1 2 3 29

Duniya Mein Internet Istemaal Karne Walon Ki Tadaad 3 Arab 20 Crore Se Tajawaz Kar Gayi

 New York: Duniya Bhar Mein internet Istemaal Karne Walon Ki Tadaad Mein Guzashta Aik Dahai Ke Douran Teen Guna Izafa Howa Hai Aur Internet User Ki Ttadaad 3 Arab 20 Crore Se Tajawaz Kar Chuki Hai.

World bank ki janib se 2016 ke liye jari world development report mein inkishaaf kiya gaya hai ke Nigeria aur deegar taraqqi pazeer mumalik mein awam ko bijli aur saaf pani muyassar ho na ho lekin un ke paas mobile phone mojood hain.

Report mein mazeed kaha gaya hai ke aik andazay ke mutabiq taraqqi pazeer mumalik ki 70 feesad abadi mobile phone rakhnay par fakhar mehsoos karti hai.

World bank ki report ke mutabiq 2005 se 2015 ke douran internet istemaal karne walon ki tadaad mein teen guna se bhi ziyada izafah howa hai jo 1 arab se barh kar 2015 ke end tak 3 arab 20 crore taq ja pohanchi.

Is ke ilawa internet ke zariye karobari hazraat, awam aur hakoomaten aaj pehlay se ziyada aik dosray se raabtey mein hain.

World T20 Mein Pakistan Ka Fatihana Aaghaz

 Culcutta: Pakistan Ne T20 World Cup Ke Match Mein Bangladesh Ko 55 Runs Se Shikast Dey Kar Asia Cup Ka Badla Le Liya.

Calcutta ke Eden Garden Cricket Stadium mein khailay gaye T20 World Cup ke match mein Green Shirts ne pehlay batting karte hue muqarara 20 overs main 5 Wickets ke nuqsaan par 201 runs banaye jis ke taqub mein Bangladesh 6 wickets par 146 runs hi bana saki.

Bangladesh ko pehlay hi over mein 1 wicket ke khasaray ka saamna karna para jab Mohammad Aamir ne apni 3rd ball per Soumya Sarkar ko Clean Bold kiya jis ke baad Jareh mizaaj Sabbir Rahman bhi 25 runs bananay ke baad Shahid Afridi ki ball par bold hogaye.

Teesray out honay walay Batsman Tamim Iqbal they jo sirf 24 runs hi bana sakay jab ke Mahmudullah 4 runs bana kar pavellion lautay.

Mushfiq Ur Raheem aur Shkib Al Hasan ne 5th wicket ke liye 39 runs ki shiraakat daari qaim ki Mushfiq ur Raheem 18 runs par Mohammad Aamir ka shikaar banay.

Mohammad Mithun ko Mohammad Irfan ne 2 runs par pavellion bheja jab ke Shakib Al Hasan 50 runs par na qabil e shikast rahay.

Pakistan ki janib se Captain Shahid Afridi aur Mohammad Aamir ne 2, 2 jab ke Immad Wasim aur Mohammad Irfan ne 1,1 wicket haasil ki.

Shahid Afridi ko jarehana inning khailnay aur 2 wickts haasil karne par Man Of The Match se nawaza gaya.

Is se qabal Qaumi Team ke Captain Shahid Afridi ny Toss jeet kar batting ka faisla kiya to Opening Batsman Sharjeel Khan aur Ahmed Shahzad ne Team ko umda Aaghaz faraham kiya dono Batsmans ne jarehana andaaz mein inning ka aaghaz kiya to 26 ke majmoi score par Sharjeel Khan 10 balls par 18 runs bana kar Arafat Sunny ki ball par bold hogaye

Jis ke baad Ahmed Shahzad aur Mohammad Hafeez ny 2nd wicket par 95 runs ki shiraakat qaim ki dono Batsmans ne ground ke charon atraaf dilkash stroke khailay aur team ka majmoa 121 tak pouncha to Ahmed Shahzad 39 balls par 52 runs bana kar Sabbir Rahman ki ball par catch out hogaye Unhon ny apni inning mein 8 4s lagaye.

