Monthly Archives: May 2014

Afghanistan Mian Dhamake Se 7 Khawateen Samait 12 Afraad Halak

Kabul: Afghanistan Ke Mashreqi Soobay Main Sarak Kinaray Nasb Bomb Phatnay Se 7 Khawateen Samait 12 Afraad Halak Aur 2 Zakhmi Ho Gaye,

Report ke mutabiq afghanistan ke mashreqi soobay ghazni ke zilah guru main kuch loog shadi ki taqreeb main shirkat ke baad wapis apne gharon  ko ja rahe thay ke unki gaari sarak kinaray nasb baroodi mawad se takra gayi jis ke natijay main 7 khawateen samait 12 afraad halak aur 2 zakhmi ho gaye,

Zakhmiyon ko foori tor per qareebi hospital muntiqal kiya gaya ta’hum doctors ka kehna hai ke dono zakhmiyon ki halat tashvesh naak hai,

Ghazni ke gurnz ne waqay main halak hone walon ki tasdeeq kardi gayi hai ta’hum abhi tak kissi group ki janib se dhamake ki zimedaari qabool nahi ki gayi hai..

Gold Ki Qeemat Mian 6 So Rupy Fee Tola kami

Global Market Main Rates Girne Ke Baad Mulk Mian Gold Ki Qeemat 6 So Rupy Fee Tola Kam Ho Gai,

Karachi: Sindh Sarafa Association ke mutabiq Local Markets main gold ki new qeemat Rs.47900/- fee tola per agai hai.
10 Gram Gold ki Rs. 517/- rupy kami se Rs.41054/- rupy ho gai hai,

Local Markets main gold ke Rates 13 dollar fee ounce kam huwe hain jis ke baad 1253 dollar fee ounce ho gai hai,

Pakistan Ki Request Per Twitter Ne Anti-Muslim Tweets Per Pabandi Aaid Kardi

New York: Social Contacts Ki Website Twitter Ne Pakistan Ki Request Per Anti-Muslim Tweets Per Pabandi Aaid Kardi hai,

U.S. Newspapers The new york times ke mutabiq government of pakistan ne twitter authorities se Mazhab ki touheen karne wale bloggers ke account block karne aur touheen Mazhab ki Categories main aane wali tweets aur mawad ko rokne ki Request ki thi,

Pakistan ki appeal per twitter authorities ne Anti-Muslim Tweets per pabandi Aaid kardi hai.

Wazeh rahey ke twitter ne 1st time kisi mulk ki request per Islaam mukhalif mawad shaya karne wale sarfeen per pabandi aaid ki hai.

Iss se pehlay pakistan ne youtube authorities se bhi gair islaami mawad hatane ki request ki thi lekin youtube administration ki janib se gair islaami mawad na hatane per pakistan main youtube per pabandi aaid kardi gai thi jo abhi tak barqarar hai..

Karachi Main Rangers Head Quarters Ke Qareeb Dhamake Se 8 Afraad Zakhmi Ho Gaye

Karachi: North Nazimabad main Rangers Head Quarters Ke Qareeb Dhamake Se Kayi Afraad Zakhmi Ho Gaye,

Report ke mutabiq karachi ke elaqay North Nazimabad Block-B main moujood rangers head quarters ke qareeb ek backery ke bahar dhamake main 8 afraad zakhmi ho gaye,

Zakhmiyon ko Abbasi Shaheed Hospital muntaqil kar diya gaya jahan unhaien medical saholat faraham ki ja rahi hai.
Dhamake se qareebi shops, buildings, aur wahan moujood motor bikes ko bhi kafi muqsaan poncha.

Incident ke fori baad rangers aur police ne ealqay ko gherey main lekar shawahid ikhate kar ke investigation ka aghaaz kar diya,

Bomb Disposal Squad ke mutabiq dhamake main 5kg dhamaka khez mawad use huwa aur dhamaka khez mawad motor bike main fit kiya gaya tha,

Wazeh rahey ke north nazimabad main moujood rangers head quarter ko guzishta 2 saal ke douraan 3 martaba dehshat gardi ka nishana ban chuka hai..

Passwords Aur Fingerprints Dono Mehfooz New Machine Tayyar

Password chori hone ka darr na fingerprints liye jane ka khadsha. Experts ne ATM Machine ke liye unique screen tayar karli,

LONDON: ATM Machine ke liye pasword mehfooz karne wali new 3D Machine British experts ne tayar ki hai jis main Button nahi hain, Sirf makhsoos machine ke uper hawa aur fingers ke throgh pasword type karengay jisse 3D camera record kar lega,

Special glass se bani screen per sirf pasword likhne wala hi digits ko dekh sakega,
Experts ka kehna hai iss machine ke through fingerprint liye jane ka khadsha hai aur na hi pasword note kiye jane ka darr,

Machine next year market main introduce karayi jayegi,

Saudi Citizen Ne 1 Arab Riyaal Ki Raqam Musalmano Ki bhalai Ke Liye Donation Kardi

Saudi Arab ke ek elderly donor ne apna naam aur shanakht zahir kiye bagair ek arab riyaal ki raqam islamic development bank ko Donation ki hai,

