Monthly Archives: September 2015

Withholding Tax Ke Khilaaf Karachi Ki Tamam Markets Mein Kaarobar Band

 Tax Ke Nifaz Ka Faisla Wapis Na Liya Gaya To Hukoomat Ko Deegar Tax Bhi Ada Nahi Karenge Taajiron Ki Dhamki.

Karachi: Withholding Tax ke khilaaf taajiron ki hartaal ke baais aaj Karachi ki taqreeban tamam markets band hain.

All Karachi tajir ittehaad ka kehna hai ke agar faisla wapis na liya gaya to deegar tax bhi ada nahi karenge.

Doosri janib hartaal ke baais maeeshat ko arbon rupay ka nuqsaan aur mazdoor aaj apni ujrat se mahroom raha.

Mulk bhar ki tarha Karachi mein bhi tajir Withholding Tax ke muamlay par saraapaa ehtijaj hain.

Taajiron ki janib se Karachi ki taqreeban tamam markets jis mein Boltan Market, Jame Cloth Market, Buhri Bazaar, Akbar Road, Regal Chowk, Jorya Bazaar, Haidry Market aur Liaqatabad sameit deegar choti markets band hain.

Doosri janib taajiron ne mutalba kiya hai ke Withholding Tax ka faisla wapis liya jaye warna deegar tax bhi ada nahi karenge aur hartaal o ehtijaj ka silsila bhi jari rahega.

Taajiron ki hartaal se jahan maeeshat ko arbon rupay ka nuqsaan ho raha hai wahein mazdoor tabqa bhi buri tarha mutasir ho raha hai.

FBR ke mutabiq 1st October se Withholding Tax ki sharah aik baar phir .6% kar di jayegi.

Zaraye ke mutabiq Withholding Tax ke hawalay se jald Islamabad mein ahem ijlaas mutawaqqa hai.

Supreme Court Ka Urdu Ko Daftari Zabaan Ke Tor Par Raij Karne Ka Hukum

 Islamabad : Supreme Court Ne Aaien Ke Article 251 Ke Tehat Urdu Ko Daftari Zabaan Ke Tor Par Raij Karne Ka Hukum De Diya.

Cheif justice of Pakistan justice Jawad S khwaja ki sarbarahi mein Supreme Court ke 3 rukni bench ne urdu ko sarkari aur daftari zabaan ke tor par raij karne se mutaliq faislay ki samaat ki.

Supreme Court ne apne faislay mein urdu zabaan ko raij karne se mutaliq 9 Hidayat jari karte hue kaha gaya hai ke Aaien ka itlaq hum sab ka farz hai.

Aaien mein darj hai ke 15 saal ke andar angrezi ki jaga urdu ko sarkari aur daftari zabaan ke tor par raij kiya jaye ga.

Aaien ke article 251 ke tehat urdu ko fori tor par daftari zabaan ke tor par nafiz kiya jaye. Wafaqi satah par muqablay ke imtehanaat mein qaumi zabaan istemaal ki jaye.

Supreme Court ne apne tafseeli faislay mein kaha hai ke tamam idaron mein article 251 ka nifaz yakeeni banaya jaye.

Qaumi zabaan ke rasam alkhat mein yaksaniyat ke liye hakoomaten hum ahangi peda karen teen mah ke andar hakoomaten qawaneen ka urdu zabaan mein tarjuma karen.

Adalti muqadmaat mein mehakmay apne jawabaat mumkina had tak urdu mein paish karen.

Awaami mafaad se mutaliq adalti faislon ko bhi urdu mein tarjuma kiya jaye.
Adalti faislay par amal-dar-aamad ke liye har shakhs qanooni chara joi ka haq rakhta hai.

Wazeh rahay ke kokab Iqbal aur Mahmood Akhtar Naqvi ki janib se allag allag darkhwasten dair ki gayi theen jin mein adalat Uzma se istada ki gayi thi ke Aaien ke article 251 ke tehat urdu ko sarkari aur daftari zabaan ke tor par raij karaya jaye.

Adalat Uzma ne 26 Augst ko samaat mukammal karte hue faisla mehfooz kar liya tha..

Yom-e-Difaa Ke Mauqe Par Motocycle Ki Double Sawari Par 2 Roz Ki Pabandi

 Karachi Mein Yom-e-Difaa Ke Mauqe Par Motocycle Ki Double Sawari Par 2 Roz Ke Liye Pabandi Aaid Kardi Gayi Hai.

