Monthly Archives: April 2014
Wafaq Ne Bijli Ke Wajbaat Ki Wasooli ke Liye Soobon Se Madad Lene Ka Faisla Kar Liya
Karachi: Wafaq ne garmi ke mosam main bijli ki pedawar , tarseel loadsheding plan , bijli chori ki rok tham aur wajbaat ki wasooli ke liye soobayi hukumaton se madad lene ka faisla kar liya hai,
Iss hawalay se Wazir-e-Azam apne beroni mulk se doura wapsi ke baad jald ek aala sateh ka ijlaas bulayengay jis main inn umoor per eham faislay kiye ja sakte hain,
wafaqi hukumat ke qabil-e-aitmaad zaraye ne bataya hai ke Wazir-e-Azam nawaz Sharif ne wazarat pani aur bijli ko hidayat ki hai ke garmi ke mosam main bijli ki pedawar , tarseel aur loadsheding plan ke hawalay se foori-tor muasar Policy ko tashkeel diya jaye aur mulk bhar main bijli ki bachat ka program banaya jaye..
Customs Department Ne Mobile Phone Ke 150 Consignment Rook Liye
Islamabad: Custom Authorities ne mobile phones ki 150 Consignments rook li hain- Pakistan Telecommunication Authority PTA ki clearance report jama na karane per custom authorities ne yeh action liya hai,
Customs intelligence officials ne guzishta ek maah ke douraan china ke mobile phones ke clear kiye jane walay Consignments ki Investigation ka hukum de diya hai
Customs Authorities ko Investigation ka hukum PTA ke Fake NOC per Consignments clear karne per diya gaya hai
Security agencies ki janib se kayi martaba report di gayi thi ke customs authorities chaina se dar-Aamad kiye janay walay mobile phones ke IMEI numbers ki checking nahi karte jis ki wajah se mobile ki Aamad se mataliq aur tadaad ke baray main tazaad peda hota hai,
Dehshat-gardi bhatta khori aur deegar crime ki rook tham ke liye chaina ke mobile numbers ke bund karne main bhi Security agencies ko mushkilaat ka samna karna parta hai..
3G Aur 4G Licenses Neelaam hote he Services Ki Aazmaish Shuru
Karachi: 3G 4G Technology ke Licenses ki kamyaab neelami ke baad telecom industry main sargarmiyan urooj per ponch gaien hain,
Licenses hasil karne wali companies ne baray shehron main Trial basis per Users ko free 3G service ki farahmi shuru kardi hai jis ke baad maqami market main smart phones ki Sale main numayaan izafa ho gaya hai,
3G Licenses hasil karne wali ek European Company numainday ne bataya hai ke inn companies ne baray shehron main apne users ke liye Trial basis per 3G ki free service ka Aaghaaz kar diya hai,
Unhone bataya hai ke iss service ki farahmi ka maqsad 3G nerwork per load ka andaza lagana hai jis se service quality ko behter rakhne main madad milegi,
Unhone ne bataya hai ke 3G network per abb tak ke bahtreen nataij hasil ho rahe hain baray shehron main tamaam 3G sale site on kardi gaien hain aur users ko Via SMS inform kar diya gaya haike woh 3G ki free Trial service se Use kar sakte hain iss maqsad ke liye users ko ek Information number bhi jaari kiya gaya hai jis per SMS kar ke User maloom kar sakte hain ke unn ke area main Trail 3G Available hai ya nahi,
Mobile market ke zaraye ka kehna hai ke 3G Licenses ki kamyab neelami ke baad smart phones ki talab main gair mamooli izafa ho gaya hai,
Users ki bari tadaad ainda budget main smart phones per tex lagaye jane ke khadshaat ke sabab fori-tor per smart phones ki kharidari ki tarjeeh dy rahi hai jabke companies ki janib se users ko Trial basis per free 3G ki farahmi ne bhi smart phones ki talab barhane main eham kirdar adda kiya hai,
Industry zaraye ka kehna hai ke 3G service ki marketing ke liye heavy budget mukhtas kiye gaye hain.