Wickts girnay ke bawajood qaumi batsmans ki jarehana batting jari rahi aur Captain Shahid Afridi aur Mohammad Hafeez ne 3rd wicket par 42 runs ki shiraakat qaim ki aur 17th over mein team ka majmoi score 163 tak pouncha to Mohammad Hafeez 42 balls par 64 runs bana kar out hue jis mein 2 6s aur 7 4s shaamil they jab ke Umar Akmal baghair koi runs banaye Taskeen Ahmed ka shikaar banay.

Captain Shahid Afridi last over mein apni Half Century se sirf aik runs doori par catch out hue unhon ny 4 4s aur 4 6s ki madad se 19 balls par 49 runs banaye.

Shoaib Malik 14 aur immad Wasim baghair koi ball khailay not out rahay.
Bangladesh ki janib se Taskeen Ahmed aur Arafat Sunny ne 2, 2 aur Sabbir Rahman ne 1 wicket haasil ki..

World T20 Cup Ke 1st Match Mein Newzea Land Ne India Ko Shikast Deydi

 Nagpor: T20 World Cup Ke Super 10 Marhalay Ke 1st Competitions Mein Newzea Land Ne India Ko 47 Runs Se Shikast Deydi.

Nagpor mein khailay gaye World Cup Super 10 Marhalay ke 1st match mein Newzea Land ne India ko jeet ke liye 127 runs ka Target diya jis ke jawab mein India ki poori team 79 runs par pavellion lout gayi.

India ki batting start se hi mushkilaat ka shikaar rahi aur 3 overs mein 12 runs par 3 players pavellion lout gaye they.

Shikhar Dhawan 1, Rohat Sharmaa 5 aur Suresh Raina 1 runs bana kar out hue jab ke 26 runs ke majmoi score par Yuvraj Singh bhi 4 runs bana kar out hue.

Virat Kohli ki himmat bhi 23 runs par jawab de gayi jab ke Hardik Pandya 1, Ravindra Jadeja 0, aur Ashwin 10 runs bana kar out hue.

Captain Dhoni Aakhri dam tak wicket par mojood rahay lekin 18th over mein Mitchell Santner ne inhen 30 runs par pavellion bhej diya.

Newzea Land ki janib se Mitchell Santner 4, Ish Sodhi 3, Nathan McCullum 2 aur Adam Milne aik wicket haasil karne mein kamyaab rahay.

Is se qabal Newzea Land ke Captain Kane Williamson ne Toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya aur muqarara 20 overs mein 7 Wickets ke nuqsaan par 126 runs banaye.

Kiwis ki janib se Martin Guptill ne pehli hi ball par Ashwin ko chakka raseed kar kay mega event ka aaghaz kiya lekin doosri hi ball par Ashwin ne inhen out kar kay hisaab chukta kar diya 3rd par batting ke liye anay walay Colin Munro bhi aik chakka maarny ke baad Ashish Nehra ka shikaar banay.

Captain Williamson bhi 8 runs hi bana sakay jab ke Ross Taylor achi form mein nazar arhay they lekin woh 10 runs par raina ke hathon run out hogaye.

Corey Anderson ne bharpoor muzahmat ki lekin un ki himmat bhi 34 runs par jawab dey gayi baad mein anay walay players mein Mitchell Santner 18, Grant Elliott 9 runs bana kar out hue jab ke Luke Ronchi 21 runs par not out rahay.

India ki janib se Ashwin, Nehra, Bumrah, Raina aur Jadeja ne 1,1 wicket haasil ki.

Wazeh rahay ke T20 World Cup ke Super 10 marhalay mein South Africa, Srilanka, West Indies, England aur qualifying team Afghanistan group 1′ jabkay Pakistan , India , Newzea Land, Australia aur Bangladesh group 2′ mein shaamil hain.

Mehakma Mosmiyat Ka Aindah 5 Din Ke Douran Mulk Ke Beshtar Elaqon Mein Barish Ki Paishgoi

 Karachi : Mehakma Mosmiyat Ne Aindah 5 Din Ke Douran Mulk Ke Mukhtalif Hisson Mein Barish Ki Paish Goi Ki Hai Jab Ke Balochistan Mein Mosla Dhaar Barish Ka Silsila Jari Hai .

