Monthly Archives: October 2014
Karachi Samait Sindh Ke 5 Shehron Mein 3 Din Ke Liye Double Sawari Par Pabandi Hogi
Karachi: Shehar-e-Quaid Samait Sindh Ke 5 Barray Shehron Mein 8,9 aur 10 Muhrram Ke Douran Motor Cycle Ki Double Sawari Par Pabandi Aed Hogi.
Mehakma dakhla Sindh ke mutabiq Karachi, Hyderabad, Sanghar, Khairpur aur Sukkur mein 8,9 aur 10 muharram ko motorcycle ki double sawari par pabndi aed hogi ta’hum aurton bachon aur sahafion ko pabandi se ishtana haasil hoga jab ke soobay mein majalis aur julooson ki coverage ke douran drone camera ke istemaal par 5 se 10 muharram tak pabandi rahaygi.
Samandari Toofaan” Nilofer ” Ne Pakistan Ki Janib Rukh Mour Liya
Karachi: Bahera Arab Mein Ban’nay Wala Toofaan ”Nilofer” Pakistan Se Kuch Hi Doori Par Hai Aur Aaj Raat Toofaan Ki Shiddat Mein Mazeed Izafay Ka Imkaan Hai,
Mehakma Mosmiyat ke mutabiq bahera arab ke wasti maghribi ilaqay mein ban’nay wala samandari toofaan mazeed shiddat ikhtiyar kar raha hai jabkay Pakistan se 1170 kilo meter doori par hai.
Mehakma Mosmiyat ka kehna hai ke Nilofer ainda 24 ghantay ke douran 6 kilo meter fi ghanta ki raftaar se Amman ke saahil ki janib barhay ga jis ke baad india aur Sindh ke sahili ilaqon ka rukh kerega is douran sahili maqamat par kal se shadeed baarisho ka imkaan hai jabkay samandari toofaan 31 october ko indian gujrat aur Sindh ke sarhadi ilaqon ke qareeb ekhtataam Pazeer ho jayega.
Doosri janib samandari toofaan ke paish-e-nazar Karachi ke saahil par dafaa 144 nafiz karte hue samandar mein nahanay par pabandi aed kar di gayi hai aur khuley samandar mein mojood mahi geeron ko bhi wednesday ki shaam tak wapsi ki hadaayat ki gayi hai.
Khursheed Shah ke Bayan Ke Khilaaf MQM Ka Yom-e-siyah
Karachi: Peoples Party Ke Senior Rehnuma Aur Qaumi Assembly Mein Quaid Hazb-e-ikhtilaaf Syed Khursheed Shah Ke Bayan Ke Khilaaf Muttahida Quami Movement (MQM) Aaj Mulk Bhar Mein Yom siyah Mana Rahi Hai Jis Ki Wajah Se Sindh Ke Beshtar Shehron Mein Kaarobar Zindagi Maflooj Ho kar Reh Gayi.
MQM ki janib se yom sog ke mauqe par Karachi mein karobar zindagi pori tarha moattal raha, bazaar, markets, aur petrol pumps band rahay jab’ke sarkon par public tansport na honay ke barabar thi. MQM ki janib se shehar ke mukhtalif elaqon mein Khursheed Shah ke khilaaf poster aur banner awezan kiye gaye.
Yom sog ke bais Karachi university mein aaj honay walay entry test multavi kar diye gaye jis ki new date ka elaan baad mein kiya jayega.
Doosri janib hyderabad, mirpur khaas, tando aadam, Sukkur , nawab Shah , sanghar, doulat poor, daud, Badeen aur nangrparkr samait Sindh ke mukhtalif shehron mein bhi yom siyah manaya gaya. androon Sindh chalne wali public tansport band honay ki wajah se karobari aur tijarti sargarmia moattal rahi is ke elawa MQM ke muqami rehnuma aur karkunaan ne apna ehtijaj record karaya.