Jeddah: Ek arab tv ke mutabiq na’maloom Saudi sahib ki hidayat per islamic development bank iss raqam se
Islamic cooperation organization ke member muslim countries aur non-muslim states main moujood muslim communities ke rural aur remote areas main 75 mobile dispensaries qaim karega,

Islamic Development Bank ke Chairman Dr. Ahmad Mohammad ne media ko bataya ke Saudi private citizen ki Donation karda raqam se Pakistan, India aur Yaman, main 15 Afghanistan aur Bangladesh main 10 aur Tajikistan aur Kyrgyzstan main 5, 5, mobile hospital 5 saal ke liye qaim karega,

Unhoney Saudi donor ki janib se gaye Donation per unki sakhawat ki tareef ki aur unka shukria ada kiya. Unhoney kaha ke iss raqam se lakhon mustahkam mareez istafada karengay,

Islamic Development Bank citizen ki sharait ke mutabiq uski faraham ki gai raqam ko surf karne ka paband rahega,
Dr. Ahmad Mohammad ne aalam-e-islam ke sahib Sarwat logon se apeal ke woh Saudi citizen ke naqsh-e-qadam per chalte huwe Islamic Development Bank ke Platform se barh char kar donation karengay ta’ke poori muslim duniya ke ghareeb aur Disadvantaged areas main shehriyon ko Medical Facilities faraham ki ja saken..

Yellow Color Ka Nayaab Diamond Ek Caror 60 Lakh Main Neelam

Duniya ke nayaab diamonds main se ek yellow color ka diamond ek caror 60 lakh dollar main neelam kar diya gaya,

Geneva: Switzerland ke shehar geneva main hone wali neelami ke douraan yellow diamond dramaiy tor per 3 baar neelam kiya gaya,

So karat ka yeh diomand finally apne Buyer ko ragib karne main kamyaab ho hi gaya aur final bid ek caror 60 lakh dollar per khatam huwe jis ke sath hi iss diamond ki neelami ne world record qaim kar diya,

Karachi Main Halki Barish Se Mousam khushgawar garmi Ka Zoor Toot Gaya

Karachi main waqfay waqfay se bonda bandi aur halki barish ka silsila jaari hai jis se mousam khushgawar ho gaya hai,

Karachi main guzishta shub se hi halki barish ka silsila shuro ho gaya tha ta’hum subah se dhoop aur chaon ki ankh macholi jaari hai iss ke sath sath bonda bandi bhi ho rahi hai,
abhi bhi shehar ke mukhtalif areas main gehray badal chaye huwe hain ta’hum thori der baad kisi area main sooraj badalon se nikal kar apni tamazat dikhata hai aur kahen halki barish hoti hai,

Halki barish aur alooda fiza ne shehar ke mousam ko khushgawar kar diya hai manchalon ne mousam se lutf andooz hone ke liye sea side ka rukh kar liya hai jab ke khane peene ki dukaano per logon ka rush dekha ja raha hai,

barish ki waja se jahan mousam dilfareb ho gaya hai wahan roads per Slip ki wajah se trafic ke kae hadsaat bhi ro’numa huwe hain inn hadsaat ke  natejay mian kae afraad zakhmi huwe hain ta’hum kisi bhi qism ka jaani nuqsaan nahi hua,

Iss ke elawa barish ki chand bondon ke sath hi shehar ke baray elaqay main bijli ki farahmi bhi muatal ho gae hai,

Mobile Ka Zyada Istemaal Brain Tumor Ka Khatra Barha Deta Hai

France: Research ke mutabiq ek maah ke douraan 15 hours Mobile phone sun’ne walon main brain tumor ka khatra 3 guna zyada ho jata hai,

Scientists ka kehna hai ke businessman aur salesman jo apne Partners se phone pe rabta rakhte hain brain tumor ka ba’asani shikaar ho sakte hain,

NTDC Ki janib Se Load Shedding Ke Khaatmay ke Aelaan Ke Bawajood bijli Ki Bandish Jaari

Karachi: National Transmission and dspyj Company ne Mulk main mosam Ki soorat-e-haal behter hone per Load Shedding aarzi tor per khatam karne ka faisla kar diya hai ta’hum iss ke bawajood Mulk bhar main kai kai ghante bijli ki bandish ka silsila jaari hai,

Report ke mutabiq NTDC ka kehna hai ke iss waqt mulk main bijli ki Supply aur demand 11 hazar mega watt hai iss tarah bijli ki Supply aur demand brabar ho gayi hai jis ki wajah se load shedding ko aarzi tor per khatam kar diya gaya hai ta’hum Supply aur demand ko dekhte huwe jald hi load shedding ka naya schedule jaari kiya jayega,

Dosri janib mulk bhar main bijli ki load shedding ka silsila jaari hai aur kai kai ghante bijli ki gair aelaania bandish se mamoolat zindagi shadeed mutasir ho rahi hai wasti punjab ke shehri areas main 6 se 8 ghante  jab ke dehi areas main 10 se 12 ghante bijli bund ki ja rahi hai,

Multan samait junoobi punjab main har ek ghante baad ek ghante ke liye bijli bund ki ja rahi hai sindh aur khyber pukhtoon khwah main 12 se 14 ghante jab ke balochistan main 14 se 16 ghante ki load shedding mamool hai,

News
Karachi
May 2014
M T W T F S S
« Apr   Jun »
 1234
567891011
12131415161718
19202122232425
262728293031