Ramzaan Ul Mubarak Ka Chand Kal Nazar Anay Ka Imkaan Hai

Karachi: Mehakma Mosmiyat Ka Kehna Hai Ke Kal Mutala Saaf Hoga Is Liye Chand Nazar Anay Ke Qaumi Imkanaat Hain.

Report ke mutabiq mehakma mosmiyat ka kehna hai ke kal mutala saaf hoga is liye kal shaam 7 bajkar 5 minute par chand nazar anay ke imkanaat hain jis ke baad jumeraat ko pehla roza hoga.

Mehakma mosmiyat ke mutabiq Ramzan Ul Mubarak ka chand dekhnay ka dorania 38 minute hoga jab ke naye chand ki Umar 24 ghantay 44 minute hai.

Doosri janib markazi Rwait Halal committee ka ijlaas kal Karachi mein mehakma mosmiyat ke daftar mein hoga jis ki sadarat chairman Rwait Halal committee Mufti Muneeb Ur Rahman karenge.

Bijli Se Parwaaz Karne Wala Duniya Ka Pehla Hawai Jahaaz Tayyar

 Paris: Bijli Se Urnay Wala Duniya Ka Pehla Hawai Jahaaz Tayyar Kar Liya Gaya Hai Jisay Duniya Ka Khamosh Tareen Hawai Jahaaz Bhi Qarar Diya Ja Raha Hai.

Paris ke mashhoor Air Show mein pehli baar numaish ke liye paish kiya jane walay E Fan Nami tayyaray 2.0 mein 2 afraad baith satke hain aur ye aik martaba charge honay par 136 meel fi ghanta ki raftaar se aik ghante tak parwaaz kar sakta hai.

Aur Esay bananay wali Air Bus Company ke mutabiq is model ko 2017 tak farokht ke liye paish kar diya jayega.

Jub’ke saal 2050 tak company bijli se parwaaz karne wala 100 seats ka tayyara bhi tayyar karle gi.

Company ki janib se esay duniya ka khamosh tareen tayyara bhi qarar diya ja raha hai jis se carbon dioxide ka ikhraj nahi hota jab ke usay duniya ka pehla barqi jahaaz qarar diya ja sakta hai jis ki designing aur tayari par 2 crore dollar ki sarmaya kaari ki gayi hai.

Jahaaz ka wazan nisf tan hai jis mein Lithium Ion polymer batteries nasb hain aur paron ka ghair 31 foot hai aur is mein nasb electric motors 60 kilo watt ki qowat peda karti hain.

Air bus company ne isi model ke sath mukammal tor par bijli se parwaaz karne walay Helicopter tayyar karne ka elaan bhi kya hai.

Karachi Mein Motocycle Sawaron Ke Liye Helmit Zaroori

 Karachi: Motorcycle Par Safar Karne Walon Ko Mangal Se Helmit Ka Laazmi Istemaal Karna Hoga Jis Ki Khilaaf Warzi Karne Walon Ke Khilaaf 9 June Se Karwai Amal Mein Layi Jayegi.

Traffic police hakkaam ka kehna hai ke shehar Quaid mein motorcycle par safar karne walon ko mangal se helmit laazmi pehnana hoga aur motorcycle chalanay walay shakhs ke sath sath peechay bethnay walay khuwa woh mard ho ya aurat dono ko laazmi helmit pehnana hoga.

Khilaaf warzi karne walay afraad ke khilaaf 9 June se 150 rupay se 300 rupay tak ke chalaan ke sath qanooni charah joi bhi ki jaye gi.

Is pabandi ka itlaq traffic police, district police aur deegar units mein tainaat police Officers aur Ahlkaron par bhi hoga ba’sorat deegar un officers o ehalkaron ke khilaaf bhi qanooni chara jui ki jayegi.

Traffic hakkaam ka kehna hai motorcycle sawaron ko helmit ke istemaal ka paband bananay ka maqsad un ke safar ko ziyada se ziyada mehfooz banana hai kyun ke shehar mein honay walay traffic hadsaat mein 60% Mout motorcycle par safar karne walon ki hoti hai jin mein aik tahai motorcycle mein safar karne afraad shaamil hotay hain aur amwaat ki bunyadi wajah helmit ka istemaal na karna hota hai.

Unhon ne kaha ke motorcycle par sawaar khawateen mein helmit pahannay ke rujhan mein izafay ke liye muft helmit taqseem kiye jayenge.

Doosri janib shehar Quaid ke shehrion ne traffic police ke iqdaam ko saraha hai jabkay kuch shehrion ne usay anokha iqdaam bhi qarar diya hai.

Shehrion ka kehna hai ke mazkoorah muhim bhi maazi ki tarha is martaba bhi Eid Ul Fittar se qabal traffic police ke sath sath district police ke liye kamaai ka zareya saabit hogi.