Wazeh rahay ke chand roz qabal Khursheed Shah ki janib se lafz mohajir ko gaali qarar dene ke khilaaf MQM ki janib se sakht radde amal ka muzahira kiya gaya aur radde amal ke tor par MQM ne Sindh aur Kashmir assembly se peoples party ke sath apna ittehaad khatam kardiya aur Khurshid Shah ko oppostion leader ki nashist se hataane ka mutalba kiya ja raha hai.
Mulk Bhar Mein Aaj Eid ul Azha Mazhabi Josh-O-Jazbe Ke Sath Manayi Ja rahi Hai
Mulk Bhar Mein Aaj Eid ul Azha Mazhabi Josh-O-Kharosh Ke Sath Manayi Ja rahi Hai Aur Lakhoon Farzandaan Islam Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Ki sunnat par Amal Karte Hue Allah Ki Raah Mein Janwaron Ki Qurbani Kar Rahay Hain.
Mulk ke tamam chhotey barray shehron qasbon aur dehaat mein namaz eid ke ijtemaat masajid medanon aur khuli jaghon par munqaid kiye gaye.
Wifaqi dar-ul-hakoomat mein namaz eid ke sab se barray ijtemaat Faisal masjid aur laal masjid mein hue.
Roshniyon ke shehar Karachi ki teen hazaar se zayed masajid o imam bargahon mein namaz eid ke khusoosi ijtemaat munqaid hue is silsilay mein masajid ke ilawa eid gahon parks aur khulay maqamat par bhi intezamaat kiye gaye,
Baldia uzma Karachi ke zair e ahtemam namaz eid ka sab se bara ijtema Gulshan jinah polo ground mein howa jahan Aala sarkari shaksiaat Sindh kabeena ke arkaan qaumi o sobai assembly baldia uzma Karachi ke afsaraan muslim mumalik ke sifaratkaar aur imaideen shehar ne eid ul azha ki namaz ada ki,
Namaz eid ke baad mulk ki salamti o istehkaam aur ummat Musalma ki sar bulandi ke liye khusoosi duayen mangeen gayi jis ke baad hazaron farzandaan toheed ne sunnat ibraahimi par amal karte hue janwaron ki qurbanion ka silsila shuru kya.
kisi bhi na khushgawaar waqeye se nimatnay ke liye shehar bhar mein majmoi tor par police aur rangers ke 25 hazaar ahelkaar tainaat hain.
Lahore mein namaz eid ka sab se bara ijtema badshahi masjid Lahore mein howa eid ul azha par dehsatgardi ke khadshay ke baais soobay bhar mein security red alert jari kar di gayi hai jab kay Lahore samait 15 districts ko hassas qarar day diya gaya.
Un mein Multan , Gujranwala , Muzaffar garh, Faisalabad, gujrat, Bahawalpoor, Jhang, Sheikhupura, Khanewal , Vihari, Sargodha, Pakpatan aur Rawalpindi bhi shaamil hain, un mein aman o Amaan barqarar rakhnay ke liye ek laakh se zayed police afsaraan aur ehalkaron ko tainaat kiya gaya hai.
Quetta mein eid ul azha ka sab se bara ijtema markazi eid gaah road par munqaid howa is ke ilawa 116 maqamat par eid ke chhootey barray ijetmaat hue jin mein se 16 maqamat ko hassas tareen qarar dete hue security ko yakeeni bananay ke liye ATF Balochistan Constabulary RRG police aur Frontier core ke jawano ko tainaat kiya gaya.
Is ke ilawa shehar mein saada kapron mein malbos jawan duties sar-anjaam dy rahy hain aur police ki teams bhi gasht kar rahi hain aur shehar ke mukhtalif maqamat per cheacking ka amal bhi jari hai.
Peshawar aur KP ke kayi districts aur qabaili elaqon mein guzashta roz hi eid ul azha manayi gayi jab kay baaz elaqon mein eid aaj manayi ja rahi hai.