Print aur electronic media ke sath large media per bhi multi expenses kiye ja rahe hain jis se advertising ki industry main bhi activities teez ho gaien hain,
Shehar main 3G aur 4G service se mutaliq banners aur display hoardings kiye ja chukay hain jis se rozgaar ki farahmi ke liye new technology se wabista umeedain poori hona shuru ho gaien hain..
karachi Ke Elaqay Gizri Main Dhamaka
Karachi: Gizri main carpet showroom ke qareeb dhamake ke natijay main khatoon samait 4 afraad jan-bahaq jabke 30 zakhmi ho gaye hain,
Report ke mutabiq karachi ke elaqay gizri main choudhry khaliq al zaman road dehli colony main carpet showroom ke qareeb dhamake ke natijay mian 4 afraad jan-bahaq aur 30 zakhmi ho gaye jabke kayi gharon aur gariyon ko bhi nuqsaan poncha hai,
dhamaka iss qadar shadeed tha ke iss ki awaz door dorr tak suni gai jabke aas paas ki buildings bhi laraz gaien,
dhamake ke baad police aur rangers ki bhaari nafri moqay per ponch kar evidence jama karna shuru kar diye jabke rescue teams ne dhamake ke natijay main zakhmi aur jan-bahaq hone walay afraad ko hospital shift kar diya,
DIG West Abdul Khaliq Shaikh ka kehna hai ke nearly 10kg gram baroodi mawad rakshaw main nasab tha aur dhamake ke natijay main 1 rakshaw aur 3 gariyon ko bhi nuqsaan poncha jis main 2 sarkari gariyaan bhi shamil hain,
Health Minister Sindh Doctor sagheer ahmed ka kehna tha ke dhamake main 1 khatoon samait 4 afraad jan-bahaq huwe jabke 30 zakhmiyon ko hospital muntaqil kiya gaya jis main se 5 ki halat nazuk hai,
Sindh ke Information Minister Sharjeel Inaam Memon ne kaha hai ke terrorists ka target sarkari gariyaan thien jabke hamlay main eham government officials saqib soomro ki gari ko ko bhi nuqsaan poncha ta-hum woh gari main moujood nahi thy,
Unhoon ne kaha hai ke terrorists Musalsal sindh ko nishana bana rahe hain federal government ab terrorists se muzakraat ke bajaye jawabi karwai ka aaghaz kare..
Utility Stores Corporation Ne Ramzan Package Per Kaam Shuru Kar Diya
Islamabad: Utility stores Corporation ne ramzan package 2014 ki tayari per kaam shuru kar diya hai,
Federal government ne iss saal Ramzan-Ul-Mubarak ke liye 2 Arab rupy ka relief package dene ka faisla kar liya hai
Utility stores corporation ke tarjumaan Wajid Khan Sawati ne bataya hai ke Ramzan-Ul-Mubarak main Federal government ki janib se Low Income Classes ke liye Utility stores ke zariye Subsidies ki farahmi ashiyae zaroorat ki Pricing stock ki dastiyabi aur supply se Schedule amal ke barey main tajaveez tayar ki ja rahi hain,
Tarjumaan ne bataya hai ke Ramzan package ke tahet , Aata , Ghee , Daal , Besan , Chai ki Patti , aur Mashroobat samait mukhtalif ashiyae zaroort discount rates per faraham ki jayengi,
1st May Se Petrol 1 Rupy Aur Diesal 1.22 Rupy fee Liter Sasta Hone Ka Imkaan
Islamabad : Mehangayi se behaal awam ke liye choti si khush-khabri 1st may se petrol 1 rupy aur diesal 1.22 rupy fee liter sasta hone ka imkaan hai,
Zaraye ke mutabiq 1st may se Petroleum masnoaat ki qameeton main kami ka imkaan hai.
Petrol ki qeemat main 1 rupy fee liter kami ka imkaan hai. Hi-speed diesal ki qeemat main 1.22 fee liter , light diesal ki qeemat main 1.20 fee liter ki kami ka imkaan hai,
jabke Hi-octain 2 rupy fee sasta ho sakta hai aur matti tail ki qeemat 1.33 fee liter kami ka imkaan..
