Daily Archives: July 25, 2015

Pakistan Aur Srilanka Ke Darmiyan Series Ka Aakhri Match Kal Khela Jayega

 Hambantota: Pakistan Aur Srilanka Ke Darmiyan 5 ODi Matches Par Mushtamil series Ka Aakhri Match Kal Khela Jayega .

Hambantota ke mahindra raja pakse cricket stadium mein kal honay wala match Pakistani waqt ke mutabiq dupehar 2 bujey shuru hoga.

Qaumi team pehlay hi series 3-1 se apne naam kar chuki hai jab ke series apne naam karne ke baad green shirts ne aalmi ranking mein 8th position sambhaalte hue champions trophy ke liye bhi qualify kar liya.

Qaumi team ko is waqt 90.4 points haasil hain aur mehman Srilanka se series ka 5th match jeetnay ki soorat mein qaumi team ke points mein mazeed 2 points ka izafah hoga jis ke baad west indies ki champions trophy mein shirkat mukammal tor par dam toar degi.

Jab ke west indies ne bhi champions trophy mein shamoliat ke liye haath paon maarna shuru kar diye aur is silsilay mein Caribbean cricket board ne series ke liye india se rabta kiya hai taham indian team ki Srilanka ke sath series pehlay hi schedule hai.

Abbottabad Mein 5.1 Shiddat Ka Zalzala

 Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad Se 50 Kilometer Door Abbottabad Mein 5.1 Shiddat Ke Zalzalay Ke Nateejay Mein 3 Aafraad Halaak Hogaye Hain.

Khabar rasan idaray AFP ke mutabiq American jolujekyll surway ka kehna hai ke zalzalay ka maqam Islamabad ke shumal mein 15 kilometer door pahari silsila tha jis ki gehrai 26 kilometer thi.

Pakistani hakkaam ke mutabiq zalzalay ke baais 2 khawateen sameit 1 bacha halaak hogaya hai.

Senior police Afsar (SPO) Sher Akbar Khan ne bataya hai ke Abbottabad shehar ke muzafaat mein qaim matti ke ghar zalzalay ke baais dhair hogaye hain jis ke nateejay mein 2 khawateen aur 1 bacha halaak jab kay 1 bachi zakhmi hogayi hai.

Khawateen ki Age 25 saal aur 48 saal thi jab kay bachay ki Age 9 saal aur zakhmi honay wali bachi ki Age 6 saal hai.

Pakistan mehakma mosmiyat ke senior Afsar Ghulam Rasool ka kehna hai ke zalzalay ke jhatkay Punjab aur Khyber pakhton khwa ke deegar shehron mein bhi mehsoos kiye gaye.

Muqami mehakma mosmiyat ke mutabiq zalzalay ki shiddat 4.6 aur is ki geherai 10 kilometer thi.

Yaad rahay ke October 2005 mein Pakistan aur Hindustan ke sarhadi ilaqon mein 7.6 shiddat ke anay walay zalzalay mein 73 hazaar log halaak jab kay 3 laakh 50 hazaar afraad be ghar ho gaye they.

Isi terha saal 2013 mein Balochistan mein anay walay 7.7 shiddat ke zalzalay ke baais 370 afraad halaak aur 1 laakh be ghar hogaye they.

News
Karachi
July 2015
M T W T F S S
« Jun   Aug »
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031