Monthly Archives: September 2014

Hukoomat Ne Petroleum Masnoaat Ki Qeematon Mein Kami Ka Elaan Kar Diya

Islamabad: Hukoomat Ne Aalmi Manndi Mein Tail Ki Qeematon Mein Raddo Badal Ke Baad Petroleum Masnoaat Ki Qeematon Mein 2 Rupay Tak Kami Kar Di Hai Jis Ka Itlaq Raat 12 Bujey Se Hoga.

Report ke mutabiq wizarat khazana ki janib se petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ke baad ogra ne is ka notification jari kar diya hai jis ke mutabiq petrol 2 rupay 94 paisay fi letter, diesel 95 paisay, light diesel 67 paisay aur HOBC ki qeemat mein aik rupay 88 paisay kami kar di gayi hai jab’kay matti ke tail mein bhi aik rupay 31 paisay ki kami ki gayi.

Petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ke baad petrol 103 rupay, diesel 107 rupay 39 paisay, light diesel 91 rupay 41 paisay jab’kay HOBC 131 rupay 13 paisay fi litter per dastiaab hoga.

Kaarkunon Ka Qatal’ Wazeer-e-Azam Samait 11 Shaksiaat Kay Khilaaf Qatal Ka Muqadma Darj

Islamabad Ki Shahrah Dastoor Par Tehreek Insaaf Ke Kaarkunon Ke Qatal Ke Ilzaam Mein Wazeer e Azam Miyan Mohammad Nawaz shareef Samait 11 Shaksiaat Ke Khilaaf Muqadma Darj Kar Liya Gaya Hai.

Islamabad: Islamabad ke police station secreteriat mein darj muqadmay mein qatal, iqdaam qatal aur dehsatgardi ki daf-aat bhi shaamil ki gayi hain.

FIR mein shahrah dastoor par 31 August ko paish aane wale waqi’aat par wazeer e azam miyan Mohammad Nawaz shareef,wazeer e aala Punjab miyan Mohammad Shahbaz shareef,wafaqi wazeer e dakhla choudhri Nisar Ali Khan,wazeer difaa khwaja Mohammad Asif,wazeer railway khwaja Saad Rafeeq,IG Punjab Mushtaq sukhera,IG railway police syed Ibne Hussain,SHO thaana secreteriat aur SSP operation samait 11 shaksiaat ko mulzim naamzad kiya gaya hai..

Hum Se Galtiyan Hui Hain Jis Ke Liye Hamdardon Se Zaati Tor Par Maafi Mangta Hon

Karachi: Pakistan Peoples Party Ke Chairman Bilawal Ka Kehna Hai Ke Peoples Party Se Galtiyan Hui Hain Jis Ke Liye Woh Apne Hamdardon Se Infiradi Tor Per Maafi Mangte Hain.

Report ke mutabiq bilawal bhutto Zardari ka kehna tha ke agar peoples party ke hamdard kisi  aur jamaat mein shaamil honay ka soch rahay hain tou soch samajh kar faisla karen,

Hamein andaza hai ke peoples party se maazi mein kayi galtiyan hui hain ta’ham peoples party dobarah kaarkuno ka bharosa haasil karne ke liye pur azm hai.

Unka kehna tha ke peoples party jamhoori jamaat hai aur party ke andar ehtijaj ko khush aaind samjhti hai lekin hamdard kisi aesi gair jamhoori jamaat ke sath taawun na karen jo intehaa pasandi ki himayat karti hain agar hamdard peoples party se mayoos hain to ehtijaj ke aur bhi rastay hain lekin hamari khamion ki saza pakistan aur jamhoriat ko na den..

PTCL Ki Emarat Mein Atishzadgi Ke Baais Lahore Ka Duniya Se Mawaslati Rabta Juzwi Tor Par Munqata

Lahore: Egerton Road Par Waqay PTCL Ki Emarat Mein Aag Lagnay Se Shehar Mein Tamam Sarkari Mehkamon Aur Falahi Tanzeemon Ki Help Lines Aur Bankon Ki ATM Machines Ne Kaam Karna Band Kar Diya Hai.

Guzishta raat lahore ke egerton road par waqay PTCL ki emarat mein achanak Aag bharak uthi jis ne dekhte hi dekhte kayi manzilon ko apni lapait mein le liya.