Shehrion ne mutalba kiya hai ke mazkoorah pabandi ke douran buzurag bachon aur khawateen ko helmit pahannay se mustasna qarar diya jaye.

Motorcycle par safar karne wali beshtar khawateen ka kehna hai ke wo burqa aur abaya pehan kar apne bachon ke hamra motorcycle par safar karti hain isi soorat mein un ke liye na sirf helmit pehnana intehai mushkil amal saabit hoga balkay woh kisi aur duniya ki makhlooq bhi lagengi.

Shehrion ka kehna hai ke agar kisi shehri ne safar ke douran helmit pehna howa nahi hai to inhen roknay ya is ka chalaan karne ka ikhtiyar sirf traffic police officers ya ehalkaron ko hi hona chahiye.

Aesa na ho ke traffic police ki Aar mein police ahelkaar shehrion se lout maar karen..

Bahera Arab Mein Ban’nay Wala Hawa Ka Shadeed Kam Dabao Tufaan Mein Tabdeel

 Karachi: Bahera Arab Mein Ban’nay Wala Hawa Ka Shadeed Kam Dabao Tufaan Mein Tabdeel Ho Gaya Hai Jisay Ashoba Ka Naam Day Diya Gaya Hai.

Mehakma mosmiyat ki janib se bayan ke mutabiq bahera arab mein ban’nay wala hawa ka shadeed kam dabao tufaan mein tabdeel ho gaya hai jisay baqaida tor par Ashoba ka naam day diya gaya hai.

Samandari tufaan Ashoba aik nut fi ghanta ki raftaar se agay barh raha hai aur is waqt Karachi ke shumal mein 850 kilometer ki doori par hai.

Mehakma mosmiyat ke mutabiq 80% imkaan hai ke Ashoba oman ke saheli ilaqay se takrayega jab ke 20% imkaan hai ke tufaan Balochistan ke saahil se takrayega.

Doosri janib tufaan ke khadshay ke paish e nazar Karachi mein mahi geron ko saahil samandar se door rehne ki Hidayat jari kar di gayi hain jab ke ainda 24 ghanton ke douran Sindh aur Balochistan ke saheli ilaqon hisson mein garaj chamak ke sath barish ka imkaan bhi zahir kiya ja raha hai.

Bahera arab mein ban’nay walay tufaan ke mumkina tor par Karachi ke saahil se takaraane ke khadshay ke paish e nazar shehar bhar ke hospitals mein emergency nafiz kar di gayi hai jab ke ke electric ne bhi apne operation ko fa-aal kardiya hai.

Shab-E-Baraat Mazhabi Aqeedat O Ahteram Ke Sath Aaj Manayi Jayegi

 Karachi: Mulk Bhar Mein Aaj shab-E-Baraat Mazhabi Aqeedat O Ahteram Ke Sath Aaj Manayi Jayegi.
Shab-e-baraat Allah taala se dosti karne haq ka sath denay aur naik kamon ki rahein talaash karne ki raat hai.

Is raat ki fazeelat ke baray mein Rasool Ullah Salla Allahu Alaihi Wasallam ki kayi ahadees sahaba karaam Rizwan Ullah Alaihim Ajmaeen se marwi hain.

Is babarkat raat Ahal e Emaan Rub e kaayenaat ke huzoor sarbasjod ho kar tauba o astaghfar, apne aamaal ki islaah, gunaaho se tauba, rizq mein barket aur sehat o tandrusti ke liye duayen mangte hain.

Is ke elawa shab e baraat ke mauqe par bari tadaad mein log aaj aur kal nafli roza bhi rakhtay hain.

Shab e baraat ke mauqe par mulk bhar ki masajid mein khusoosi shab e baydaari ahtimaam kiya jaye ga.

Jin mein farzandaan islam nawafil aur tasbihaat samait mukhtalif nafli ebadaat ada karen ge.

Is douran zikar Ellahi ki khusoosi Mahafil, husn qarat, hamd o naat aur duroood o islam ki rooh parwar Mahafil ka ahtimaam bhi hoga.

Is ke elawa ulmaye karaam, mashaikh Azaam aur mazhabi Danishwer shab e baraat ki fazeelat aur ummat Musalma ke liye is ki ahmiyat par tafseeli roshni dalain ge.

Nafli ibadaat ke elawa aaj ki raat mein bari tadaad mein log apne pyaron ki qabron par haazri dete hain aur un ke aisaal e sawab ke liye quran khawani o Fatiha khawani bhi karte hain.

Mulk mein Aman O Amaan ki mojooda soorat e haal ke baais kisi bhi Na’khushgawaar waqeye se nimatnay ke liye security ke intehai sakht intizamaat kiye ja rahy hain.

