Australia Ne Pakistan Ko Shikast Dekar World Cup Se Bahar Kar diya

Adelaide: ICC World Cup Ke 3rd Quarter Final Match Mein Australia Ne Pakistan Ko 6 Wickets Se Shikast dekar Semi Final Mein Rasai Haasil Karli Jub’ke Pakistan World Cup se bahar ho gaya.

Adelaide Oval Ground mein khailay gaye match mein Pakistan ne toss jeet kar batting ka faisla kiya jo us ke liye ziyada soodmand saabit na howa aur poori team 50 overs mein 213 runs bana kar out all out hogayi.

National team ke openers acha aaghaz faraham karne mein nakaam rahay aur 20 ke total  score par Sarfraz Ahmed 10 ke infiradi score par pavellion lout gaye jab ke Ahmed Shahzad 5 runs bana kar josh hazlewood ka shikaar banay.

Dono openers ke out honay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Haris Sohail ne team ko sahara diya aur 73 runs ki shiraakat qaim karte hue team ke total score ko 97 tak ponhca diya taham phir Misbah Ul Haq himmat haar gaye aur 34 ke infiradi score par
Glenn Maxwell ki ball par chakka maarny ki koshish mein boundary par catch out hogaye.

Pakistan ke 4th out honay walay player Haris Sohail thay jo 112 ke total par 41 runs bana kar Mitchell Johnson ka shikaar banay jab ke Umar Akmal 20 ke infiradi score par Maxwell ki ball par catch out hue.

Shahid Afridi aik baar phir jarehana ining khailnay ke iraday se crease par aaye lekin 23 runs par unki hijat bhi tamam hui jab ke Suhaib Maqsood bhi bari ining khailnay mein nakaam rahay aur 188 ke majmoi score par 29 runs bana kar out hogaye.

Deegar players mein Wahab Riaz 16, Sohail Khan 4 aur Ahsaan Adil 15 runs bana kar out hue.

Australia ki janib se Josh Hazlewood ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 35 runs dekar 4 players ko out kiya.

Mitchell Starc aur Glenn Maxwell ne 2,2 jub’ke James Faulkner aur Mitchell Johnson ne 1,1 wicket haasil ki.

Australia ne 214 runs ka target 34 over mein 4 wickets ke nuqsaan par poora kar ke Semi final ke liye qualify kar liya.

Australia ke liye bazahir Aasaan dikhne walay match mein aik baar phir us waqt jaan aagai jab 59 runs par is ke 3 player pavellion lout gaye taham
Steven Smith aur Shane Watson ne us mauqe par zimma daarana batting ka muzahira kiya aur 89 runs ki shiraakat qaim karkay team ki position aik baar phir mustahkam kardi.

Steven Smith ne 65 runs ki shandaar ining kheli Shane Watson 64 runs ki na qabil e shikast ining khail kar not out rahay.

Deegar players mein David Warner 24,Aaron Finch 2 aur captain Michael Clarke 8 runs bana kar out hue jab ke Glenn Maxwell 44 runs ki jarehana ining khail kar not out rahay.

Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 2 jub’ke Sohail Khan aur Ahsaan Adil ne 1,1 wicket haasil ki.

Behtareen bowling par Josh Hazlewood ko mean of the match se nawaza gaya..

News
Karachi
March 2015
M T W T F S S
« Feb   Apr »
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
3031