Waqeye ki ittila miltay hi fire brigade ka amla aur rescue idaray mauqa per ponch gaye,
Kayi ghanton ki koshishon ke baad aag per qabo pa liya gaya ta’ham kuch hi der ke baad aag ek martaba phir bharak uthi,
Jisay bujhanay ke liye rescue 1122 ke tamam wasail ko barooay car laya ja raha hai.

TELEPHONE exchange mein lagnay wali aag se cyber net ka nizaam mukammal tor par jall gaya.

Jis se Rescue 1122, Edhi, PIA, Railway, PTCL Lahore ki help line band hogayi hain.

Is ke Elawa tamam ATM services, Money transaction ka nizaam aur barray hotels samait tamam eham sarkari o ghair sarkari emaarton ka mawaslati nizaam mukammal tor band hogya he.

PTCL hakkaam ka kehna hai ke aag ke baais 45 hazaar Telephone lines aur 25 hazaar internet Connections band hue hain.

Mutasirah Telephone lines ko Aarzi tor per Garden Town exchange muntaqil karne ka kaam shuru kar diya gaya hai ta’ham is kaam mein 8 se 10 ghantay lag satke hain…

Hamara Asal Maqsad ‘Go Nawaz Go’ Nahi Bal’kay ‘Go Nizaam Go’ Hai

Islamabad: Pakistan Tehreek Insaaf Ke Chairman Imran Khan Ka Kehna Hai Ke Hamari Tehreek Ka Asal Maqsad ‘Go Nawaz Go’ Nahi Bal’kay ‘Go Nizaam Go’ Hai,

Islamabad mein dharnay ke shurka se khitaab karte hue Imran Khan ka kehna tha ke un zalim hukumraanon ne poooray mulk se 30 hazaar gullu butt bulwa kar hamaray nojawanon par tashadud karwaya aur unhein jailon mein dala,

Aaj saari qoum wada kere ke hum ne kabhi zulm bardasht nahi karna, agar kisi bhi Pakistani ke sath zulm hoga to saari qoum is ke peechay khari hogi.

Ek din aap ki jamaat ne Iqtidaar mein aana hai aur phir jis jis ne hamaray nojawanon par zulm kya hai, Ek Ek police walay ko hum sazayein dilwayin ge aur jailon mein dalain ge ta’kay ainda kisi ki jurrat na ho ke woh kisi Pakistani par zulm kere.

Imran Khan ka kehna tha ke aaj jab Nawaz shareef New York mein aqwam mutahidda ki general assembly ke ijlaas se khitaab karen ge to un ka ‘go Nawaz go’ ke naaron se istaqbaal hoga jis se America ko bhi pata chalay ga ke Pakistani qoum aik zinda qoum hai.

Unka kehna tha ke nojawan aur khusoosan Students aaj shaam azadi March mein pohnchain kyun ke yeh jung aap logon ke mustaqbil ki jung hai kyun ke aap logon ko un zaalimon se nijaat leni hai.

Meri 18 saal ki siyasi jaddo-jehed ek taraf aur in 44 dinon mein aap logon ne jis himmat aur azm ka muzahira kiya hai woh ek taraf hai.

Is mustaqil mizaji par Pakistani qoum ki janib se aap logon ka shukriya ada karta hon. is waqt mulk mein ek chota sa zalim tabqa hai aur baqi poori qoum mazloom hai jis ke koi haqooq nahi hain lekin jis tarha aap logon ne khauf ki zanjeer tori hai to aaj Pakistani qoum azad ho gayi hai.

Tehreek insaaf ke sarbarah ne kaha ke jo kuch qaumi assembly ke ajlason mein ho raha hai yeh jamhoriat nahi muk muka hai.

Is mein awam ke haqooq ke liye ek bhi lafz nahi kaha gaya aur Nawaz shareef ko bachanay ke liye sab chor lutairay aik sath ho gaye asal jamhoriat to yeh hai jo aap log kar rahay hain.

Ab ye tehreek Pakistan ko ek baar phir se chheeni hui azadi wapis dilayegi aur status ko sirf awam ki taaqat se shikast di ja sakti hai.