Peshawar mein eid gaah charsaddah road samait mukhtalif maqamat par namaz eid ul azha ke ijetmaat hue..
India Mein Mere Bowling Action Ko Mashkook Qarar Dena Heran Kun Hai
Lahore: Pakistan Cricket Team Ke Sabiq Captain Aur All Rounder Mohammad Hafeez Ka Kehna Hai Ke India Mein Unke Bowling Action Ko Mashkook Qarar Dena Heran kun Hai Jab’kay Woh Guzashta Saal Se Esi Terha Bowling Kar Rahay Hain Aur kabhi Kisi Ne Aitraaz Nahi Kiya.
Australia ke khilaaf mutahidda arab amarat mein teh shuda series mein hissa lainay ke liye rawaangi se qabal Lahore airport par media se baat karte hue Mohammad Hafeez ka kehna tha ke India mein champions league mein mere bowling action par aitraaz uthana heran kun hai.
Unhon ne kaha ke k mere bowling action par aitraaz kya gaya hai lekin woh apna action tabdeel nahi karenge kyun kay mein guzashta saal se ICC ke mujawaza qawaneen ke mutabiq bowling karwa raha hon.
Mohammad Hafeez ka kehna tha ke champions league india mein honay wala domestic tournament tha jis mein bowling action par lagaye jane walay aitrazaat ki koi hesiyat nahi.
All rounder ka kehna tha ke baaz halqon ke nazdeek ” dosra ” delivery ko ghair qanooni samjha jata hai lekin unhon ne kabhi ”dosra” ball nahi karwai jis ki wajah se inhen koi khouf nahi.
Sabiq captain ne kaha ke woh 6 aalmi tournament mein hissa le chuke hain jis mein 2 world cup aur 3 T20 world cup shaamil hain jis mein kabhi kisi ne un ke bowling action par sawal nahi uthaya jab’kay india mein un ke bowling action par aitraaz karna samajh se baala hai.
Wazeh rahay ke ICC ki janib se mashkook bowling action par Pakistani spiner Saeed Ajmal ko bowling karanay se rok diya gaya tha jab’kay world cup se qabal spiner ke action par aitraaz laga kar inhen event se bahar karne ki koshish par Pakistani coach Waqar Younis ne kayi sawalaat uthaye hain..
Pakistan Awaami Tehreek Ka Ainda Aam Intekhabaat Mein Hissa Lene Ka Elaan
Islamabad: pakistan Awaami Tehreek Ke Sarbarah Dr. Tahir Ul Qaderi Ne Kaha Hai Ke Unki Jamaat Aindah Aam Intikhabaat Mein Hissa Legi.
Report ke mutabiq dharnay ke 50 din mukammal honay par shurka se khitaab karte hue Tahir Ul Qaderi ne kaha ke Pakistan awaami tehreek aaj se intekhabi jamaat bana di gayi hai or hum ainda honay walay aam intekhabaat mein Mulk bhar se bharpoor tareeqay se hissa lenge.
Unhon ne kaha ke awaami tehreek parliment mein aakar na sirf mulk mein qaim farsodah aur corrupt nizaam tabdeel keregi balkay ewaan ka taqaddus bhi bahaal karayegi.
Dr. Tahir Ul Qaderi ka kehna tha ke Pakistan awaami tehreek mulk ke konay konay se apne umeed waar kharray kar kay sab se barri aur inqalabi jamaat ban kar dukhaay gi kyun ke ab hum awam ke ewaan ko luteron aur dakuon ke hawalay nahi honay denge.
Unhon ne kaha ke hukmaran har 3 mahinay ke baad qarza le rahay hain lekin kisi ko nahi pata ke is mein se kitni raqam awam par kharch ki jarahi hai.
Qarza lainay ke baad hukmaran to chalay jayen ge lekin anay wali naslon par is ka mazeed boojh barha jayen ge..