Asian Snooker Championship Mian shirkat Ke Liye National Team 25 April ko Rawana hogi
Lahore: Asian Snooker Championship mian shirkat ke liye National Team 25 April ko United Arab Emirates Rawana hogi,
National Snooker team 3 players per mushtamil hai jis main national champion Mohammad Asif toba , Hamza Akbar aur Sajjad Iqbal shamil hain jabke haji Abdul Rasheed manager ke faraiz anjaam dengay,
Championship 26 april se 3 may tak United Arab Emirates main kheli jayegi jis main shirkat ke liye team 25 april ko rawana hogi,
Training Camp karachi main jaari hai jis main players ka kehna hai ke woh tournament main apni bharpoor salahiyatoon ka muzahira karte huwe qoum ko mayoos nahi karengay..
Mexico 7.5 Shiddat Ke Zalzalay Se Laraz Utha
Mexico City: Mexico main 7.5 shiddat ke zalzalay se emaartain laraz gaien ta’hum kisi bhi qism ke jaani nuqsaan ki information nahi mili,
Report ke mutabiq zalzalay ka center mexico ki western state guerrero ke sahily area main 31 kilo meter zere-zameen tha jis se emaartain laraz gaien aur log khouf zada ho kar gharoon se bahr nikal aaye
Maqami zalzala climber center ke mutabiq zalzalay ki shiddat 7 thi ta’hum american geological survey ka kehna hai ke iss ki shiddat 7.5 thi,
hakkam ke mutabiq zalzaly se koi jaani ya maali muqsaan nahi hua ta’hum administration iss hawalay se mazeed Investigation kar rahi hai,
Peshawar Main Security forces Ki Gari Ke Qareeb Dhamaka, Ek Ahalkar Jan-bahaq 3 Zakhmi
Peshawar: Bara Sheikhan mian sarak kinaray nusb baroodi mawad phatne ke natejay main security forces ka ek ek ahalkar jan-bahaq aur 3 Zakhmi ho gaye,
Report ke mutabiq peshawar ke qabaily elaqay Bara Sheikhan main frontier road per security forces ki gari ko nishana banaya gaya,
Zaraye ke mutabiq baroodi mawad sarak kinaray nusb tha aur dhamake ke natejay main ek ahlkar shaheed 3 zakhmi ho gaye
waqay ke baad security forces ki bhari nafri ne moqay per ponch kar elaqay ko ghareay main lekar search opration shuru kar diya jabke zakhmi hone walon ko tebbi imdaad ke liye hospital muntaqil kar diya,
3G Aur 4G Technology Ke Liye 4 Mobile Companies Ne Qualify Kar Liya
Islamabad: 3G Aur 4G mobile technology ke liye 4 companies ne qualify kar liya. Modern Technology ki neelami 23 april ko hogi,
Report ke mutabiq PTA hakkam ka kehna hai ke 3G aur 4G technology neelami ki offers ke sath 200 million dollars ki raqam mousool hui ho gai hai jo naqabil-e-wapsi hai,
Technology ki neelami ke liye qualify karne wali companies main , Mobilink , Telenor , Chaina Mobile Zong , aur Ufone shamil hain,
Inn 4 companies ke elawa kissi Foreign company ne neelami main Offer jama nahi karawai PTA ke hakkam ke mutabiq neelami main 3G mobile technology ke 3 aur 4G ke 2 License diye jayengay,
Iss se pehlay islamabad main Senator Zahid Khan zere-sadarat Senate ki qaima committee IT aur telecom ka ijlaas hua jis main Senate ki Sub-Committee ka kehna tha ke 23 april ko neelami ka amal Cancel kiya jaye kyu ke 3G ki neelami ke liye qanooni taqazay poray nahi huwe,
Committee ke mutabiq Ufone ko boli main hissa lene se roka jaye aur government PTA authority ka quorum poora kare,
Committee ke member Faisal Raza Abidi ka kehna tha ke iss bat ko yaqeeni banaya jaye ke Ufone 3G aur 4G ki neelami main hissa na ly,
Unhone kaha ke hum ek cheez sell karna chahen aur aur hamara apna idara he usay purchase kare yeh mumkin nahi,
Hum 3G aur 4G ki neelami rokna nahi chahte sirf zaroori kaam pore kar diye jayen Committee ne 3G aur 4G spectrum ki neelami alag alag karne ki bhi safarish ki,..