Wizarat-e-Dakhla Ka 9 Aur 10 Muhrram Ko Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla

Islamabad: Wizarat-e-Dakhla Ne 9 Aur 10 Muhrram Ko Security Khadshaat Ke Baais Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla Kiya Hai Jub’ke Sindh Hukumat Ne Karachi Samait 5 Izlaa Mein 8 se 10 Muhrram Tak Mobile Service Moattal Rakhnay Ki Darkhwast Ki Hai.

Report ke mutabiq wizarat dakhla ki janib se Muhrram mein security khadshaat se mutaliq high alert jari kiya gaya hai jis ke baais mulk bhar mein 9 aur 10 Muhrram ke douran mobile phone service ko bhi band rakhnay ka faisla kiya gaya hai.

Zaraye ke mutabiq wizarat dakhla ko jis sobai hukoomat ki janib se darkhwast masool hogi wahan aur hassas elaqon mein mehdood waqt ke liye service band ki jayegi.

Zaraye ka kehna hai ke mulk bhar mein Muhrram ke douran full proof security ko yakeeni bananay ke 32 hazaar 695 ahelkaar tainaat kiye jayen ge jin mein pak fouj rangers, frontier Constabulary aur FC ke troops shaamil honge jo mulk ke 54 mukhtalif izlaa mein faraiz injaam denge jub’ke is douran wizarat dakhla ke 12 Helicopter bhi high alert rakhay jayen ge taa kay kisi bhi nakhushgawaar waqea par sobai hukoomat ko fori tor par taawun faraham kya jasakay.

Zaraye ne bataya ke Paramilitaries forces ko 12 Muhrram tak insidaad e dehshat gardi act ke tehat khusoosi ikhtiyarat bhi somp diye gaye hain jis ke tehat dehshat gardon ki karwai roknay ke liye fori tor par mo-asar iqdamaat kiye ja sakenge.

Doosri janib Karachi police ki sifarish ke baad Sindh hukumat ne wifaq se 8 se 10 Muhrram tak mobile phone service moattal rakhnay ki darkhwast kardi hai.

Mehakma dakhla ke mutabiq Karachi , Hyderabad, Khairpur, Sukkur aur Larkana mein security khadshaat ke baais mobile phone service band rakhnay ki darkhwast ki gayi hai.

Khyber pakhtoon khuwa Hukumat ne yom-e-aashor ke mauqe par Peshawar , Hangu, Taank aur Deera ismael Khan ko intehai hassas qarar diya hai jub’ke security khadshaat ke paish e nazar hassas elaqon mein 9 aur 10 Muhrram ko mobile phone service moattal rakhnay ka bhi elaan kiya hai.

News
Karachi
November 2014
M T W T F S S
« Oct   Dec »
 12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930