Aaj shaam ko yahan bara jashan manayeenge Aaj naye inkishafaat karoon ga.
Yeh jo do jamatein guzashta saal se le rahay hain qoum ko bataonga ke unhon ne qoum ka paisa kis be dardi se lota hai un logon ki hawas sirf qabar ki matti se bharaygi…

Karachi Mein Workers Ki Giraftarion Par MQM Ke Dharnay

Karachi: Guzishta Raat Scheme 33 Abul Hassan Asfhani Road Par Waqay MQM Ke Daftar Par Rangers Ke Chaapay Aur Workers ki Giraftarion Ke Khilaaf Shehar Ke Mukhtalif Elaqon Mein Dharnay Jari Hain Jab’kay MQM Ne Sindh Assembly Ke Ijlaas Ka Bhi Boycott Kardiya Hai,

Karachi mein rangers ki janib se workers ki giraftari par MQM ke Quied Altaf Hussain ki janib se dharnon ke elaan ke baad shehar ke mukhtalif ilaqon mein dharnay jari hain jin elaqon mein dharnay diye jarahay hain un mein wazeer-e-Aala house ke samnay, Teen Talwar, Numaish Chowrangi, Nazim abad number aik, 5 star Chowrangi, Alkaram Square, Nagan Chowrangi, Gulshan chowrangi, Star Gate aur Landhi shaamil hain. dharnon mein MQM ke Arkeen qaumi o sobai Assembly, Arkaan Senate aur rabita committee ke membraan ke elawa workers ki barri tadaad bhi mojood hai.

Rangers ki karwai ke khilaaf shehar ke beshtar niji taleemi idaray band kar diye gaye hain is ke elawa karobari marakaz, markets, bazaar aur petrol pimps bhi band kar diye gaye hain.

Dharnon ke baais traffic ki Aamad o Raft buri terhan mutasir hui hai jis ke paish e nazar traffic police ne shehrion se apni manzlon par pounchanay ke liye mutabadil rastay ikhtiyar karne ki appeal ki hai.

Doosri janib wazeer-e-Aala Sindh Syed Qaim Ali Shah ne MQM ke tahaffuzaat door karne ke liye 6 rakni Committee Qaim kar di hai committee mein Nisar Khorho, Sharjeel Memon, sikandar Mendhro, Mola Baksh Chandio, Waqar Mehdi aur Arshad Rabbani shaamil hain,

Committee MQM Ke Rehnumaon Se Fori Mulaqaat Kar kay Masail Ke Hal Par Baat Keregi…

Imran Khan Ne Bill Ada Na Kiya To Un Ki Bijli Kaat Denge

Quetta: Wazir-e-Mumlikat Pani O bijli Abid Ne Kaha Hai Ke Agar Imran Khan Ne 2 Mah Tak Bani gala Ka Bijli Ka Bill Ada Na Kiya To Unke Ghar Ki Bijli Kaat Denge.

Quetta mein media se baat karte hue abid sher Ali ne kaha ke Imran Khan aur Tahir Ul Qaderi nojawanon ko bharkanay aur Aapas mein laranay ki koshish kar rahay hain.

Unhon ne kaha ke Imran Khan ki janib se civil nafarmani ki tehreek ko awam ne mustard kardiya hai ab agar Imran Khan ne bhi 2 mah tak bani gala ka bijli ka bill ada na kiya to un ki bijli kaat di jaye gi jabkay hukoomat bijli ke nadihindigan se mazakraat ke zariye wasooli keregi…

Nawaz Shareef Ke Resign Ke Baghair Jad-o-jehad Khatam Nahi Karengay

Pakistan Tehreek Insaaf Ke Chairman Imran Khan Ka Kehna Hai Ke Hum Nawaz Shareef Ka Resign Lenay Ke Liye Yahan Baithy Hain Qoum Husnaa Mubarak Ko Qubool Nahi Keregi,

Islamabad: dharnay ke shurka se khitaab mein Imran Khan ka kehna tha ke awam police ke khauf ke bawajood dharnay mein shareek hotay ja rahay hain.
Qoum ne faisla kar liya hai ke woh zulm aur na-insafi bardasht nahi karengay. awam ko pata chal chuka hai ke un ki haq talfi ki ja rahi hai awam apne haqooq ke liye datt gaye hain.

Qoum ne faisla kar liya hai ke ab na-insafi aur zulm bardasht nahi karen ge.
Imran Khan ka kehna tha ke aaj naye Pakistan ki bunyaad rakhi ja rahi hai qoum mein bedaari Aagai hai nai tareekh ban rahi hai.