Masajid aur qabrustano mein police ki izafi nafri tainaat ki ja rahi hai.
Karachi bhar ke 193 qabrustanon ke itraaf security ke liye 2 hazaar 600 police ahelkaar tainaat kiye jayenge.

Jin mein se 500 police ahlkaar saada libaas mein faraiz sar-anjaam denge is ke elawa shehar bhar mein 200 police mobiles 106 motorcycle sawaar squad mukhtalif maqamat par tainaat kiye jayenge..

Nepra Ne Bijli Ki Qeemat Mein 2 Rupay 8 Paisay Fi Unit Kami Ki Manzoori Dedi

 Islamabad: National Electric Power Regulatory Authority Ne Central Power Purchasing Agency Ki Darkhwast Par Bijli Ki Qeemat Mein 2 Rupay 8 Paisay Fi Unit Kami Ki Manzoori Dedi Hai.

Report ke mutabiq nepra ne bijli ki qeemat mein 2 rupay 8 paisay fi unit kami ki manzoori dedi hai.

Bijli ki qeemat mein kami March ki mahana fuel adjustment ki mad mein di gayi jab’kay bil mein kami ka itlaq June ke bills mein hoga taham bijli ki kami ka itlaq 50 unit se kam istemaal karne walon aur ke electric sarfeen par nahi hoga.

Wazeh rahay ke aalmi market mein tail ki qeematon mein kami ke baais mulk mein bijli ke narkhon mein bhi khatir khuwa kami hui hai..

Pakistan Ne 2nd One Day Mein Zimbabwe Ko Shikast Dekar Series Apne Naam Karli

 Lahore: Pakistan Ne 2nd One Day Mein Zimbabwe Ko 6 Wickets Se Shikast Dekar 3 Matches Ki Series 2-0 Se Apne Naam Karli..

Qazafi stadium Lahore mein khlie gaye 2nd ODI match mein Pakistan ke captain Azhar Ali ne toss jeet kar mehman team ko pehlay batting ki dawat di.

Zimbabwe ne Sikandar Raza ki shandaar century ki badolat muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 258 runs banaye.

Zimbabwe ki janib se Vusi Sibanda aur Chamu Chibhabha ne team ko umda aaghaz faraham kiya aur pehli wicket ke liye 83 runs ki shiraakat daari qaim ki lekin Sibanda 13 runs ke infiradi score per Hafeez ki ball par out hogaye jab ke Masakadza 18 runs par Yasir Shah ka shikaar banay.

Chibhabha sirf aik run ke farq se apni pehli century mukammal nahi kar sakay aur 99 runs par pavellion lout gaye.

Pakistan ki janib se Wahab Riaz aur Yasir Shah ne 2,2 jab ke Hafeez aur Shoiab Malik ne 1,1 wicket haasil ki.

Pakistan ne 259 runs ka hadaf 48th over mein haasil kar liya aur Captain Azhar Ali ne career ki 2nd century score ki.

Green shirts ki janib se Azhar Ali aur Sarfraz Ahmed ne team ko 46 runs ka aaghaz faraham kiya taham Sarfraz Ahmed 22 runs bana kar pavellion lout gaye.

Jis ke baad Hafeez crease par aaye magar wo bhi sirf 15 runs hi bana sakay jab ke Azhar Ali aur Asad shafeeq ke darmiyan teesri wicket ke liye 85 runs ki shiraakat daari qaim hui taham Asad shafeeq 39 aur Azhar Ali 102 runs ki shandaar ining khailnay ke baad out hue jab ke Haris Sohail 52 aur Shoiab malik 36 runs bana kar not out rahay.

Wazeh rahay ke 1st ODI match mein Pakistan ne Zimbabwe ko 41 runs se shikast di thi..

Pakistan Ko Atomi Taaqat Banay 17 Saal Ho Gaye

 Islamabad: Aaj Se 17 Saal Qabal 28 May 1998 Ko India Ke Atomi Dhmakon Ke Jawab Pakistan Ne Atomi Dhamakay Kar Kay Na Sirf Mulk Ka Difaa Naqabil Taskheer Banaya Balkay Muslim Duniya Ki Pehli Aur Duniya Ki Satwen Atomi Taaqat Ban’nay Ka Aizaz Haasil Kiya Jisay Har Saal Yom-e-Takbir Ke Naam Se Intehai Josh O Kharosh Ke Sath Manaya Jata Hai.

Atomi dhmakon ke baad Pakistan ne atomi salahiyat mein musalsal taraqqi ki jo is ke dushmano ko aik aankh bhi nahi bhaati.

