadi ki markazi taqreeb Islamabad ke convention center mein ho rahi hai jis mein Saddar Mamnon Hussain, wazeer e Azam Nawaz Shareef, Army Cheif General Raheel Shareef aur joint Cheif Of Staff Committee General Arshad Mahmood sameit wifaqi wazraa, mimbraan qaumi assembly, senetors aur ghair mulki sfartkaron ki barri tadaad shareek hai.
Taqreeb ka baqaida aaghaz saddar Mamnon Hussain aur wazeer e azam Nawaz shareef ne parcham kushai se kya.
Yom e Azaadi ki markazi taqreeb ke mauqe par Islamabad mein security ke intahi sakht intizamaat kiye gay hain,
Wifaqi dar-al-hakoomat ki eham shahrahon par pak fouj ke dastay tainaat hain jab ke mobile phone service bhi moattal hai.
Karachi mein bhi Mazaar e Quied par guards ki tabdeeli ki purwaqar taqreeb munaqqid hui.
Mazaar e Quied par Governor Sindh Dr.Ishrat ul Ibad Khan, Wazeer e Aala Sindh Syed Qaim Ali Shah sameit mimbraan Sindh assembly ne shirkat kar ke Fatiha khawani ki aur phoolon ki chadar charhai.
Lahore mein bhi Wazeer e Aala Punjab Shahbaz shareef ne Mazaar e Iqbal par haazri di aur parcham kushai ki.
Wazeer e Aala Balochistan Dr. Abdul Malik ne bhi sobai assembly mein parcham kushai ki.
Shumali Waziristan ki tehseel miranshah mein bhi muqami afraad ne Pak Fouj ke jawanon ke sath Qaumi Naghmon par jhoom utthay jab ke Azad Kashmir ke saddar Sardar Yaqoob ne bhi ewaan e saddar mein Sabz Hilali parcham Lahraya.
Yom e Azaadi ke mauqe par gali gali koochy koochy mein azaadi ke jazbay se sarshar shehrion ne cheraghan kiya aur Qoumi Parcham se apne gharon ko sajaya jab ke 13 August ki raat 12 bajtay hi Karachi, Lahore, Queta aur Islamabad sameit deegar shehron mein shandaar aatish baazi ka muzahira kiya gaya aur is mauqe par Aasman roshiniyon se Munawar hogaya,
Mulk ke mukhtalif hisson mein Jashan e Azaadi ki munasbat se programme ka ineqad kiya gaya hai jis mein Bachay, Nojawan, Buzurg sab hi ne mili Naghmon par Raqs kiya.
Yom e Azaadi ke mauqe par Karachi sameit deegar shehron mein Manchaly Nojawan raat ko sarkon par nikal aye aur yom e azaadi ka jashan manaya.
Dosri janib wazeer e azam Nawaz Sharif ne yom e azaadi ke mauqe par qoum ke naam apne pegham mein kaha hai Ke ye din khushi ka bhi hai.
Allah Taala ke huzoor sajda shkar baja laane aur is ehad ko taaza karne ka bhi ke hum muttahid aur yakjaan hokar un maqasid ke liye jadd-o-jehad krte rahenge jin ke liye pakstan haasil kiya gaya tha.
Unhon ne kaha ye shayar mashriq Allama Iqbal ne janoobi Asia ke musalmanoon ke liye ek azad o khud mukhtar riyasat ka khawab dekha hai babaye qoum Quaid E Azam Mohammad Ali Jinnah ne wal’walah angaiz tehreek ke zariye is khawab ko tabeer ki shakal di hai..
Punjab Aur Khyber Pakhtun Khwa Ke Mukhtalif Shehron Mein Zalzalay Ke Jhatkay
Islamabad: Punjab, Khyber Pakhtun Khwa Aur Kashmir Ke Mukhtalif Shehron Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Jis Ke Baa’is Logon Mein Shadeed Khauf o Hiraas Phail Gaya Jab Ke Richter Scale Par Zalzalay Ki Shiddat 6.7 Record Ki Gayi.
Report ke mutabiq Islamabad, Lahore aur Peshawar samait mulk ke balai elaqon mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye jis ke baad log kalma tayyiba ka wird karte gharon se bahar nikal aaye.
Jin shehron mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Islamabad, Lahore, Faisalabad, Muzaffarabad, Sargodha, Boray wala, Sialkot, Gujranwala, Bahawalnagar, vharhi, Nankana sahib shaamil hain jab ke khyber pakhtun khwa ke shehar Peshawar, Mardan, Para chanar, Abbotabad, Hari poor, Mansehra, Battagram, Besham, Ghizer, Lower deer samait Gilgit, Skardu, Chitral mein bhi zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.
Isi terha khyber agency aur is ke mulhiqa elaqon samait Azad Kashmir ke mukhtalif shehron aur Sri nagar mein bhi shehrion ne zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye.
Zalzala pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 6.7 record ki gayi jab ke zalzalay ki geherai 200 kilometer aur markaz Afghanistan tajkstan border tha, mulk ke mukhtalif shehron mein zalzalay ke jhatkay 30 second tak mehsoos kiye gaye..