Mehakma Mosmiyat ne aindah 5 roz ke douran mulk ke mukhtalif hisson mein barish ki paish goi ki hai jab ke aindah 24 ghanton ke douran Balochistan ke aksar maqamat par garaj chamak ke sath aur Sindh mein gird alood hawaon ke sath barish ka imkaan hai.

Mehakma Mosmiyat ka kehna hai ke kal se itwaar ke douran Islamabad, Kashmir , khyber Pakhtunkhwa, Fata aur balai Punjab mein barish ka imkaan hai jab ke hafta aur itwaar ko Peshawar , Kohat, Mardan, Hazara Division, Rawalpindi mein bhi barish mutawaqqa hai.

Mehakma Mosmiyat ne khabardaar kiya hai ke Khyber Pakhtunkhwa, Fata, Balochistan DG Khan , Rawalpindi , Gujranwala , Hazara Division aur Peshawar ke nashebi ilaqay ziraab anay aur nadi naalon mein tughyani ka khatrah hai jab ke aindah 24 ghanton ke douran Balochistan ke aksat maqamaat par garaj chamak ke sath aur Karachi , Hyderabad, Sukkur , Larkana Division mein bhi kahin kahin barish ka imkaan hai..

Asia T20 Pakistan Ne UAE Ko Shikast Dedi

 Dhaka: Asia Cup T20 Ke 4th Match Mein Pakistan Ne UAE Ko 7 Wickets Se Shikast Dedi.

Mirpor ke Sheer Bangla stadium mein khailay gaye Asia T20 Cup ke 4th match mein UAE ne pehlay batting karte hue total 20 overs mein 6 wickets ke nuqsaan par 129 runs banaye jis ke jawab mein Pakistan ne 18.4 over mein 3 wickets ke nuqsaan par target haasil kar liya.

Mohammad Hafeez aur Sherjeel Khan ne ining ka aaghaz kiya lekin UAE ke Captain Amjad Javed ne 3 overs main Sherjeel Khan 4, Khurram Manzoor 0 aur Mohammad Hafeez ko 11 runs par pavellion bhej kar match mein sansani peda kar di taham Umar Akmal aur Shoiab Malik ne 4th wicket ke liye 114 runs ki shirakat daari qaim kar kay Pakistan ko jeet se humkinar karaya.

Shoiab Malik 3 6s aur 7 4s ki madad se 63 jab ke Umar Akmal 3 6s aur 2 4s ki madad se 50 runs par not out rahay.

Is se qabal UAE ke Captain Amjad Javed ne Toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya, Rohaan Mustafa aur Mohammad Kaleem ne ining ka aaghaz kiya lekin dono player aik aik runs bana kar pavellion lout gaye jis ke baad Mohammad Shahzad batting ke liye aaye aur 5 runs bana kar Mohammad Irfan ka nishana banay.

Shaiman Anwar aur Usman Mushtaq ne 4th wicket ke liye 29 runs ki shiraakat daari qaim ki.

Mushtaq 9 runs bana kar pavellion lautay jab ke Shaiman Anwar ne 5th wicket ke liye Mohammad Usmaan ke sath mil kar 31 runs banaye aur Shaiman 46 runs bana kar out hue.

Mohammad Usmaan ne 6th wicket ke liye Captain Mohammad Amjad ke hamrah mil kar 46 runs ki shandaar shiraakat daari qaim kar kay team ka score mustahkam kiya.

Mohammad Usman 21 runs bana kar out hue jab ke captain 27 runs par not out rahay.

Pakistan ki janib se Mohammad Aamir ne Shandaar bowling ka muzahira karte hue 4 overs mein 6 runs de kar 2 wickets, Mohammad Irfan ne bhi 2 jab ke Mohammad Sami aur Shahid Afridi ne 1,1 wicket haasil ki.

Wazeh rahay ke Pakistan aur UAE pehli martaba T20 mein aik dosray ke mad-muqabil aye hain is se qabal dono Teams mein 3 one day matches bal tarteeb 1994, 1996 aur 2015 mein khailay ja chukay hain.