28 May ko yom-e-takbir ka naam diya gaya aur phir har saal usay bharpoor tareeqay se manaya jata hai.

Mulk bhar mein is hawalay se khusoosi taqarib ka ahtimaam kiya jata hai aur masajid mein Pakistan ki salamati aur khushhali ke liye duayen bhi ki jati hain.

Pakistan ne atomi salahiyat ke husool ki koshishon ka aaghaz 1974 mein India ki janib se atomi dhamakay karne ke baad kiya aur phir 28 May 1998 mein Pakistan ne Balochistan ke zila chaghi mein atomi dhamakay kar ke baqaida tor par aik atomi salahiyat ban’nay ka aizaz haasil kiya.

Atomi dhamakay karne ki wajah se Pakistan ko aalmi pabandion ka saamna bhi karna para lekin is ke bawajood Pakistan ne khud ko duniya bhar mein aik zimmedaar atomi riyasat ke tor par manwaya..

Islamabad Aur Azad Kashmir Mein Zalzalay Ke Jhatkay

 Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hukoomat Aur Azad Kashmir Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.

Zalzala koh pema markaz ke mutabiq Islamabad aur Muzaffar Abad mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.

Richter Scale par zalzalay ki shiddat 3 record ki gayi jab’ke zameen mein is ki gehrai 10 kilometer record ki gayi.

Zalzalay ke baad logon mein khauf o hiraas phail gaya taham zalzalay ki shiddat kam honay ke baais kisi jani o maali nuqsaan ki ittila masool nahi hui hain..

Pakistan Ne Pehlay One Day Mein Zimbabwe Ko Shikast Deydi

 Lahore: Pakistan Ne Pehlay One Day Mein Zimbabwe Ko 41 Runs Se Shikast Dekar 3 Matches Ki Series Mein 1-0 Ki Bartari Haasil Karli Hai Jab’ke Shandaar Century score Karne Par Shoiab Malik Ko Man Of The Match Qarar Diya Gaya.

Qazafi stadium mein khailay gaye match mein qaumi team ke captain Azhar Ali ne toss jeet kar batting ka faisla kiya to Bats mans ne usay durust saabit kar dikhate hue 3 wickets ke nuqsaan par 375 runs banaye.

Opening bats man Mohammad Hafeez aur captain Azhar Ali ke darmiyan 170 aur Shoiab malik aur Haris Sohail ne 201 runs ki shiraakat qaim kar kay home ground par kisi bhi ghair mulki team ke khilaaf sab se ziyada majmoi score bananay ka bhi record qaim kar diya.

Opening bats man Mohammad Hafeez aur captain Azhar Ali ne pehli wicket ki shiraakat mein 170 runs jore,

Azhar Ali boundary lagatay hue panyangara ki ball per catch out hue unhon ne 2 chakkon aur 9 chowkun ki madad se 76 balls par 79 runs banaye jis ke baad Mohammad Hafeez bhi 175 ke majmoay par chaltay banay.

Hafeez ne 4 chakkon aur 8 chowkun ki madad se 86 runs score kiye teesri wicket ki shiraakat mein Shoiab malik aur Haris Sohail ne batting karte hue ground ke charon atraaf dilkash strockes khailay aur match ki aakhri ball per Shoaib Malik catch out hue,

Shoiab ne 12 chowkun aur 2 chakkon ki madad se 76 balls par 112 runs bnaye jab ke Haris Sohail 89 runs ke sath not out rahay.

Hadaf ke taqub mein Zimbabwe ne Pakistan ka bharpoor muqabla kiya aur muqarara 50 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 334 runs banaye,

Zimbabwe ki janib se ining ka aaghaz Sibanda aur Sikandar Raza ne kiya aur dono ke darmiyan pehli wicket ke liye 56 runs ki shiraakat daari qaim hui.

Sikandar Raza ko Anwar Ali ne 36 jab ke Sibanda ko Wahab Riaz ne 23 runs par out kiya jis ke baad Masakadza aur captain Chigumbura ke darmiyan 124 runs ki shiraakat daari qaim hui taham 73 runs ke score par Masakadza ko Shoiab malik ne pavellion ki raah dikhayi.

Chigumbura Pakistani bowlers ke agay datay rahay aur unhon ne shandaar century score ki woh 117 runs par Wahab Riaz ka shikaar banay jab ke Williams 36 runs bana kar not out rahay.

Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 3 jab ke Anwar Ali aur Shoiab malik ne 1,1 wicket haasil ki.

Match shuru honay se qabal qaumi team ke captain Azhar Ali home ground mein 6 saal baad ODI cricket ki bahaali per khush dikhayi diye aur unhon ne samaji raabtey ki Website twitter par apni tweet mein kaha ke home ground mein taweel arsay baad kisi ghair mulki team ke khilaaf match khailnay ke liye pur josh hain…

News

Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930