Karachi: Mehakma Dakhla Sindh ki janib se motocycle ki double sawari par 2 roz ke liye pabandi aed kardi gayi hai.

Police hakkaam ka kehna hai double sawari par pabandi Yom-e-Difaa ke mauqe par security khadshaat ko mad e nazar rakhtay hue lagai gayi hai.

Hakkaam ki janib se police ko mushtaba afraad ki kari nigrani ka bhi kaha gaya hai.
Double sawari ki khilaaf warzi karne walay afraad ke khilaaf muqadma darj kiya jayega..

USB Se Charge Honay Wala Duniya Ka Sab Se Chota Drone Tayyar

 New York: American Company Ne USB Se Charge Honay Wala Duniya Ka Sab Se Chota Drone Tayyar Kar Liya Jis Ki Onchai Aur Lambai Sirf 3 Centi Meter Jab Ke Choraai 2 Centi Meter Hai.

American Company ke tayyar karda is drone ko duniya ke sab se chhootey’Quadcopter’ka aizaz haasil hai is drone ko’Areas access’ka naam diya gaya hai jo USB se charge honay ke baad 5 se 7 minute tak parwaaz kar sakta hai.

Drone ki tayari ka bunyadi maqsad naye logon ko drone urane ki tarbiyat faraham karna hai is mein nasb khusoosi Gyro Scope usay parwaaz ke douran mustahkam rakhtay hain.

Is ki charon pankhriyon par plastic ki hifazati patti lagai ja sakti hai taa kay taiz ghoomti hui pankhriyon ko toot phoot ya kisi nuqsaan se mehfooz rakha ja sakay jab ke is mein kartab dikhaane ke 2 option bhi hain jis ke zariye is ki parwaaz ko mazeed dilchasp banaya ja sakta hai.

Kayi rangon mein dastyab is drone ki qeemat 35 dollar hai aur usay October se farokht ke liye paish kya jayega.

Ab tak ye company apne chhootey drone ke 10 hazaar model farokht kar chuki hai aur ab is ny baqaida company qaim karkay mazeed behtar aur chhootey drone tayyar kiye hain.

Malaysia Mein Tarkin Watan Ki Kashti Ulatnay Se 14 Afraad Halaak

 Kuala Lumpur: Malaysia Ke Maghribi Saahil Ke Qareeb Tarikeen Watan Ki Kashti Ulatnay Se 14 Afraad Halaak Gogaye.

Ghair mulki khabar agency ke mutabiq haadsa malaysia ke maghribi saahil mein masroof tareen tijarti aabi guzargah abnaye malaka ke qareeb paish aaya.

Jahan ghair qanooni tor par malaysia mein daakhil honay walay tarikeen watan ki kashti ulat gayi jis mein 100 se zayed afraad sawaar they.

Haadsay ke baad muqami mahi gairon ne doobnay walay mutadid afraad ki jaan bachai jab ke is douran 14 afraad ki lashain bhi nikaali gayi jin mein khawateen bhi shaamil hain.

Malaysia ke hakkaam ke mutabiq tarkin watan ki bari tadaad ab bhi lapta hai jinhein talash kiya ja raha hai aur is ke baais halakaton mein mazeed izafay ka bhi khadsha hai.

Muqami media ke mutabiq haadsay ki wajah kashti mein gunjaish se ziyada musafiron ko sawaar karna tha jab ke kashti mein sawaar afraad ki aksariyat ka talluq Indonesia se tha taham hakkaam ki janib se is ki tasdeeq nahi ki gayi hai.

Wazeh rahay ke 20 laakh se zayed afraad rozgaar ke liye ghair qanooni tor par malaysia mein muqeem hain jin ki aksariyat ka talluq hamsaye mulk Indonesia se hai jahan se har saal hazaron afraad rozgaar ki talaash mein tang aur khatarnaak aabi guzar gahon se malaysia mein daakhil hotay hain.

Wazan ki zayadti aur tando taiz lehron ki wajah se aksar kashtiyan ulatnay ke hadsaat paish atay rehtay hain aur is se 2 mah pehlay bhi Indonishin tarikeen watan ki aik kashti ulatnay se 12 afraad halaak hogaye they.

News
Karachi
September 2015
M T W T F S S
« Aug   Oct »
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
282930