Shahid Afridi ne Ab tak 85 T20 ining mein 66 6s maray hain 3 mazeed 6s se woh David Warner ( 67 ) aur Martin Guptil ( 68 ) ko peechay chortay hue all time list mein 4th number par poanch jayenge..

Phone Ko Sirf 5 Minute Mein Charge Karne Wala Charger Tayyar

Beijing: Chines Experts Ne Aesa Charger Tayyar Kiya Hai Jo Sirf 5 Minute Me Aap Ke Phone Ko Charge Karega Jab Ke Ye Charger Khud Battery Ki Life Ko Bhi 4 Guna Barha Deta Hai.

Crowd funding Website ke mutabiq dish ASAP (As Soon As Pssible) Charger ko Chines experts ne tayyar kiya hai aur ye battery charger khud bhi USB port aur deegar alaat se charge ho sakta hai.

Dish charger ki charge karne ki gunjaish 5 hazaar MEH hai jab ke bazaar mein dastyab behtareen battery charger alaat ab tak 2 hazaar MEH se agay nahi poanch sakay.

Ek ASAP charger lagataar 3 iphone charge karne ke liye kaafi hai jin mein 15 minute se zayed ka waqfa nahi lagta.

Tecnology ke deegar mahireen ne kaha hai ke taiz tareen charging se phone ki original aur qeemti battery par koi muzir asar nahi hoga.

Mobile phone ki battery ko charge karne walay alaat 100 se 300 ya ziyada se ziyada 500 cycle ke baad khatam ho jatay hain lekin ASAP charger 1200 cycles tak kaam karta hai.

Is terha agar rozana istemaal kiya jaye to yeh 3 saal tak kaar amad rehta hai.
Charger ki qeemat 89 dollar ( Pakistani 9 hazaar rupay ) hai jis ki International sale rawan saal June se shuru hogi.

Iphone 7 Plus Mein 2 Back Cameras Ka Imkaan

 Iphone Ko Pehlay Hi Behtareen Smart Phone Camera Ki Badolat Jana Jata Hai Aur Imagine Karen Ke Agar 1 ke Bajaye 2 Back Ya Rear Camera Is Device Mein Lagey Hon To Is Ki Taaqat Kitni Hogi.

Wesay to Apple ke new iphone 7 ko samnay anay mein 8 month baqi hain magar is ke baare mein afwahon aur ittilaat ki aamad ka silsila jari hai.

Technology Website Mesh able ke mutabiq iphone ke baare mein jo ittila ab samnay aayi hai ke is ke mutabiq iphone 7 plus ke back par dual camera system hoga.

Agarchay 2 Rear Camera bzahir to ghair zaruri lagtay hain magar Apple ki janib se is izafi camera ko 3D video bananay ke liye istemaal kiya ja sakta hai jabkay software ki behtar triks ka mauqa bhi mil sakta hai.

Yeh dono camera Imaging Algorithms ke sath honge is Technology ko Apple ne guzashta saal 1 Company khareed kar haasil kiya tha.

Is Technology ke baais camera lense ki zaroorat nahi rehti jabkay yeh kam roshni mein bhi behtareen tasaveer lainay mein madad faraham karti hai.

Reports ke mutabiq iphone 7 plus mein Optical zoom ke function ko bhi behtar banaya ja sakta hai.

Khayaal rahay ke abhi tak 2 back camera wala smart phone Apple ke hareef Samsung ne bhi Introduce nahi karaya hai.

New Zealand Ne 3rd T20 Match Mein Pakistan Ko Shikast Dedi

 Wellington: New Zealand Ne 3 Matches Par Mushtamil T20 Series Ke Faisla Kun Match Mein Mehman Pakistan Ko Shikast Dekar Series Apne Naam Karli.

Wellington ke WestpacTrust Stadium mein khailay gaye match mein New Zealand ne pehlay batting karte hue 20 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 196 runs banaye jis ke taqub mein Pakistan ki poori team 101 runs per pavilion lout gayi.