Naya Pakistan sirf awam ke zariye hi banay ga. un ka kehna tha ke kal Karachi mein aik hi aawaz” go Nawaz go” nikal rahi thi kal Karachi ka jalsa khuda ki taraf se ishara tha,

Log nikal aaye hain. Karachi jalsay mein sindhi, pashtoon, baloch, sirayiki aur hazara se bhi log shareek thay.

khushi hai hum taqseem nahi Pakistanio ko akhatta kar rahay hain.
Qoum apni haalat badalny ki koshish kar rahi hai, Allah Taala madad kar raha hai. unhon ne elaan kya ke tehreek insaaf 28 September ko Lahore mein jalsa keregi…

Tehreek Insaaf Ney Javed Hashmi Ko Party Saddar Ke Ohday Se Bar Tarf Kar Diya

Islamabad: Pakistan Tehreek Insaaf Ney Javed Hashmi Ko Party Saddar Ke Ohday Se Bar Tarf Kar Diya.

Report ke mutabiq Imran Khan ki sadarat mein tehreek insaaf ka Aala satah ka ijlaas Islamabad mein howa jis mein party ke sabiq saddar Javed hashmi ko un ke ohday se bar tarf karne ka baqaida faisla kiya gaya jis ki Imran Khan se bhi manzoori li gayi.

Tehreek insaaf ki janib se Makhdoom Javed Hashmi ko saddar ke ohday se bartarfi ka notice bhi bhijwa diya gaya hai jis mein Javed hashmi par party discipline ki khilaaf warzi karne ka ilzaam Aaid kiya gaya hai.

Tehreek insaaf ki janib se bheje gaye notice mein kaha gaya hai ke Javed hashmi ne party qayadat ke khilaaf ghair zimma daarana bayanaat diye jis se party ko nuqsaan pouncha aur woh badnami ka bhi baais banay.

Musalsal press Conferences aur bayan baazi ke baad Javed hashmi ko saddar ke ohday se farigh karte hue un se wazahat bhi talab ki gayi hai…

Karachi Chember Ko’ In Trade Malaysia ‘ Mein Shirkat Ki Dawat

Karachi: Pakistan Mein Malaysian Palm Oil Ki Dar’Aamdi Sar Garmiyon Mein Kami Tashweesh-naak Hai Kyun Kay Ab Pakistan Mein Palm Oil Ka Hissa 91% Se Ghatt Kar 55% Par Agaya Hai.

Ye baat Karachi mein malaysia ke consul general Abbu Bakar Mamat ne Karachi chamber of commerce and industry mein taajiron o sanat karon se khitaab karte hue kahi.
Unhon ne kaha ke bahami tijarat ke hajam ko barhaane ke liye dono mumalik ke taajiron ko Aaps ke rawabit barhana honge aur bahami tijarat ki raah mein haail rukawaton ki nishandahi karte hue tajaweez dena hogi.

Malaysian consul general ne kulalmpur malaysia mein 20 october se shuru honay wali teen roza ‘in trade malaysia 2014′ numaish mein Karachi chamber ko shirkat ki dawat dete hue kaha ke malaysia external trade development corporation har saal tijarat aur bar’Aamdaat ke farogh ke liye’ ‘ international trade malaysia’ ‘ numaish ka ineqad karta hai jis ka maqsad mulki o ghair mulki tajir baradri ke darmiyan raabtey ustuwar karne, karobari shiraakat daari, Ideas aur bahami maloomat ka tabadla karna hai jo globle market mein karobari rasai ke khwahish mand hain.

Unhon ne kaha ke numaish mein shirkat se Pakistani taajiron ko Malaysian ashya ka jaiza lainay aur taajiron ke sath raabtey barhaane ke sath sath kaarobar ki nai rahein talaash karne ke mawaqay bhi muyassar ayenge ke kis tarha dono mumalik ke darmiyan tijarat ko farogh diya jasakay.

Is mauqa per karachi chamber of commerce ke saddar Abdullah Zaki ne chamber ki sar’garmiyon pr tafseli roshni daaltay hue kaha ke Pakistani taajiron ke duniya ke mukhtalif taajiron ke sath behtar taluqaat ustuwar karne ke liye Karachi chamber pal ka kirdar ada kar raha hai.

Unhon ne tajweez di ke tijarti wafood ke mutawatar tabadlay, malomati aur single country numaishen, seminar aur conference ke ineqad se tijarti taluqaat ko behtar bananay mein madad milegi jo dono mumalik ki maeeshat ke liye sazgaar saabit hoga.

Unhon ne kaha ke mayaari taleem ke farogh ke liye aik nuqta nazar ke sath Pakistan aur malaysia mein universities ke darmiyan mazboot rawabit peda karne ki zaroorat hai,

Is silsilay mein Pakistani students ko bhi malaysia mein taleem haasil karne ki sahoolat faraham ki jani chahiye.

News
Karachi
September 2014
M T W T F S S
« Aug   Oct »
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930