TV Ko Computer Mein Tabdeel Karne Wali Device Tayyar
New York: Technology Ki Taraqqi Ne Jahan Electronic Items Ke Size Ko Chota Kar Diya Hai Wahein Aik Hi Cheez Mein Kayi Features Jama Kar Kay Akhrajaat Aur Ghar Mein Jagah Ki Kami Ka Bhi Hal Nikaal Diya Hai Aesi Hi Koshish Mein Chocolate Baar Shape Ki Aesi Device Tayyar Kar Li Gayi Hai Jisay TV Mein Laga diya Jaye To Yeh TV Ko Aik Mukammal Computer Mein Tabdeel Kar Daita Hai.
Iss device ko technology king Google ne tayar kiya hai aur isay HDMI Chrome-bit ka naam diya hai jisay jab TV mein lagaya jata hai to TV computer ke monitor mein tabdeel ho jata hai jab ke isay baghair taar ke Keyboard aur mouse se Connect kar diya jata hai jisay blue tooth ki madad se chalaya jata hai.
Google ka kehna hai ke Chrome-bit device aik mukammal computer hai aur yeh size mein candy baar se bhi chota hai aur yeh sirf 100$ mein khareeda ja sakta hai.
Google ke mutabiq yeh aik Upgrade system hai jo schools aur Business mein intehai Useful hai jab ke is device ko bananay ke liye 2011 se kaam kiya ja raha hai aur isi douran students ke liye Low Price Surface Tablet bhi tayyar kiya gaya hai jo bilkhushoos Low income walay logon ke liye banaya gaya hai.
Company ka kehna hai ke jis tarha mobile phone ke liye Android Software hain isi tarha Chrome Systems bhi tayyar kiya gaya hai jis ki badolat computer ka istemaal aur bhi aasaan aur sasta hogaya hai..