Target ke taqub mein Qaumi Team ko pehla nuqsaan 7 runs par howa jab Mohammad Hafeez 2 runs bana kar catch out hue jab ke teesray over ki 1st ball per Ahmed Shahzad bhi 8 runs bana kar pavellion lout gaye.

Mohammad Rizwan 4, Shoiab Malik 14, Umar Akmal 5, Shahid Afridi 8 aur Ammad Wasim bagair koi runs bnaye out hue.

Girti wickets ko sahara deny ke liye wicket keeper Sarfaraz Ahmed ne mazahmat ki koshish ki lekin woh bhi 92 ke total score per himmat haar gye unhon ney 5 4s ki madad se 36 balls par 41 runs bnaye,

Anwar Ali 8 aur Wahab Riaz 1 runs bana kar out hue.
New Zealand ki janib se Grant Elliott ne 3, Corey Anderson aur Adam Milne ney 2,2 jab ke Trent Boult ne 1 wicket haasil ki.

Is se pehlay batting karte hue kiwi opener ne ek bar phir jarihana batting karte hue team ko 57 runs  ka Aaghaz faraham kiya.

6th over k liye Shahid Afridi Aeye aur pehlay hi over mein Martin Guptill ko Umar Akmal ke hathon catch out kara diya.

Unhon ney 19 balls par 42 runs ki jarehana inning kheli. 7th over mein 62 ke total score par Colin Munro Mohammad Rizwan ki shandaar through par run out hue.

11th over mein Wahab Riaz ney kiwi Captain Kane Williamson ko 33 runs par out kar diya Shoiab Malik ne un ka catch thaama.

Ross Taylor 6 runs bana kar retired hurt ho gaye. Corey Anderson ne 27 balls par jarehana half century score ki.

Grant Elliott 14 balls par 19 runs bana kar run out hue jab ke Luke Ronchi apna khata khole baghair pehli hi ball par out ho gaye lekin aik taraf se Corey Anderson ne shandaar batting jari rakhi aur 42 balls par 82 runs ki not out inning kheli.

Pakistan Ne 1st T20 Match Mein New Zealand Ko Shikast Dedi

 Auckland: Pakistan Ne Captain Shahid Afridi Ki All Rounder Karkardagi Ki Badolat New ZeaLand Ko Pehlay T20 Match Mein 16 Runs Se Shikast Day Kar Series Mein Bartari Haasil Karli.

Auckland ke Eden Park mein khailay gaye match mein kiwi team ke captain Kane Williamson ne toss jeet kar Shahid Afridi ko pehlay khailnay ki dawat di.

Pakistan ki janib se Ahmed Shahzad aur Mohammad Hafeez ne batting ka Aaghaz kiya.

Dono batsman ne mohtaat batting ka muzahira karte hue 4 overs mei bina kisi nuqsaan ke 23 runs banaye taham 4th over mein Ahmed Shahzad ne Adam Milne ko 1 4s aur 6s Raseed karne ke baad 5th ball par 1 aur long shot khailnay ki koshish mein Elliott ko catch thama baithy.

Wo 14 runs bana kar out honay walay 1st Pakistani batsman they.

Sohaib Maqsood score mein koi izafah kiye baghair 0 par out hue

3rd out honay walay batsman Shoiab Malik they jnhon ne Hafeez ke sath mil kar 3rd wicket ki shiraakat mein score ko 78 runs tak pohanchaya aur 20 runs bana kar Santner ki ball par out hue.

Mohammad Hafeez ne zimma daarana batting ka muzahira karte hue 47 balls par 2 6s aur 8 4s ki madad se 61 runs banaye aur Adam Milne ki ball par out hue.

Umar Akmal 24 runs bana kar out honay walay 5th player they.

Captain Shahid Afridi ne jarehana batting ka muzahira karte hue Pakistan ka score 147 runs tak pohanchaya unhon ne 8 balls par 2 4s aur 2 6s ki madad se 23 runs banaye lekin apne mizaaj ke mutabiq khailnay ki koshish mein Trent Boult ki ball par Kane Williamson ke hathon catch out hue.

Sarfraz Ahmed 2 runs bana kar Milne ka shikaar banay jabkay Ammad Wasim 18 runs bana kar out hue.

Wahab Riaz 2 aur Umar Gul 1 run bana kar not out rahay.

Pakistan ne 20 overs mein 8 wickets ke nuqsaan par 171 runs banaye aur maizban New Zealand ko jeet ke liye 172 runs ka target de diya.

New Zealand ke Adam Milne 4 wickets haasil karkay kiwis ki janib se top bowler rahay, Santner ke hissay mein 2 wickets ayen.

172 runs ke target ke taqub mein kiwis ke opening batsman Martin Guptill 2 runs bana kar 9 ke total score per run out hue jabkay Shahid Afridi ne starting over mein Kane Williamson ka 1 Asaan catch drop kiya.

Colin Munro 27 balls par jaarehana 56 runs bana kar out hue unhon ne 6 6s aur 2 4s lagaye.
Corey Anderson 0 par Ammad Wasim ka shikaar banay.

Grant Elliott 3 aur Luke Ronchi baghair koi run banaye Shahid Afridi ke hathon out hue jabkay Santner bhi 0 per hi Umar Gul ko wicket de baithy.

Todd Astle 138 ke total par 1 run ka izafah karkay Umar Gul ki 2nd wicket ban gaye jabkay Matt Henry 10 runs bana kar Mohammad Aamir ki International cricket mein wapsi ke baad pehla shikaar banay isi ke sath Aamir ki International cricket mein 100 wickets bhi mukammal ho gayen.

Last over mein Kane Williamson 70 aur Trent Boult 0 par Wahab Riaz ki ballspar out hue.

New Zealand ki All Team 155 runs bana kar out hui yun Pakistan 16 runs se Winner ban gaya.

Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 3, Umar Gul aur Shahid afridi ne 2,2 jabkay Aamir aur Amad Wasim ne 1,1 wicket haasil ki.

Shahid Afridi ko All Round karkardagi par match ka behtareen player qarar diya gaya.

1st T20 match ke liye dono teams In players per mushtamil Thin.

Pakistan Team..
Shahid Afridi (Captain), Ahmed Shahzad , Mohammad Hafeez , Sohaib Maqsood, Shoiab Malik, Umar Akmal , sarfaraz Ahemd, Ammad Wasim, Wahab Riaz , Umar Gul aur Mohammad Aamir

New Zealand Team..
Kane Williamson (Captain), Martin Guptill, Colin Munro, Corey Anderson, Grant Elliott, Luke Ronchi, Mitchell Santner, Todd Astle, Adam Milne, Matt Henry, Trent Boult

Pakistan aur New Zealand ke darmain Series ka 2nd T20 match 17 Jan, Sunday ko Seddon Park mein khela jayega .

Youtube Ka Pakistani Users Ke Liye Special Version Introduce

 Website Ki Taraf Introduce Kurwaye Gaye Version Ke Baad Pakistan Mein Mojood Taqreeban Har User Ko Hi Youtube Ki Website Open Karne Par Logo Ke Sath Chhota Sa ”PK“ Bhi Likha Nazar Aa Raha Hai.

Lahore: Youtube ne Pakistani users ke liye aik special version introduce karwaya hai jis ke mutabiq Pakistan mein mojood users ke liye youtube ke logo par ”pk“ likha nazar aa raha hai.

Jab kay is se pehlay Pakistan mein youtube ka globle version hi dekha ja sakta tha taham America , England aur Germany samait duniya bhar ke mutadid mumalik mein pehlay se hi special version introduce kurwaye ja chuke thay aur un mumalik ke users ko youtube ki Website par apne mulk ka makhsoos code bhi nazar aata tha.

Lekin ab Website ki taraf se introduce kurwaye gaye version ke baad Pakistan mein mojood taqreeban har user ko hi youtube ki Website kholnay par logo ke sath chhota sa ”PK“ bhi likha nazar aa raha hai.

Taham youtube ke logo per ”pk“ ke bawajood bhi is version par bhi wo tamam Data available hai jo youtube ke globle version par mojood hai.

1 2 3 29

News

Karachi
October 2024
M T W T F S S
« Mar    
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
28293031